WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

UrdUMaG - Topics
Create Your Own App Store

* UrdUMaG > Topics


Subject: * UrdU~GhaZaLs~ PoEtRYs~ P[6]*
Replies: 720 Views: 49086
6-<< 2-< 1-> 7->>

acmi 17.05.11 - 08:32pm
Chahe mujrim samjh ya koi gunah'gaar hamen,
Saaf kehte hain k ek shakhs se hai pyaar hamen,
Dil diya hai kisi ko tu mukarna kaisa,
Pyaar kia hai tu halaat se darna kaisa,
Apne is jurm ka iqrar hai so baar humen,
Saaf kehte hen k ek shakhs se hai pyaar hamen,
Humne maana k hamen jaan se jaana hoga,
Jaan de k b hamen pyaar nibhana hoga,
Lo suno tark.e.mohabat se hai inkaar hamen,
Saaf kehte hain k sirf TUM se hai bohat pyaar hamen.. *

kanval 19.05.11 - 05:14pm
Us ka
rukh-e-mahtab
Us k hath choom loon,
~
Jo bas chaly
to us ki hr baat choom loon
~
Chhu jaey agar usko barish ki boond,
~
Wo boond kya
barish kya
mosam-e-barsat choom loon,
~
Aa jaey jo kabi khwab bhool kr agar,
~
Wo khwab kya neend kya
wo raat choom loon,
~
Mujhy kuch nhi chahiye bas khali hath pe mere,
~
Rakh de wo apna hath main wo hath choom loon.
~
Wo rota hua lag jaye mere seeny se kabi,
~
Main Us k Hont

Us ki Ankhein
~
Us ki Sari Zaat Choom loon...!!


*

samina11 20.05.11 - 04:20pm
So buetiful poetrys frndz *

samina11 20.05.11 - 04:22pm
Woh Jo Basa Hai Mere Dil Mein Usey Bataon Kaise

Darr Bhi Lagta Hai Zamane Se Chhupaon Kaise

Woh Shakhs Tu Panchi Hai Urr Jaye Ga

Main Khud Ko Us K Peeche Uraon Kaise

Main Tu Us K Liye Duniya Hi Chhor Doon

Is Se Zyada Main Usey Toot Kar Chahoon Kaise

Is Dil-E-Nadan Ko Main Samjhaon Kaise

Woh Shakhs Mere Dil Par Hukmurani Karta Hai

Us K Ilawa Main Kisi Aur Ko Basaon Kaise *

saira33 21.05.11 - 08:28am
Ho k Shrminda
Gunahon Se,
Kbhi Sar Jhuka
To Sahi
.
Wo Kare ga
Muaaf Tujhe
Do AshK Baha
To Sahi
.
Rahe gi Chandni
Qabr Me B
sath Tere
.
Tu Us ki Yaad Ko
Dil Se Zara
Laga To Sahi
.
Na Rahe ga Tu
Mohtaj Kbhi
Kisi Ka
.
Kia Hai Jo
KHUDA Se Ehad
Wo Nibha To Sahi
.
Wo Hai
GHAFOOR RAHEEM
Sunta Hai DUA Sb Ki
.
Ary NADAAN
apne hath utha k
daman phela
To sahi.

*

samina11 24.05.11 - 09:22am
So nyc shrng saira *

samina11 24.05.11 - 09:24am
Teri sanson mein gulabon ki mehak lagti hai,
*
Husn jis rang mein ho teri jhalak lagti hai,
*
Sham hote hi nigahon mein utar aati ho,
*
Dil ki dharkan tere peron ki dhamak lagti hai,
*
Jaise guzri ho abhi tu mere darwaze se,
*
Ab hawa bhi teri payal ki khanak lagti hai,
*
Is liye chand tere husn ka garveeda hai,
*
Tere paikar mein un ankhon ki chamak lagti hai,
*
Jane kyoun wo meri aankhon ko bhala lagta hai,
*
Jis k chehre pe zara teri jhalak lagti hai.


