WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

UrdUMaG - Topics
Create Your Own App Store

* UrdUMaG > Topics


Subject: * UrdU~GhaZaLs~ PoEtRYs~ P[6]*
Replies: 720 Views: 49121
6-<< 2-< 1-> 7->>

i_am_ur 13.07.12 - 05:38pm
**
Jab Yad Ka Alb*m Kholon to,
.
Kuch Log Boht Yad ate Hn,
.
Main guzre dino ko Sochon to,
.
Kuch Log Boht Yad ate Hn,
.
Ab Jane Kis Ngri Mian,
.
Soay Pare Hy Mudat Se,
.
Main Rat Gaye Tak Jagon to,
.
Kuch Log Boht Yad ate Hn,
.
Kuch Batein Theen Pholon Jesi,
.
Kuch Khushbo Jese Lehje thy,
.
Mein Sheher-e-Chaman Men Tehlon
to,
.
Kuch Log Boht Yad ate Hn,
.
Wo Pal Bhar ki Narazgiyan Aur Maan B
Jana pal Bhar Men,
.
Ab Khud Se Jb b Rothoon to,
.
Kuch Log Boht Yad ate hen.
*

hamza21 14.07.12 - 12:08am
Shaam-e-Gham Jab Bikhar Gayi Hogi .
Jaanay Kis Kis Ke Ghar Gayi Hogi ..
Chandni Ek Shab Ki MehmaaN thi..
Subah Hotay Hee Mar Gayi Hogi
Dair Tak Wo Khafa Raha Hai Mujh se.
Door Tak Ye Khabar Gayi Hogi
Ik Darya Ke Rukh Badaltay Hee.
Ik Nadi Phir Utar Gayi Hogi
Jis Taraf Wo SafaR Pe Nikla Tha..
Saari RonaQ udhar Gayi Hogi..
Meri YaadoN Ki Dhoop Chaaon Mein.
Oski Soorat Nikhar Gayi Hogi..
Ya Taluq Na Nibh Saka Os se.
Ya TAbiyat Hee Bhar Gayi Hogi..! *

hamza21 14.07.12 - 12:09am
Zakhmon Ko Gulaab Likh Rahay Hain
Jaisay Koi Khwaab Likh Rahay Hain
Paani Ko Bana Ke Roshnaai
SholoN Ka Jawaab Likh Rahay Hain
Hum Apni Khushi Se Apne Tan Par
Mausam Ka Aazaab Likh Rahay Hain
Wo Saamnay Rakh Ke Chikna Kaaghaz
Baarish Ka Hisaab Likh Rahay Hain
Parhtay Hain Hum Tou Chehray
Aur Aap Kitaab Likh Rahay Hain *

hamza21 14.07.12 - 12:16am
Hijar m khoob rulaty ho kahan hoty ho.,.?
...
Laut kar kyun nai atay ho kahan hoty ho.,.?
...
Mujh se bichray ho to
mehbob-e-nazr ho kis k.,.?
...
Aj kal kis ko manaty ho kahan hoty ho.,.?
...
Shaam ki tanhai m aksar ye kheyal ata hai.,.
...
Apne dukh kis ko sunaty ho kahan hoty ho.,.?
...
Sard raton m tumhein kese bhula sakta hon.,.
...
Aag c dil m lagaty ho kahan hoty ho.,.?
...
Shehar k log bhi Mujh se aksar Pochtay han.,.
...
Ab bohat KAM nazar Atay ho, Kahan hotay Ho?? *

hamza21 14.07.12 - 12:17am
Kisay khabar thi k dil ka ye haal hona tha...
Tumhain ganwa k humain bhi malaal hona tha...
Humaary waasty rasta koi bacha kab hai,,,
Waheen thay zakham waheen anzmaal hona tha...

Main tera naam likhoon khushbuon si jal uthain,,,
Ye moujza bhi mery khush jamaal hona tha...

Ye wo badan k jisay taazgi muqadr thi,,,
Kisay khbar thi k yun paamaal hona tha...

Kabhi gulaab say mehkain kabhi chragh jalain,,,
Sukhan jo baab main ye bhi kmaal hona tha...

Kamal_e_saada dili k bad'gumaani hy,,,
Tmhary lab pe bhi koi swaal hona tha...

