WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

UrdUMaG - Topics
Create Your Own App Store

* UrdUMaG > Topics


Subject: * UrdU~GhaZaLs~ PoEtRYs~ P[6]*
Replies: 720 Views: 49061
6-<< 2-< 1-> 7->>

z_haidar 1.09.12 - 03:34pm
hazaar ahl-e-junuuN halqaa-e-rasan meN rahe
magar Khayaal-e-parastaarii-e-chaman meN rahe
*
tere Khayaal ke ehsaaN raheNge yaad hameN
jis anjuman meN rahe terii anjuman meN rahe
*
gayaa na qaid-e-qafas meN bhii baaNkpan apnaa
usii tarah se rahe jis tarah chaman meN rahe
*
vo Khaar jinse guzarte haiN log bach bach kar
bahaar ban ke vohii mere pairahan meN rahe
*
tamaam raat guzaarii Khayaal-e-KhuubaaN meN
tamaam raat sitaaroN kii anjuman meN rahe
*
kuch is tarah se raho ruuh-e-gulistaaN ban kar
tumhaare baad tumhaarii mahak chaman meN rahe
*
ye iKhtilaaf na ho maikasho meN ai saaqii
nayii sharaab agar saaGhar-e-kuhan meN rahe
*
dar-e-Jigar bhii milaa aastaana-e-Taskeen bhii
Shamim kyuuN na sarfaraaz ahl-e-suKhan meN rahe..



*

z_haidar 3.09.12 - 05:50pm
431436_316971078398657_1154756528_n.jpg


Dukh Day Kar Sawaal Kartay ho,
Tum Bhe GHAALiB ! Kamaal Kartay ho..
*
Daikh Kar Pooch Liyaa haal meraa,
Chalo Kuch tou Khayaal Kartay ho..
*
Shehar -e- Dil may Ye Udaasiyaan Kaisi ??
Ye Bhe mujh say Sawaal Kartay ho ???
*
Marnaa Chaahain tou mar nahe Saktay,
tum Bhe Jeenaa muhaal Kartay ho..
*
ab Kiss Kiss Ki misaal Doon tum Ko ?
her Sitam Bay-misaal Kartay ho .
*

z_haidar 3.09.12 - 05:52pm
309120_315687098527055_1376542552_n.jpg


gam ka khazaanaa tera bhi hai meraa bhi
ye nazaraanaa tera bhi hai meraa bhi
*
apane gam ka git bana kar gaa lenaa
raag puraanaa tera bhi hai meraa bhi
*
tu mujhako aur mai tumako samajhaaun kya
dil divaanaa tera bhi hai meraa bhi
*
shahar me galiyo galiyo jisakaa charchaa hai
vo afasaanaa tera bhi hai meraa bhi
*
maikhaane ki baat na kar vaaiz mujhase
aana jaanaa tera bhi hai meraa bhi..
*

xxkamixx 7.09.12 - 05:14pm
jag me.n aakar idhar udhar dekhaa
tuu hii aayaa nazar jidhar dekhaa

jaan se ho gaye badan Khaalii
jis taraf tuune aa.Nkh bhar ke dekhaa

naalaa fariyaad aah aur zaarii
aap se ho sakaa so kar dekhaa

un labo.n ne kii na masihaa_ii
ham ne sau -sau tarah se mar dekhaa

zor aashiq mizaaj hai ko_ii
Dard ko qisaa-e-muKhtasar dekhaa
*

i_am_ur 7.09.12 - 06:09pm
ma ever fav ghazal:
**

sar'on par ho jo aavaiz'an wo
jhoomer toot jate hain
jaha'n zidd aarh ban jaye waha'n
ghar toot jate hain


suna hai dil to shishay se bhi nazook
cheez hoti hai
daba'o barhne lagta hai to patthar
toot jate hain


kabhi moujain kinaro'n par bala ka
aish karti hain
kabhi saahil se takra kar samandar
toot jate hain


kisi ka koi batcha jab galat sohbat
mai parhta hai
to palko'n par sajay khaabo'n k
manzar toot jate hain


usool o ijz o khudd-dari hain
merey qeemati maahtab
ana k b*tt to matti k hain gir kar
toot jate hain ..

sar'on par ho jo aavaiz'an wo
jhoomer toot jate hain

jaha'n zidd aarh ban jaye waha'n
ghar toot jate hain ..!!!!


** *

i_am_ur 14.09.12 - 05:37pm
*
4.jpg
!!!!