*

acmi 24.05.11 - 07:19pm
Nice samina,saira *

acmi 24.05.11 - 07:35pm
Faasly tu pyar ki pehchan hua karty hen,
Na janay Q log preshan hua karty hen,

Ye haqeqat hai k jahan toot k chaha jaye,
Wahan bichrny k imkan hua karty hen,

Muhabat b tofan utha deti hai dil men,
Phir rasty sunsan hua karty hen,

Dil b tu ek ghar hai jo kabhi basta hai,
Ujry tu phir jaisy khali makan hua karty hen,

Bhichry kabhi b lout k nahi aaty Faisal,
Bas faqat yaadon k kuch nishan hua karty hen... *

samina11 25.05.11 - 09:33am
Serhad-e-Zeest k us paar utar jane do
*
Mujh ko is Manzil-e-Ulfat se guzar jane do
*
Kab talak jalte raho ge Gham-e-Tanhai main
*
Ab fiza shehr-e-tmana ki nikhhar jane do
*
Bari muddat k Baad gulistan me bahar aai hy
*
Ab to is zulf-e-pareshan ko sanwar jane
do
*
Paas rakho ge to barh jaye ga soz-e-hijran
*
Khushk phoolon ko hawaon me bikher jane do
*
Subha se jheel raha hoon main tumhare ye sitam Mohsin.
*
Sham hone ko hai ab lot k Ghar jane do. . .
*

fizi 25.05.11 - 04:10pm
Din ba din bherty gaye jo zulmato'n k silsily,Dais main hon gay bapa phr wehshato'n k silsily.1 to kacha makaan tanha lab-e-dariya mera,Or phr oper sy wehshi barisho'n k silsily.Sawan-o-pat jhar,bahara'n, sardiya'n k germia'n,Tery bin hum kia krain gay mosmo'n k silsily.Mit gaye harf-e-ghalat ki shakal main alfaz sub,Ankh main tehreer thy jo qurbato'n k silsily.Rat ki tarikio'n main chand k hum rkaab,Aj bhi jari hain apny rat jago'n k silsily.Dil lagi dil ki lagi hony ko hai Amjad mager,Khatam hoty hi nahi ye faslo'n k silsily. *

sehar4u 25.05.11 - 04:12pm
Ay ab ye pary kon lol *

sehar4u 25.05.11 - 04:15pm
Jin k humsfar rooth jaya krty hain,
,
Wo chain se kab soya krte hain,
,
Sunaty nai kisi ko dukh apna,
,
Bas akale me chup kr roya krte hain,
,
Bari khoob adaa he ye Ehle wafa ki,
,
Aankho me nami or honton se muskuraya krty hain,
,
Bhaly hi hazaron shikwe hon mehbob se,
,
Wo bas haal poch le tou sb bhul jaya krte hain,
,
Bari Ajeeb hai dunya Ehle dard ki

,
faraz,
,
Tanhai me aksar Mehflon ko sajaya krty hain
*

sehar4u 25.05.11 - 04:15pm
Jin k humsfar rooth jaya krty hain,
,
Wo chain se kab soya krte hain,
,
Sunaty nai kisi ko dukh apna,
,
Bas akale me chup kr roya krte hain,
,
Bari khoob adaa he ye Ehle wafa ki,
,
Aankho me nami or honton se muskuraya krty hain,
,
Bhaly hi hazaron shikwe hon mehbob se,
,
Wo bas haal poch le tou sb bhul jaya krte hain,
,
Bari Ajeeb hai dunya Ehle dard ki

,
faraz,
,
Tanhai me aksar Mehflon ko sajaya krty hain
*

kanval 27.05.11 - 05:35pm
Tuje naaz hy k mai haseen hun
Mere gulsitaan ko zawal kya,
~
Muje fakhr hy k mai ishq hun
Jo jala na don to kamal kya,
~
Muje zindgi ki dua na de
Muje zindgi ki talb nhi,
~
Mri mout ko jo taal de
Is zindgi ki majal kia,
~
Humain manzilon ki khabr nhi
Humain rah guzar ki talsh hy,
~
Is rah guzar par nikal pare
To urooj kya our zawal kya,
~
Tere piyar mein shikwe giley
Teri in aadaon pe mr chaley,
~
Jo haiyat thi tuje war di
To jawab kya our sawal kya.
*