Hawa_e_shehr nay rakha bohut udaas magar,,,
Mera yaqeen_e_muhabbt bahaal hona tha.. *

kanval 17.07.12 - 04:14am
nyyyccc *

kanval 17.07.12 - 04:16am
Chehray Parhti Aankhein Likhta Rehta Hun
Mein Bhi Kaisi Baatein Likhta Rehta Hun
~
Saray Darakhton Jaisay Lagtay Hain
Aur Baahon Ko Shaakhein Likhta Rehta Hun
~
Tujh Ko Khat Likhnay Ke Tewar Bhool Gaye
Aarhi Tirchi Satrein Likhta Rehta Hun
~
Teray Hijr Mein Aur Mujhay Kya Karna Hai ?
Teray Naam Kitaabein Likhta Rehta Hun
~
Tujh Say Mil Kar Saaray Dukh Dohrawon Ga
Hijr Ki Saari Baatein Likhta Rehta Hun
~
Sukhay Pattay, Phool, Kitaabein, Zakham Judayi Ke
Teri Sub Sogaatein Likhta Rehta Hun

*

kanval 17.07.12 - 04:16am
Jo Ratjagay Mein Badan Per Azaab Rakhta Hai
Wohi Tou Aankh Mein Jheelon Ke Khwaab Rakhta Hai
~
Wohi Tou Hai Jo Badalta Hai Mausamon Ke Rang
Jo Apne Pehluu Mein Sookhay Gulaab Rakhta Hai
~
Wo Ujri Basti Mein Dholak Ki Thaap Per Naachay
Jo Apni Hasti Mein Zewar Ke Khwaab Rakhta Hai
~
Nikhaar Paye Ga Kiun Ker Labon Ka Rung Mera ?
Visaal Apna Jo Masl-e-Saraab Rakhta Hai
~
Wohi Tou Zaira Ko Boond Boond Tarsaaye
Jo Dasht-e-Hijr Mein Baadal Ke Khwaab Rakhta Hai.
*

xxkamixx 27.07.12 - 06:03pm
Jub sabaq yad hua kta tha

Waqt ustaad hua kerta tha

Wo jo ik sher mukamal na hua

Baays e dadh hua kerta tha

Ye jo ik shehr nazer ata hay

Dasht abaad hua kerta tha

Jo bhi ashaar likhe jaate thay

Ashq bunyaad hua kerta tha

Aayina dekh ke yaad aya !
Mein bhi azaad hua kerta tha *

z_haidar 28.07.12 - 02:24pm
Hoon aapne dil mein dafn kuch arman kiye hoye


*

jo dil ko noor-e-haqq se hai taaba kiye hoye
har bazm ko hai appni darakhshaan kiye hoye
*
mein jii raha hoon ashk-e-nadamat ke faiz se
har lamha un ko appna nighehbaan kiye hoye
*
ya Rab hai tera zikr ajab kiimiya asar
sehrah ko bhi hai mere gulistaan kiye hoye
*
dono jahan ka kaif samoota hai rooh mein
jiita hai app ko jo mehrbaan kiye hoye
*
har lamha-e-hayaat howa rashq-e-sad-hayat
us khaaliq-e-haayat pe qurbaan kiye hoye
*
har khoon-e-aarzo ka silla dil ko jab mila
aalam ko hai wo mazhar-e-jaana kiye hoye
*
kerta nahin jo appni hifazat gunah sey
gulshaan ko bhi hai aah-bayabaan kiye hoye
*
kesey samajh loon pa gaya wo jaam-e-maarfaat
rakhta hai jo bhi khud ko numaya kiye hoye
*
rakhta hai mujh ko mast khizana ye qalbb ka
hoon appne dil mein dafn kuch aarman kiye hoye
*
haalat badal ga_ii hai ye murshiid ke faiz se
warna thei rind zindagi viraan kiye hoya
*
hota hai tei ye rasta, maalik ke jalb se
karte magar hain jalb ko pinhaan kiye hoye
*
Akhtar ko kiya howa hai ke aalim mein har taraf
phirta hai appna chaak-e-gire-baan kiye hoye.



Hazrat Moulana Shah Hakeam Muhammad Akhtar

*

z_haidar 28.07.12 - 02:25pm
mitti tha mein khameer teray naaz sey utha
phir haft aasmaN meri parwaz sey utha
*
insaan ho kisi bhi sadi ka kahin ka ho
ye jab utha zameer ki awaaz sey utha
*
subh-e-chaman mein ik yehi aaftab tha
is aadmi ki laash ko ezaz sey utha
*
soo kartaboN sey likha geya ik ik lafz
lekin ye jab utha kisi ejaz sey utha
*
ae shahsawar-e-husn ye dil hai ye mera dil
ye teri sarZameeN hai qadam naaz sey utha
*
mein pooch looN kiya hai mera jabr-o-ikhtiyar
ya Rab ye massla kabi aghaaz sey utha
*
wo abr shabnami tha key nehla geya wajood
mein khwab deikhta hova ilfaz sey utha
*
shair ki aankh ka wo sitara hova Aleem
qaamat mein jo qayamati andaaz sey utha.