Dekho ge humen roz magar
bat na hogi
Ek shehr men reh k b mulaqat
na hogi
Kehna hai jo keh dalo abi
waqt hai baki
...
Kal hum tu honge.. magar
surt-e-halat na hogi
...
Jo pochna hai tumko abi poch
lo warna
Kal shehar men phir
Rasm-e-sawalat na hogi
Din itne huwe taweel hijar k
logo
Tarpo ge
sar-e-sham magar raat na
hogi
Ye soch k b dil tarap uthta hai
Jana!
Bichren ge is tarah, k kabi
mulaqat na hogi....!


** *

zara20 14.09.12 - 07:36pm
wow beautiful poetry *

samina11 15.09.12 - 01:40pm
nyc poetryzz *

samina11 15.09.12 - 02:09pm
SATH roti thi mery sath hansa krti thi

Wohi, jo mery dil me basa krti thi

MERI chaht ki talabgar thi wo is qadr k

Nmazon me milne ki dua karti thi

1 pal ka Bichrna b gavara na tha usko

ROTAY rotay wo mjhe khud se juda krti thi

MERAY dil me wo rhi dhrkan ban kr

Or saye ki trha sath chla krti thi

ROG-E-DIL jo laga bethi thi anjane main

MERI aghosh mai marne ki dua krti thi

BAT kismat ki he jo juda ho gye hum

WRNA wo to mjhy Taqdir kaha krti thi!

*

samina11 15.09.12 - 02:09pm
Yeh aadat rooth jane ki kahan se seekh li tum ne

Bharosa tha mujhe tum par mukammal aaj se pehle

Riwayat azmanay ki kahan se seekh li tum ne

Mohabbat k ilawa kuch nahi tha teri ankhon main

Yeh nafrat ab zamane ki kahan se seekh li tum ne

Mere masoom sathi tu zara itna bata mujh ko

Mharat dil dukhne ki khn se seekh li tum ne,
*

kanval 16.09.12 - 02:15pm
Hawa Ke Hote Hue Roshnii Toh Kar Jaaye,
~
Merii Tarah Se Koi Zindagii Toh Kar Jaaye.
~
Tamam Umar Tasaf Mein He Basar Ho Gii,
~
Terii Taraf Se Nazar Be'Rukhii Toh Kar Jaaye.
~
Charag-E-DiLL Tehe Mehrab-E-Jaa'n Na Chorde Gii,
~
Hawa Ke Saath Koi Dushmani Toh Kar Jaaye.
~
Phir Is Ke Baad Jaha'n Mein Kahin Panah Nahin,
~
Tere Huzoor Yeh Jaa'n Sar'Kashi Toh Kar Jaaye.
~
Woh Dushmani Ke Bhii QabiL Na Mujh Ko Chorde Ga Shakir,
~
Us Aadmi Se Yeh DiLL Dosti Toh Kar Jaaye....
*

z_haidar 16.09.12 - 06:10pm
boh0tt ummmmdaaa *

xxkamixx 19.09.12 - 04:34pm
Wohi mujko phir yaad aane luge hein

Bhulaane mein jinko zamane luge hein

Wo hein paas or yaad aane luge hein

Mohabat ke hosh abh thikane luge hein

Suna hay wo humko bhulane luge hein

To kia hum unnhein yaad aane luge hein

Hattaye thay jo raste se dosto ke
Wo pather mere ghar mein aane luge hein

Ye kehna tha unse mohabat hay mujhko
Ye kehne mein mujhko zamane luge hein

Qayamat yaqeenun qareeb aarahi hay
,,KHUMAR,, abh to masjid bhi jane luge hein *

z_haidar 19.09.12 - 05:49pm
vafaa kii daastaaN chheRii kabhii tumne, kabhii hamne
ba-tarz-e-dilbarii tumne, ba-rang-e-aashiquii hamne

*

nigaar-e-shauq se baKhshii jinheN taabandagii hamne
tasavvur meN unhiiN jalvoN se maaNgii raushnii hamne

*

vohii jalve, vohii aaNkheN, magar kyaa ho gayaa dil ko
na jaane kyuuN badal Daalaa mazaaq-e-zindagii hamne

*

yahii viiraan aaNkheN haiN, yahii sunsaan raaheN haiN
yahiiN aksar jalaaye haiN chiraaGh-e-zindagii hamne

*

judaaii kaa samaa hai aaj tak apnii nigaahoN meN
na koii baat kii tumne, na koii baat kii hamne

*

kisii ke jalvaa haaye nau-ba-nau jab yaad aaye haiN
to ashkoN se bujhayii hai nazroN kii tashnagii hamne

*

vo kuch kahne ko the ham paa gaye, vo muskuraa uThThe
koii to baat thii jo munh se chhiin lii hamne

*

hameN maaluum hai majbuuriyoN kii intihaa kyaa hai
ke dekhii hai nigaah-e-husn kii bechaargii hamne

*

bas ek zauq-e-nazar par naaz thaa vo bhii nahiiN baaqii
Hafeez unke taGhaaful ko ye daulat saunp dii hamne..