acmi 30.05.11 - 02:23pm
Jurm-e-ulfat ki saza dete hen tere shehar k log,

Mujhko sholon men jala dete hen tere shehar k log,

Kaisy aaon tery shehar men mom ka badan lay kar,

Labon se aag barsatay hen tere shehar k log,

Main tu toota hua pat'ta hun meri okaat hi kya Faisal,

Phool pairon se masal dete hen tery shehar k log...
*

acmi 30.05.11 - 02:30pm
Iss shehar-e-sitamgar men wafa dhund rahy hen,

Nadan hen hum b k ye kia dhund rahy hen,

Hum log muqaddar k sikandar tu nahi hen,

Kia soch k phir ab hum log wohi harf-e-dua dhund rahe hen,

Ek shakhs ne manga tha kabhi hum ko dua men Faisal,

Us shakhs ko ab tak ba'khuda dhund rahe hen.. *

kanval 30.05.11 - 07:43pm
Pekar-e ishq se seene ko jalaya Q tha?
Tm ne ye rog jawani me lagaya Q tha?
~
Q liye phirte ho ab duniya men purnam Aankhen?
Pyar achha tha mgr dil me basaya Q tha?
~
Kese mumkin h mile hijar ki raton me sakoon
Unki yadon ko sar-e-sham jagaya Q tha?
~
Jab k maloom h rakhte hen ghazab ka gussa
Dil ka eh-waal unhen ja k sunaya Q tha?
~
Baat karna jo ganwara na thi usko mujh se
Phir isharon se mujhe paas bulaya Q tha???
*

acmi 31.05.11 - 07:03pm
Ad chand se faryaad tu karta hoga,

Wo mujhe zayada nahi par yaad tu karta hoga,

Bhole se hi sahi kabhi meri yaad tu aati hogi,

Wo mere baray men kuch irshad tu karta hoga,

Buhat masruf sahi din bhar phir b,

Tanhai men kuch pal mere liye barbad to karta hoga..

*

acmi 1.06.11 - 07:52pm
Reza-e-kanch ki sorat men bikhar jata hon,

Main uski yaad men jab had se guzar jata hon,

Ab gorezan hai wo milne se jo kehta tha kabhi,

Tum se milte hi main kuch or nikhar jata hon,

Roz khata hon usko yaad na karne ki qasam,

Roz wadon se main apne hi mukar jata hon...

*

acmi 2.06.11 - 07:41pm
Main nahi hon apny wajood men,

Mujhy janay kis ne chura liya,

Mera saath rehta hai ek shakhs,

Koi jadu us ne chala diya,

Meri rooh men wo sama gaya,

Mujhy ishq karna sikha diya,

Meri zindagi wo ban gaya,

Mujhy jeena us ne sikha dia..
*

acmi 3.06.11 - 06:48pm
Meri daastan ka urooj tha,Teri narm palkon ki chhaon men,
Mere sath tha tujhy jaagna,Teri aankh kaise jhapak gai,
Bhala hum mily b tu kya mily,Wohi doorian wohi faasly,
Na kabhi humary qadam barhy,Na kabhi tumhari jhijhak gai,
Tere hont se mere hont tak wohi intizar ki piyas hai,
Mere naam ki jo sharab thi,Kahin raste men chhalak gai,
Tujhy bhool jany ki koshishen kabi kamiyab na ho saken,
Teri yaad shaakh-e-gulaab hai,Jo hawa chali tu mehak gai..
*

kanval 3.06.11 - 07:50pm
Mein nafraton k jahan mein reh kar Juda karon ga to kaya karon ga..
~
Ye theek kehtay ho Be-Wafa hoon Wafa karon ga to kaya karon ga..
~
Bas aik Tu hi to reh gaya hai jahan sara to kho chuka hoon..
~
Tujhe bhi apni Anaa mein aa kar Khaffa karon ga to kaya karon ga..
~
Baghair pani bhi koi machli bhala kabhi reh saki hai PYaRaY..
~
Mein Tujh ko kho kar Kisi ka ho kar bata karon ga to kaya karon ga..
~
Khud apni khatir na mang paya mein kuch bhi dhang se aey Mere HaMdaM..
~
Tumhari khatir mein hath uttha kar Dua karon ga to kaya karon ga..!!