[Obaidullah Aleem]
*

samina11 29.07.12 - 02:56pm
v v nyc poetry guys!! lyk it!! *

samina11 29.07.12 - 02:57pm
Azaab Jitne Bhi Aane The Tal Gaye Saare
Teri Nigaah Se Mosam Badal Gaye Saare,
*
Bas Ek Shikaar Howa Ek Hi Shikaar Howa
Pher Us K Bad Parinde Sanbhal Gaye Saare,
*
Para Hoon Be Sar-o-Samaan Sab-e-Maqtal Mein
Mere Khiyaam Sar-e-Shaam Jal Gaye Saare,
*
Woh Mil Giya To Usay Kuch Bhi Na Keh Paaya
Jo Lafz Soche The Ashkon Mein Dhal Gaye Sare,
*
Ek Intizaar Ne Aysa Hisaar Mein Rakha
Mein Peeche Reh Giya Aage Nikal Gaye Sare.


*

samina11 29.07.12 - 02:57pm
Zindagi rukh badal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,
Zindagi ko galey laga leta,
Har tamana pighal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,
*
Khawab palkon pe mein sajaa leta,
Tujh ko seeney se mein laga leta,
Apne dil mein tujhe basaa leta,
Meri kismat badal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,
*
Aahh nikle gi hont si loon ga,
Jis tarah ho sake ga jee lon ga,
Zeher bhi hanste hanste pee loon ga,
Gham ki yeh dhoop dhal gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti,
*
Ab tere gham ko dil mein paloon ga,
Haan judai ka zakham kha loon ga,
Maut ko bhi galey laga loon ga,
Maut bhi aa ke tall gayi hoti,
Kash tu mujh ko mil gayi hoti..

*

kanval 30.07.12 - 01:41pm
Main Logon Se Mulaqaton K
Lamhy Yaad Rakhta Hoon
~
Main Baatain Bhuul Bhi jaon
Tou Lehjy Yaad Rakhta Hoon
~
Sar-e-Mehfil Nigahain Mujh Pe
Jin Logon Ki Parti Hyn
~
Nigahon k Hawaly Se
Wo Chehry Yaad Rakhta Hoon
~
Zara Sa Hut k Chalta Hoon
Zamany Ki Riwayat Se
~
K Jin Pe Bojh Main Daalon
Wo Kaandhy Yaad Rakhta Hoon.
*

kanval 30.07.12 - 01:42pm
Jo apna daamun sumait kar meri zindagi say chala gaya
Meray dil osay na talaash kar jo chala gaya wo chala gaya
~
Jis nay mord k daikha na meri soo bus ik simt ko chal parda
Wo guzray kal ka ik peher thha jo chala gaya wo chala gaya
~
Wo meray dil kee kitaab thha meri jostojoo ka jawaaz thha
Wo mera maazi-o-haal thha jo chala gaya wo chala gaya
~
Main taptee dhoop kee khhaak thha wo meray sar pay ik dhal thha
Wo kahan gaya na khayal kar jo chala gaya wo chala gaya
~
Na he hum say koe gila kya na he hum say wo khafa howa
Inhein raaston main judda howa jo chala gaya wo chala gaya
~
Meray khawab main meray khayal main meri zindagi kee kitaab main
Thha warq warq pay likha howa jo chala gaya wo chala gaya
~
Na udaas reh kar tou dil dukha bus zindagi ka qarz chukka
Kahan loat kar koe aayega jo chala gaya wo chala gaya
~
Shaukat ye ghum ajeeb hay na wo door hay na kareeb hay
Ye luzzat be r hay jo chala gaya wo chala gaya.
*

hamza_g 30.07.12 - 02:12pm
Tm maham he ho na, such btana, *

z_haidar 31.07.12 - 06:28pm
@Hamza G kon Mayam hai ? *

z_haidar 31.07.12 - 06:29pm
mujh sy bicher na jaye mera saya maaN
mein kuch or bhi ho na jaoN tanha maaN
*
akhir kis din ki qaid sy chhotoN ga
kis din khola jaye ga ye pinjra maaN
*
jab tak teri goud mein tha, mein raja tha
ab mein hoon or mere hath mein kasa maaN
*
is ki laash mili thi gandey naaley sy
jis ka rasta deikh rahi thi beva maaN
*
sari duniya ghor andhera. kali raat
our is raat mein soraj, chand, sitara maaN
*
apna bikhra rizq ikhata kerna hei
majbori hei mein chalta hon, acha maaN
*
apney apney hamdard ky naam likho
jab ye hukm hova to mein ne likha, maaN..