*

z_haidar 19.09.12 - 05:50pm
Kaho dukh ke samander ka safar ab tak raha kaisa..?
Kaha ujlay kinaaron ka koi imkaan daikha hay

*

Kaho derya kinaaron say bhhala kya guftugoo thehri?
Kaha derya ko apnay zabt pay hairaan daikhha hay

*

Kaha kyun kis liyay khhola yeh tum nay dilka drwaza?
Bataaya dil ke raston per koi mehmaan daikhha hay

*

Kaho us ishq ki baabat, bhhala kya had rahi ho gi..?
Kaha woh ishq jaisay rooh ka sartaan daikhha hay

*

Kaho us say bichharrnay ki, tumhain manzoor yeh hoga?
Kaha jeenay ki khuwaahish ko kabhi qurbaan daikhha hay

*

Kaho phir tum pay kya guzri, woh khuwaab-e-zindagi kho ker..?
Kaha kal apni aankhon ko bohot bay-jaan daikhha hay!


*

z_haidar 19.09.12 - 05:51pm
doostoon ki bey Niyaazi ko Aadaaa ka naam do.
be rukhi had se jo barrh jaaye anaa ka naam do.

*

dil ke guldan main sajawo taza zakhmo ke gulab.
awar phir siney ko aik baagh-e-wafa ka naam do.

*

ashk shooyi main hateli peh jo lag jaye lahoo.
us ko az Rah-e-Adab range hinaa ka naam do.

*

dil k daaghon ka chaman har dam mehkna chahie.
apni Aahoon ke Dhuwein ko tum saba ka naam do.

*

Utth na jaayein bazm se phir aitibaar-e-doostaan.
unn ki jaanib sey jafaa ko bhi Atta'a ka naam do.

*

Zarf ka maia'aar apney tum kabhi girney naa do.
be wafaai bhi karey gar woh wafaa ka naam do.

*

Maslehat haalaat ki majboor gar ZEBAA karein.
jo dabo de Nawoo us ko naa-khuda ka naam do.
*

z_haidar 19.09.12 - 05:52pm
bevafaa tere ruuTh jaane se
aaNkh miltii nahiiN zamaane se

*

aarizaa ho gayaa hai rone kaa
chand ghaRiyoN ke muskuraane se

*

kitne tuufaaN uTheNge saahil par
ek kashtii ke Duub jaane se

*

DhuuNd aayaa tujhe zamaane meN
tum kahaaN gum ho ek zamaane se

*

ab to duniyaa se jaa rahaa huuN maiN
lauT aao isii bahaane se

*

kis qadar baRh gayii hai lazzat-e-Gham
shiddat-e-Gham meN muskuraane se

*

daar hii ko gale lagaao Shamim
maut behtar hai sar jhukaane se.





_________________ *

z_haidar 19.09.12 - 05:54pm
Chalo Aao NishaaN Dhoondain
Khoya Hua JahaaN Dhoondain

*

Merey Haath Mein Haath De Do
Mil Kar KehkashaaN Dhoondain

*

Thehro! Zara Raakh Kuredain
Jala Hua ArmaaN Dhoondain

*

Meri Raat Ko Roshan Kar De
Taaron Bhara AasmaaN Dhoondain

*

Khud Khoya Teri Talash Mein
Akhir Tujhey KahaN Dhoondain

*

Pathar Dilon Ko Mom Kar De
Aisa Koi MehrbaaN Dhoondain

*

Bhatkey Hoye Ko Panah De
Aao Koi SayibaaN Dhoondain

*

Wo Dil Ki Baat Samajh Le
Aisi Koi ZubaaN Dhoondain

*

Wo Jheel Kinarey Pe Ho ga
Aao Usey WahaN Dhoondain

*

Salamat Dar-o-Deewaar Rakhta Ho
Aaj Aisa MakaaN Dhoondain

*

Be Ikhtiyaari Ka Daman PakRey
Lutf-e-Jalwa-e-JanaaN Dhoondain..