*

irs_shah 4.06.11 - 08:34am
Puchtay ho to suno kaisay basar hoti hai
Raat khairat k sadqay ki sahar hoti hai

Sans bharnay ko to jina nahin kahtay YA RAB
Dil hi dukhta hai na ab asteen tar hoti hai

Jaisay jagi hui ankhon mai chubhen kanch k khwab
Raat is tarah diwanon ki basar hoti hai

Gam hi dushman hai mera gam hi ko dil dhundta hai
Ek lamhay ki judai bhi agar hoti hai

Ek markaz ki talash ek bhatakti khushbou
Kabhi manzil kabhi tamhid-e-safar hoti hai...!!! *

irs_shah 4.06.11 - 08:35am
Tum aur fareb khao bayan-e-raqib say
Tum say to kam gila hai ziyada nasib say

Goya tumhari yad hi mera ilaj hai
Hota hai pahron zikr tumhara tabib say

Barbad-e-dil ka akhri saramaya thi umid
Woh bhi to tum nay chhin liya mujh garib say

Dhundla chali nigah dam-e-wapasi hai ab
Aa pas aa keh dekh lon tujh ko qarib say...!!! *

irs_shah 4.06.11 - 08:41am
Piyar muhabbat ke hain jitne sab afsa'anay jhootay hain
Saari shamm'eyeN jhooti hain, saare parwa'anay jhootay hain

Apni zaat se badh ke ulfat kon kisi se karta hai
Jaan nicha'awar karne wale sab deewanay jhootay hain
......
Kab tak aas ka daaman thaamay tal'kh haqa'aeq jhutlaa'ein
Taabirein yeh batlaati hain khawaab suhaanay jhootay hain

Saaf hi keh do hum se milna baar-e-gira'aN hai ab tum ko
Idhar udhar ke jo karti ho laakh bahanay, jhootay hain!

Meray nanhay munnay such ki kia au'qaat wahaN, jiss jaa
Lamhay jhootay, sadia'aN jhooti aur zama'anay jhootay hain *

irs_shah 4.06.11 - 08:42am
Raat ayi hai balaon say rihayi degi
Ab na divar na zanjeer dikhayi degi

Waqt guzra hai par mausam nahi badala yaro
Aisi gardish hai zamin khud bhi duhai degi

Yeh dhundalaka sa jo hai us ko ganimat jano
Dekhna phir koi surat na sujhayi degi

Dil jo tutega to ik tarfa tamasha hoga
Kitnay ainon mai yeh shaql dikhayi degi

Sath k ghar mai bara shor barpa hai '
Koi ayega to dastak na sunaiyi degi...!!! *

irs_shah 4.06.11 - 08:45am
Mujh Ko Apna Kaha Kare Koi..
Sath Mere Chala Kare Koi..

Kitno Se Hee Bhala Kia Mene..
kaash Mujh Sey Bhala Karey Koi..

Logon K Dukh Toh Sunta hun Aksar..
Mere Dukh Bhi Suna Kare Koi..

Koi Toh Ho Gilah Karon jis Sey..
Aur Mujh Sey Gilah Karey Koi..

Kitney Zaalim Hain Yeh Jahaan Waley..
Kis K Dukh Ki Dawa Karey Koi..

Agar Me Roo Dun Toh Phir..
Mere Gham Me Sath Hee Roo Diya Kare Koi..

Jis Ko Me Apna Keh Sakoon..
Kaash Aisa Hoa Kare Koi.....! *

irs_shah 4.06.11 - 08:48am
Fareb-e-Zaat se niklo, Jahan k Saanihay dekho,
Haqiqat mukhtalif ho gi, kabhi to aainay dekho,

wohi ik ajnabi jis say ta'aluq sarsari sa tha,
hamare dil mein hote hen usi k tazkaray dekho,

likha hay waqt ne ye bhi ajeeb apne muqadar mein,
palatna hi nahi jisko, usi kay raastay dekho,

hamain samjho na khush itna labon ki muskurahat se,
hamari aankh mein phailay hazaron hadsay dekho,

thakay haaray se bethay thay, magar teri sada sun kar,
Shikasta'pa chalay aye, hamaray hoslay dekho. *

irs_shah 4.06.11 - 05:52pm
Bas k dushwar ha har kam ka asan hona.
aadmi ko bhi mayassar nahi insan hona,

grya chahy ha kharabi mery kashanay ki,
dar o deewar se tapkay ha bayabaan hona,

wae dewngi e shouq k har dam mujh ko,
aap jana udhar or aap hi hairaan hona,

jalwa az bas k taqaza e nigah karta ha,
johar e ayena bhi chahiay mizghan hona,

isharat e qatl gah e ehl e tamanna mat pooch,
Eid nazzara ha shamsheer ka uryaan hona,

lay gaey khaak main ham dagh e tamanna e nishat,
tu ho or aap basad rang e gulistaan hona,