_________________ *

xxkamixx 22.09.12 - 04:04pm
Wah . Bohat khoob *

xxkamixx 22.09.12 - 04:21pm

dekhana ke aap apane pe rashk aa jaaye hai
Mirza Ghalib



dekhana qismat ke aap apane pe rashk aa jaaye hai
mai.n use dekhu bhala kab mujh se dekha jaaye hai

haath dho dil se yahii garmii gar a.ndeshe me.n hai
aab_giinaa tu.ndii-e-sahabaa se pighalaa jaaye hai

Gair ko ya rab vo kiun ker manaa-e-gustaaKhii kare
gar hayaa bhi usko aatii hai to sharmaa jaaye hai

shauq ko ye lat ke
hardam nala Khinche jaaiiye

dil ki vo halat ki dam lene se ghabaraa jaaye hai

door chashm-e-bad terii bazm-e-taraab se vaah vaah

Naghma ho jaataa hai vaa.n gar naalaa meraa jaaye hai

garche hai tarz-e-taGaaful perda-e-raaz-e-ishq

par ham aise khoye jaate hai.n ki vo paa jaaye hai


usakii
Bazm aaraaiyaa,n sunakar dil-e-ranjoor yaa,n

misl-naqsh-e- mudda -e-ghair baitha jaaye hay

hoke aashiq vo pari ruKh aur naazuk ban gayaa


rang khulataa jaaye hai jitana ke i uddta jaaye hay



naqsh ko usake musavir par bhii kya kya naz hai


khinchata hay jis qadar utana hi khinchata jaaye hay

saaya mera mujh se misl-e-duud bhaage hay 'Asad'
pas mujh aatish_ba-jaa.N ke kis se Thaharaa jaaye hai
*

z_haidar 22.09.12 - 05:31pm
Wahhhhhhhhhhhhh @kami Zabrrrrrrrrrrrrrrrr10... maza aa giya pad k..:) *

z_haidar 22.09.12 - 05:33pm
Mohabbat ki aseeri se rehayi mangtay rehna
Buhut asaan nahiin hota judai mangtay rehna

*

Zara sa ishq kar lena zara si aankh bhar lena
Phir us kay baab main saari khudai maangtay rehna

*

Kabhi mehroom honton per dua ka hurf rakh dena
Kabhi wehshat main uski narsai mangtay rehna

*

Wafaon kay tasalsal se mohabbat ruth jaati hai
Kahaani main zara si bewafai mangtay rehna

*

Ajab hai wehshat-e-jaan bhi kay adat ho gayi dil ki
Sukoot-e-sham-e-ghum se hum navai mangtay rehna

*

Kabhi bachay ka nanhe haath per titli kay per rakhna
Kabhi phir us kay rangon say rehai mangtay rehna..


*

z_haidar 22.09.12 - 05:34pm
phir kahoge tum muqaabil ko sazaa ke vaaste
aa_iine ko haath se rakh do Khudaa ke vaaste

*

kaabaa-e-dil ko na taakotum jafaa ke vaaste
ai buto ye ghar Khudaa kaa hai Khudaa ke vaaste

*

yaa ilaahii kis taraf se pas hai baab-e-asar
kaun saa nazadiik hai raastaa duaa ke vaaste

*

kah gaye kyaa dekh kar nabzon ko kyaa jaane tabiib
haath uThaaye hain aziizon ne duaa ke vaaste

*

tum bhii naam-e-Khudaa ho mashq-e-zulm-o-jor ho
aasmaaN se mashvaraa kar lo jafaa ke vaaste

*

mujh ko us miTTii se Khaaliq ne banaayaa hai Qamar
rah gaiin thii jo azal ke din vafaa ke vaaste ..
*

z_haidar 22.09.12 - 05:39pm
ye kah kar diye merii qismat mein naale
tumhaarii amaanat tumhaare havaale

*

bas itaanii hai duurii ye manzil hai ye main huuN
kahaaN aake phuuTe hain paaon ke chhaale

*

karuun aisaa sajdaa vo ghabaraa ke kah den
Khudaa ke liye ab to sar ko uThaa le

*

mariiz-e-shab-e-Gam kii saaNs aaKhirii hai
charaaG-e-sahar le rahaa hai sambhaale

*

kabhii mar bhii chuk ai mariiz-e-muhabbat
pareshaan baiThe hain ghar jaane vaale

*

qayaamat hain zaalim kii niichii nigaahen
Khudaa jaane kyaa ho jo nazaren uThaa le

*

Qamar main huuN muKhtar tanziim-e-shab kaa
hain mere hii bas mein andhere ujaale ..
*

kanval 25.09.12 - 03:49pm
Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe
~
Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou
Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe
~
Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe
~
Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay
Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe?!!!
*

samina11 29.09.12 - 03:05pm
Kabhi jhirrki se kabhi pyar se samjhaate rahe,
Hum gayi raat pe dil ko liye behlaate rahe,
*
Apne ikhlaaq ki shohrat ne ajab din dikhlaye,
Woh bhi aate rahe, ehbaab bhi sath ate rahe,
*
Hum ne tu lutt ke mohabbat ki riwayat rakh li,
Un se to poochiye woh kis liye pachtaate rahe,
*
Uss ke to naam se wabasta hai kaliyon ka gadaaz,
Aansu tum se to pathar bhi pighal jaate rahe,
*
Yun to naehlon ke peeney se jigar katta tha,
Hum bhi paimaaney se paimaaney ko takraate rahe,
*
Un ki yeh waza-e-qadeemana bhi Allah Allah,
Pehle ehsaan kiya, baad ko sharmaate rahe,
*
Yun kise milti hai mamool se fursat lekin,
Hum to is lutfeyaar se bhi jate rahe..
*

z_haidar 1.10.12 - 03:43am
**564361_189608294497505_91853178_n.jpg

*

mere GHam ka Hisab mat keejo
vaqt apna KHrab mat keejo

*

shikva-e-iztrab mat keejo
us k ruKH ko gulab mat keejo

*

maiN ne tujh ko chuna hy
KHair hoi
tu meraa intKHab mat keejo

*

do hi din ka fqat tamasha hy
kuch GHaror
ae shabab mat keejo

*

zindagi kis se fataH hoti hy
aitbar-e-sarab mat keejo

*

jo meri chashm=e=tar me rehte haiN
un pe ya rab!
azab mat keejo

*

mujh se tanhai me nimaT leejo
bazm me aab aab mat keejo

*

sharm'sari si
sharm'sari hy
Hashr me tu Hisab mat keejo

*

maiN bohat aas ly k aya hoN
aaj k din Hijab mat keejo .

*

z_haidar 1.10.12 - 03:50am
****545640_188500097941658_942460531_n.jpg


*
Mohabat bhari daastan chahta hoon,
Main tum sa koi meherban chahta hoan,
*
Na ho jis mein koi bhi dushman kisi ka,
Mohabbat ka aesa jahaan chahta hoon,
*
Wohi qehqahey, jhamgatey doston ke,
Mein phir wohi shokhiyan chahta hoon,
*
Mohabbat ki chashm-e-karam karde mujh per,
Karri dhoop mein saayebaan chahta hoon,
*
Wohi raat joban pe aayi huyi,
Sitaron ki woh kehkashan chahta hoon,
*
Bari der tak sahilon pe tehelna,
Gayi rut ka pehle samaan chahta hoon..
*

rubyzzz 2.10.12 - 05:03pm
So nice poetry bro! *

rubyzzz 5.10.12 - 08:36am
Waao zee bro ! Ala janb *

samina11 6.10.12 - 01:46pm
*Kabhi jhirrki se kabhi pyar se samjhaate rahe,
Hum gayi raat pe dil ko liye behlaate rahe,
*
Apne ikhlaaq ki shohrat ne ajab din dikhlaye,
Woh bhi aate rahe, ehbaab bhi sath ate rahe,
*
Hum ne tu lutt ke mohabbat ki riwayat rakh li,
Un se to poochiye woh kis liye pachtaate rahe,
*
Uss ke to naam se wabasta hai kaliyon ka gadaaz,
Aansu tum se to pathar bhi pighal jaate rahe,
*
Yun to naehlon ke peeney se jigar katta tha,
Hum bhi paimaaney se paimaaney ko takraate rahe,
*
Un ki yeh waza-e-qadeemana bhi Allah Allah,
Pehle ehsaan kiya, baad ko sharmaate rahe,
*
Yun kise milti hai mamool se fursat lekin,
Hum to is lutfeyaar se bhi jate rahe..
*

i_am_ur 16.10.12 - 05:07pm
ma fav ghazal:
**

Ab To HathooN Se LakereiN Bhi
Miti Jati HeiN,,,
Us Ko Kho Kar To Mere Pas
Raha Kuch Bhi Nahi...


Kal BicharNa Hai To Phir Ehd-e-
wafa Soch K BaNdh,,,
Abhi Aaghez-e-muhabat Hai
Gaya Kuch Bhi Nahi...


MaiN To Es Wastey Chup HooN
K Tamasha Na BaNey,,,
Tu Samjhta Hai Mujhe Tujh Se
Gila Kuch Bhi Nahi...!!!!!!