Ishrat e para e dil zakhm e tamanna khana,
lazzat e raish e jigargharq e namakdaan hona,

ki mery qatl k bad us ne jafa se tobah,
haey us zood e pashemaan ka pashaiman hona,

khaif us chara gra kapray ki qismat Ghalib,
jis ki qismat main ho aashiq ka girebaan hona, *

irs_shah 4.06.11 - 05:53pm
har qadam guraizan tha, har nazar main wehshat thi,
maslihat parastoon ki rahbari qayamat thi,

manzil e tamanna tak kon sath deta ha,
gard e sae la hasil har safar ki kismat ha,

aap hi bigarta ha, ap man bhi jata ha,
is guraiz pehlu ki ye ajeeb adat ha,

us ne hal pucha to, yad hi na ata tha,
kis ko kis se shikwa ha, kis se kya shikayat ha,

dasht main hawaoun ki be rukhi ne mara ha,
sheher main zamany ki pooch gach se wehshat thi,

yoon to din daharat hi log loot jaty hain,
magar un nigahoon ki or hi syasat ha,

hijar ka zamana bhi kya ghazab zamana tha,
ankh main samandar tha, dheaan main wo surat thi, *

irs_shah 4.06.11 - 05:54pm
Sokhay hont, sulagti aankhen, sarson jesa rang
barson bad woh dekh kay mujh ko reh jayay ga dang

Maazi ka woh lamha mujh ko aaj bhi khoon rulayay
ukhrdi ukhrdi baten uski gheron jaisa dhang

taara bankar door ufaq par kalay larzay dolay
kachchi daor say urdnay wali dekho aek patang

Dil ko to pehlay hi dard ki deemak chaat gai thi
rooh ko bhi ab khata jayay tanhaai ka zang

Un hi kay sadqay ya rub meri mushkil kar aasan
meray jaisay aur bhi hen jo dil kay haathon tang

Sub kuch day kar hans di aur phir kehnay lagi taqdeer
kabhi na poori hogi teray dil ki aek umang

SHABNAM koi jo tujh say haray, jeet pe maan na karna
jeet woh ho gi jab jito gi apnay aap say jang *

acmi 4.06.11 - 06:15pm
Wah achi hy *

acmi 4.06.11 - 09:34pm

Wo mere baray men sochta hai yehi buhat hai,

Usay main dekhon tu dekhta hai yehi buhat hai,

Wo khud ko mera nahi samajhta to koi gham nahi,

Wo mujhko apna tu janta hai yehi bohat hai,

Haqeqaton men milaap uska zaruri nahi Faisal,

Wo mujhy khawabon men mil raha hai yehi bohat hai...
*

acmi 5.06.11 - 10:25am
Lipat kar apni tanhai se jagte rehte hain hum,

tamam raat kisi ki yaad humen soney nahi deti,

uski koi masoom si shararat jab b aati hai yaad,

udaas tu kar jati hai par ronay nahi deti,

log kehte hen bhol kar usay nayi zindagi shuroo kar,

wo rooh par qabiz hai humen kisi or ka hone nahi deti.
*

acmi 5.06.11 - 10:31am
Wo roya to bohat magar mujh se muh morh k roya,

koi majboori hogi jo dil tor k roya,

mere saamny kar diye meri tasveer k tukrey,

pata laga mere pechay wo inko jor k roya,

jo muskraya tha meri maut ki khabar sun kar,

laash dekh kar meri wo jan tor k roya,

hua jab usay ehsas apni sangeen ghalti ka,

suna hai qabar par meri wo hath jor k roya.
*

acmi 5.06.11 - 10:37am
Is tarah koi mujh ko mujh se churany aaey,

jaisay darya kisi kashti ko bahany aaey,

main tu wo hon k kinaray se palat aaon ga,

agar pyar se tufaan b mujh ko bulany aaey,

chandni raat thi jab koi bichra tha tujh se,

chand aksar mujhy ye baat batany aaey,

nasha utray ga tu main khud hi chala jaon ga MOHSIN,

ab na mehfil se koi mujh ko bulanany aaey... *

acmi 5.06.11 - 11:53am
Kab hui pyaar ki barsaat humen yaad nahi,
Khof men doobi mulaqat humen yaad nahi,