** *

kanval 20.10.12 - 02:10pm
Woh samar tha meri duyaaon ka usey kis ne apna bana liya,
Meri aankh kis ne ujaar di mera khawb kis ne churaa liya,
~
Tujhe kya batayen ke dilnasheen, tere ishq mein, teri yaad mein,
Kabhi guftagu rahi phool se, kabhi chaand chat pe bulaa liya,
~
Meri jang ki wohi jeet thi, meri fataah* ka wohi jashn tha,
Main gira to dorr ke us ne jab mujhe bazuyon main uthaa liya,
~
Meri chaand chooney ki hasrtain, meri khushu hone ki khawhishain,
Tu mila to aesa laga sanam, mujhe jo talab thi woh paa liya,
~
Mere dushmanon ki nazar mein mera qadd* bara hi raha sadaa,
Meri maan ki pyaari duyaaon ne mujhe zilaton* se bachaa liya,
~
Mujhe pehle pehle dekh kar jo tera haal tha mujhe yad hai,
Kabhi jal gayi teri rotiyaan, kabhi hath tu ne jalaa liya,
~
Meri diary meri shayari Shahbaz parh ke woh ro parri,
Mere paas aake kaha mujhe, bara rog tu ne laga liya..
*

samina11 25.10.12 - 12:25pm
Har aik darakhtt hai jharrna meri jaan,
Issey kehte hain ujarrna meri jaan,
*
Kesa lagta hai sawarney ke liye,
Baaz aukaat bigarrna meri jaan,
*
Teri aamad ka pata deta hai,
Saans ka aese ukharrna meri jaan,
*
Roshni apni jagha ghairti hai,
Tum hawaaon se na larrna meri jaan,
*
Hum nahin hon ge to peyshaani* koi,
Kissi pathar pe ragarrna meri jaan,
*
Tere milne se khulaa hai mujh per,
Kitna mushkil hai bicharrna meri jaan,
*
Asmaan khaak huye hain pal main,
Kya zameenon pe akarrna meri jaan..
*

samina11 25.10.12 - 12:26pm
Zara si dair ko manzar suhaaney lagte hain,
Phir us ke baad yehi qaidkhaney* lagte hain,
*
Main sochta hoon ke tu darbadar na ho warna,
Tujhe bhulaney mein koi zamaney lagte hain,
*
Kabhi jo hadh se barrhe teri yaad ka habbas,
Khulli fizaa main tujhe gungunaney lagte hain,
*
Jo tu nahin hai tujh se kiye huye vaadey,
Hum apne aap se aksar nibhaney lagte hain,
*
Ajeeb khail hai jalte hain apni aag main hum,
Phir apni raakh bhi khud hi urraney lagte hain,
*
Yeh aney waley zamaney mere sahi lekin,
Guzishta umar ke saaye daraaney lagte hain..
*

z_haidar 28.10.12 - 08:16am
*2087_435489713176368_1884115474_n.jpg


*

Bohut farsoda lagte hain mujhe ab yar k Qissy,
Gul-o-gulzar ki batein lab-o-rukhsar k Qisay,

*

Yahan sb k muqadar main faqat zakhm-e-judai hai,
Sbhi jhoote fasane hain wisaal-e-yar k Qissy,

*

Bhala ishq-o-mohabat se kisi ka Pait bharta hai,
Suno tm ko sunata hun me karobaar k qissy,

*

Mere ahbab kehte hain yehi ik Aeb hai mujh mAin,
Sir-e-deewar likhta hun pas-e-deewar k Qissy,

*

MAin aksar Es liye logo se ja kr khud nahin milta,
Wohi be-kaar ki baten wohi be-kaar k Qissy......!!
*

z_haidar 4.11.12 - 03:05am
IQbal Tere Des ka Kya Haal Sunaon,

*

Be'Baaki-o-Haq'Goyi se Ghabrata hai Momin,
Makkari-o-Farebi pe____ Itraata hai Momin,

*

Jiss Rizq se Parwaaz main Kotaahi ka Darr ho,
Woh Rizq Ab Barhay ShOq se Khata hai Momin,

*

Kirdaar ka, Guftaar ka, Aa'amal ka Momin,
Qaa'il Nahin Aise___ Kisi Janjaal ka Momin,

*

Sarhad ka Momin hai to Koi Punjab ka Momin,
Dhoonde se bhi Millta Nahin, Qur'an ka Momin,


*

Iqbal Tere Des ka Kya Haal Sunaon...!! *

i_am_ur 4.11.12 - 05:14pm
reading ........... *

i_am_ur 4.11.12 - 05:16pm

dedicated 2 ma frnz :-)
*

Ajeeb Dastan Hoti Hai Dosti Ki...
Larna Milne Se B Acha Lagta Hai..

Lar K Manane Wale B Hote Hen
Kuch..
To Kuch Ko Chirana Acha Lagta
Hai..

Dost K Munh Se Kuch Sunne K
Liye..
Kbi Jhuk Jana B Acha Lagta Hai..

Safr Train Ka Ho Ya Zindagi Ka..
Khatm He Nai Hoti Batein..
Phr B Khamosh Reh Kr Muskrna
Acha Lgta Hai..

4 Dosto Me Lgta Hai Mil Gai Puri
Duniya..
Baki Sb Bhol Jana Acha Lgta Hai..

Yaro Hmesha Sath Rhna..
Ye Tmhara Yarana Acha Lagta Hai...
*

i_am_ur 4.11.12 - 05:19pm
I knw yu ol idiotz (ma frnz) shud watch ..... mtlb shud read it *

z_haidar 5.11.12 - 04:47pm
Yoon Tere Talismat___ka Iz'haar hua hai,,
Ik Khwaab mera Neend se Bedaar hua hai,

*

Sub Khoon Paseena mere Dehqan ka Pee kar,
Ik Fard mere Gaaon____ ka Sardaar hua hai,,

*

MAin Us se mila____Zaat ki Diwar gira kar,
Jo Shakhs meri Raah____ ki diwar hua hai,

*

Gum'nam tha jo wo B Muhabbat ki Badolat,
Mash'hoor hua itna k___ Akhbaar hua hai,,

*

Tujh ko nahi Ehsaas K___ Aey Dil teri Khatir,
Ik Shakhs barhay Kaam ka Bekaar hua hai...!!
*

i_am_ur 6.11.12 - 03:49pm
man%20praying.jpg
!!!!!

Kuch mjburyan thi meri,
mein BEWAFA Nahi,
Shayad ho lehja talakh pr me bura
Nahi,

Ye ZINDAGI hmari kuch is tarha se
hy guzri,
Jeeny ka mujh me baqi ab hosla
Nhi,

GARDISH-E-ZINDAGI me Paya to
bht kuch,
Lekin JO DIL NEY CHAHA WO HUM
KO MILA NAHI,

Kuch rishton ki majburiyan,
kuch rasmon ki deewar thi,

Taqdeer se Hum ko to koi gila Nhi,
Ik SHAKHS ko MANGA tha hum ne
DUA mai,

HAATH Us k baad ab tk phr UTHA
Nahi..


**
*

xxkamixx 31.01.13 - 01:10am

kaT hii ga_ii judaa_ii bhii kab yuu.N huaa ke mar gaye
tere bhii din guzar gaye mere bhii din guzar gaye

tuu bhii kuchh aur aur hai ham bhii kuchh aur aur hai.n
jaane vo tuu kidhar gayaa jaane vo ham kidhar gaye

raaho.n me.n hii mile the ham raahe.n nasiib ban ga_ii.n
tuu bhii na apane ghar gayaa ham bhii na apane ghar gaye

vo bhii Gubaar-e-Khaak thaa ham bhii Gubaar-e-Khaak the
vo bhii kahii.n bikhar gayaa ham bhii kahii.n bikhar gaye

ko_ii kinaar-e-aab-e-juu baiThaa huaa hai sar_niguu.N
kashti kidhar chalii ga_ii jaane kidhar bha.Nvar gaye

tere liye chale the ham tere liye Thahar gaye
tuu ne kahaa to jii uThe tuu ne kahaa to mar gaye

vaqt hii kuchh judaa_ii kaa itanaa taviil ho gayaa
dil me.n tere firaaq ke jitane the zaKhm bhar gaye

baarish-e-vasl vo hu_ii saaraa Gubaar dhul gayaa
vo bhii nikhar nikhar gayaa ham bhii nikhar nikhar gaye

itane qariib ho gaye itane raqiib ho gaye
vo bhii Adeem Dar gayaa ham bhii Adeem Dar gaye
*

safi..r 6.02.13 - 02:21pm
Sadiyon se ik sapna hai
kaho pura karogey tum??
bhool jao mere siwa sab kuch
kaho aisa karogey tum??
nahe kuch or tamana ab
k bas mere hojao tum
kabhi na chor k jaogey
kaho aisa karogey tum??
faqat ik lafz sunney ko
kaey barson se tarsa hun
MUJHEY APNA BANA LO TUM
kaho aisa karogey tum??? *