Hum tu madhosh thy kuch itna us ki chahat men,
Us ne kab chhor dia saath humen yaad nahi,

Zindagi jabr-e-musalsal ki tarah kati hai,
Janay kis jurm ki paae hai saza yaad nahi,

Main ne palkon se dar-e-yaar par dastak di hai,
Main wo sahil hun jisay koi sada yaad nahi,

Aao 1 sajda karen aalam-e-madhoshi men,
Log kehtay hen k SAGHAR ko khuda yaad nahi...
*

acmi 6.06.11 - 07:21pm
Ab akele akele main ne rehna seekh liya hai,
Dil ki baaten khud se kehna seekh liya hai,

Mujhy kisi k kandhay ki zarurat nahi hai,
Tanha tanha chupke chupke rona seekh liya hai,

Koi kisi k zakhmon ko kaisay bhala c paye ga,
Apne zakham apne hathon seena seekh liya hai,

Baat ajab hai par yehi sach hai FAISAL,
Gham ka zeher thora thora peena seekh liya hai,

Umer bhar sath kisi ka kon yahan deta hai,
Pal pal marna pal pal jeena seekh liya hai... *

acmi 6.06.11 - 07:33pm
Iss tarah teri talab dil men basa li hum ne,
Tujh ko paya na magar umer ganwa li hum ne,

Tere wadon k sahare tu zinda hen abhi,
Mout tu warna kai baar hi taali hum ne,

Teri dunya se tu dor nikal aaye hen,
Teri hasrat na magar dil se nikali hum ne,

Saamne sub k Faisal bhala kyun rotay,
Apni aankhon ko ye aadat na dali hum ne,

Mil rahi hen ye muhabbat men sazaein kaisi,
Jaise jannat se koi cheez chura li hum ne...
*

acmi 6.06.11 - 07:41pm
Hum teri yaad se
khud ko bacha na sake,

Or teri muhabbat ko
chhupa na sake,

Ye b maloom tha k
paa na saken ge tumhen,

Magar phir b
umeed k diye ko bujha na sake,

Kitni hasrat thi k
keh doon tum bin jee nahi sakte,

Magar saamne tere
hum nazarein uttha na sake.. *

acmi 6.06.11 - 07:48pm
Abr-e-baraan k iraday b pur-israar se hen,


Aaj barsy gi ghatta khul k ye aasaar se hen,


Log aaty hen theherty hen chale jaty hen,


Apne halaat b ujrray huy bazar se hen,


Wo agar chaahay tu de sharf-e-mulaqat mujhy,


Sab umeeden meri wabasta mere yaar se hen..
*

acmi 6.06.11 - 07:56pm
Kis tarah yaad karon kaise bhulaon tujhko,
to koi rasam nahi hai k nibhaon tujhko,
roz aankhon se bikhrta hai naya khawab koi,
dil ye kehta hai na aankhon men sajaon tujhko,
khob hotay hen chahat k ye methey rishty,
bhool kar b kabhi dushman na banaon tujhko,
tere janay pe machlta hai bohat dil lekin,
zabt itna hai k phir b na bulaon tujko,
zindagi kon se taaron ka falak hay Faisal,
kis tarah apna sitara main banaon tujhko.. *