saasifji 12.04.13 - 08:59pm
Assalamualaikum,Haidar bhai,jasarat ke hai Gazal kahne ke mulahiza farmae'n.....
Tu Mera Sanam Hai Meri Zindagi Hai/
K Teri Mohabbat Meri Bandagi Hai//
Tera Gam,Mera Gam Hai A Mere Hamdam/
K Teri Khushi Me He Meri Khushi Ha//
Na Bhatko Jaha'n Me Idhar Aao Logo/Mohabbat Ke Barish Yaha'n Ho Rahi Hai//
Hawao'n Zara Houle-Houle Chalo Tum/
Mere Dil Ke DharkaNKo Neend Aa Rahi Hai//
Mujh AasiKe Duniya Hai Choti Se Duniya/
Jaha'n Mai Hu'n Aur Bas Meri Zindagi Hai//
Aasi-Balaghati
*

z_haidar 12.04.13 - 11:34pm
W/salam bro ... ummmdaaa intikhaab hai aap ka ... zab10 *

z_haidar 12.04.13 - 11:51pm

Loogon Ke Lye Saahib-e-Kirdaar Bhi Mein Tha
Khud Apni Nigaahon Mein Gunaahgaar Bhi Mein Tha
*
Kiun Ab Mere Mansab Ki Salaami Ko Kharay Ho ?
Yaaro Kubhi Ruswa Sar-e-Baazaar Bhi Mein Tha
*
Mein Khud Hee Chhupa Tha Qaf-e-Qaatil Ki Shikan Mein
Maqtool Ki Tooti Howi Talwaar Bhi Mein Tha
*
Chheentay Hain Jahan Ab Mere Maasoom Lahoo Ke
*
Os Farq-e-Falak-Naaz Ki Dastaar Bhi Mein Tha
*
Meri Hee Sadaa Lout Ke Aayi Hai Mujhi Tak
Shayad Had-e-Aflaak Ke Os Paar Bhi Mein Tha
*
Manzil Pe Jo Pohancha Hun Tou Maaloom Howa Hai !
Khud Apnay Lye Raah Ki Deewaar Bhi Mein Tha
*
Ab Mere Taaruf Se Guraiza Hai TU Laikin
Kal Tak Teri Pehchaan Ki Mayaar Bhi Mein Tha
*
Dekha Tou Mein Afshaa Tha Har Ik Zehen Pe Mohsin
Socha Tou Pas-e-Parda Israar Bhi Mein Tha




_________________
*

z_haidar 12.04.13 - 11:52pm
*
Karray Safar Mein Agar Raasta Badalna Tha
Tou Ibtedaa Mein Mere Saath Hee Na Chalna Tha
*
Kuch Is Lye Bhee Tou Sooraj Zameen Pe Utraa Hai
Pahaarion Per Jami Barf Ko Pighalna Tha
*
Utar Ke Dil Mein Lahuu Zeher Kar Gaya Aakhir
Wo Saanp Jis Ko Meri Aastee.n Mein Palnaa Tha
*
Ye Kia Ke Tohmatain Aatish-Fishaan Ke Sar Aayein
*
Zameen Ko Yun Bhee Khazaana Kubhi Ugalna Tha
*
Mein Lagzishon Se Atay Raaston Pe Chal Nikla
Tujhe Ganwa Ke Mujhe Phir Kahan Sambhalna Tha ?
*
Ajab Naseeb Tha Mohsin Ke Baad-e-Marg Mujhe
Charaagh Ban Ke Khud Apni Lehad Pe Jalna Tha..


*

saasifji 13.04.13 - 03:56am
Shukriya bhai lekn ap ke clecsn b LajawaB hotey hai. *

saasifji 6.05.13 - 09:27am
KHAT Uska Barso'N Se Aaya Nahi Hai/
ToH Kya MAHBOOB Wo mera Nahi Hai//
KHAFA Mujhse Hai Wo Thora Sa Lekin/
JUDA Hai Mujh se Wo
Aisa Nahi Hai//
Teri Aankho'N Me AANSU Aa Gae Ku'N/
TU Jab Kuch Bhi MERA Lagta Nahi Hai//
MUJHI Se Koun Milwaega MUJ HKO./
K Mere Ghar Me AAEENA
Nahi Hai//
Meri Aankho'N Ko AANSU Dene Wale/
Bata Kya Chup K To ROTA Nahi Hai///
Hamara ISHQ Hai Misle GUL-O-BOO/
Ye MATLAB Se Bhara RISHTA Nahi Hai//
MIJAZ Uska Bhi Bilkul Waqt Sa Hai/
GAYA AasiTo Fir Louta Nahi Hai//
Aasi~Balaghati
*

6-<< 2-< 1-> 7->>


* Reply
* UrdUMaG Forum


Search:
topics replies


* UrdUMaG

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store