saira33 10.06.11 - 09:56am
Apne labon ko dushman-e-izhar mat bana

Sachay hain jo unhain gunahgaar mat bana

Jitnay bhi lafz hain wo mehktay gulaab hain

Lehjay k farq say unhain talwaar mat bana

Ilzaam kuch to Gardish-e-aiyaam ko bhi day

Apnay har aik ghum ko
ghum-e-yaar mat bana

Har aik k liay khula mat rakh issay Qateel

Yeh dil aik ghar hai issay bazaar mat bana... *

saira33 10.06.11 - 09:56am
Koi ilzam Lga Kr To Saza Di Hoti

Phir Meri Lash Sare-Bazar Jala Di Hoti

Itni Nafrat Thi To Piyar Se Dekha Kioun Tha

Mjhe Pehle Hi Meri Okat Bata Di Hoti

Dekh Kar Zakham Mere Ankhain Chura Li Tu ne

Poch Kar Kuch To Zkhmon Ki Dawa Di Hoti

So Jata Main B Chain Se Jana

Tu Ne Agar Shoq Se Aanchal Ki Hawa Di Hoti

Zindagi Apni B Chain Se Guzar Jani Thi

K

Tu Ne Agar Pyar Se Dil Main Jaga Di Hoti. *

kanval 10.06.11 - 07:43pm
Jo Khwab Sajaye
Ankhon Ne,
Wo Khwab Bikhrne
Wale Hen.
~
Humen Dil Me
Basana Theek
Nahi,
Hum Log Ujarne Wale Hen.
~
Wo Chorr Gya
Muje Kanton Per,
Phoolon K Khilte
Mosam Me,
~
Rab Khair Kray
Lota Hi Nahi,
Ab Pattay Jharne
Wale Hen.
~
Wo Jise Dekhne
Se,Ankhon Me Thandak Rehti Thi,
~
Ab Door Gya To Aisa Laga,
Hum Jese Pighalne
Wale Hen.
~
Jo Khwahish Dil Me Thi Mere,
Wo Khwahish
Akhir Toot Gyi,
~
Uskay Visal Me Jeena Tha Hum Ko,
Uskay Hijar Me Mrne Wale Hen.
*

saira33 11.06.11 - 09:46am
Charagh-e- aaftab gum,
Bari haseen raat thi,

Shabab ka naqab gum,
Bari haseen raat thi,

Mujhe pila rahay thy wo,
k khud hi shama bujh gayi,

Glaas gum,
Sharab gum,

Bari haseen raat thi,
Labon se lab jo mil gaye,

Labon se lab jo sil gaye,

Sawal gum,
Jawab gum,

Bari haseen raat thi,
Likha tha jis kitab me,

ke ishq to haram hai,

FARAZ wo
kitab gum,

Nisab gum,
Bari haseen raat the. *

z_haidar 11.06.11 - 03:15pm
Kabhi Mujh Ko Saath
Lekar, Kabhi Mere Saath Chal Kar
~*~
Woh Badal Gaye
Achaanak Meri Zindagi Badal Kar
~*~
Huye Jis Pey Meharaban Tum Koi Khush Nasib Hoga
~*~
Meri Hasaratein To
Nikalin Mere Ansuuon Mein Dhal Ke
~*~
Teri Zulf-o-rukh Kay Qurban Dil-e-zaar
Dhuundhata Hai
~*~
Wahi Champai Ujaale
Wahi Suramai
Dhundalake
~*~
Koi Phool Bun Gaya Hai Koi Chaand Koi Taara
~*~
Joh Chiraag Bujh Gaye
Hain Teri Anjuman Mein Jal Ke
~*~
Mere Dosto Khudara
Mere Saath Tum Bhi Dhuundo
~*~
Woh Yahin Kahin
Chhupey Hain Mere
Ghum Kaa Rukh Badal Kay
~*~
Teri Bejhijhak Hansi Say Na Kisi Kaa Dil Ho Mailaa
~*~
Yeh Nagar Hai Aainon Kaa Yahaan Saans Le Sambhal Ke.

~*~
~*~
ZESHAN~HAIDAR *

acmi 11.06.11 - 05:53pm
Nice sharing friends. *

acmi 11.06.11 - 07:55pm
Main nafraton k jahan men reh kar,
juda karon ga tu kya karon ga,

ye theek kehte ho be-wafa hun,
wafa karon ga tu kya karon ga,

bas aik to hi tu reh gaya hai,
jahan sara tu kho chuka hon,

tujhe b apni anaa men aa kar,
khafa karon ga tu kya karon ga,

baghair paani b koi machli,
bhala kabhi reh saki hai jaana,

main tujh ko kho kar,kisi ka ho kar,
bataa! karon ga tu kya karon ga..
*

6-<< 2-< 1-> 7->>


* Reply
* UrdUMaG Forum


Search:
topics replies


* UrdUMaG

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store