Hassan Javead *

z_haidar 31.07.12 - 06:30pm
Teri azmaton sy hon be-khabar
ye meri nazar ka qasoor hy
*
teri rah-guzar mein qadam qadam
kahin Arsh hy kahin 'Toor' hy
*
Ye bja hy malik-e-bandagi
meri bandagi mein qasor hy
*
Ye khata hy meri khata Mgr
tera naam bhi to QAFOOR hy
*
Ye bta ky tuj sy milon kahan
mujhey Tuj sy milna zaroor hy
*
Kahin dil ki shart na dalna
abhi dil nigahon sy dor hy.

*

samina11 2.08.12 - 12:04pm
Pyar woh aur mere dil mein barhaa deta hai,
Kabhi rota hai kabhi mujh ko rulaa deta hai,
*
Kaun aata hai meri ankhon mein jugnu le ker,
Khawhishain kaun mere dil mein jaga deta hai,
*
Pehle karta hai bare naaz se be-barg o samar,
Phir meri rooh mein phool woh khilaa deta hai,
*
Woh mera chand meri ankhon se aujhal ho kar,
Ik sitara meri palkon pe sajaa deta hai,
*
Us ki har roz ki mulaqat se dar lagta hai,
Roz milta hai to ik zakham neya deta hai,
*
Apni qurbat mein bhi rakhta hai woh furqat ki fizaa,
Mera apna hi to hai mujh ko sazaa deta hai,
*
Aatish-e-gham se mere dil ko jalaata hai Nadeem,
Woh ajab shakhs hai sholay ko hawaa deta hai
*

kanval 3.08.12 - 04:30pm
Khat Likh Raha Hun Ahd_e_Mohabbat Ko Tor K..
~
Kaaghaz Pe Aansuon Ki, Jagah Chor Chor K..
~
Tu Fikar-Mand Q hai Mera Dil Tor K?
~
Me Khud Hi Ja Raha Hun Tera Shahr Chor k..
~
Kal Raat Likhne Betha Ghazal Tere Naam Ki,
~
Alfaz Saamne The Khare Yun Haath Jorr Jorr k..
~
Jis Me Tumhara Aks_e_Haseen Dekhta Tha me,
~
Tum Ne To Rakh Diya Wohi Aaina Torr K..
~
ye Daastaan_e_zeest Bhi Kitni Taweel Hai?
~
Rakhna Pare Hain Mujh Ko Kuch Warq Morr Mor K.
*

kanval 3.08.12 - 04:33pm
Tum Jao Humse Door To Aik Kaam Kar Jana
Kuch Pal Apne Hamare Naam Kar Jana
~
Ager Aa Jaye Maut Humein Tere Aane Se Pehle
To Aa Kar Mere Janaze Ka Ehtaram Kar Jana
~
Na Rona Is Kadar Ke Taklef Ho Humein
Maut Ko Bi Mazak Samjh Kar Anjaan Ban Jana
~
Main Ek Din So Jaon Ga Sada Ke Liye
Phir Mujhe Bewafa Keh Ke Badnam Kar Jana
~
Jo Guzro Meri Qabar Se To Nazarein Na Pherna
Mehman Hi Ban Ke Dua Salam Kar Jana.
*

i_am_ur 3.08.12 - 05:23pm
reading........ *

i_am_ur 3.08.12 - 05:26pm
ma fav:
**
Wo Sawan Ki Rut Thi, Wo Barish K Din The
Mile Sard Raton Mein Jab Hum Se
Tum The..


Tha Bhiga Sa Aanchal, Thi Galon Pe
Boonden,
Man Mein Thi Halchal Aur Dil Mein
Umangen..
Tha Hathon Mein Mere, Sanam
Haath Tera
Aur Sapnon Ki Duniya Mein Hum
Dono Gum The

Thi Choti Wo Raten, Wo Pyari
Mulakaten,
Khatam Na Hoti Thi Kabhi Apni
Baten..

Thi Choti Wo Raten, Bahut Lambe
Din The,
Mile Sard Raton Mein Jab Hum Aur
Tum The..


Wo Yaden Hain Ab Bhi, Tu
Khwabon Mein Ab Bhi,

Hai Jhalak Tere Chehre Ki Ashkon
Mein Ab Bhi

Hum Aise To Na The,Na Aise He
Tum The,
''Mile Sard Raton Mein Jab Hum Se
Tum The''


** *

z_haidar 3.08.12 - 07:31pm
hmmmm boh0t ache Ali.. tuch.... *

z_haidar 3.08.12 - 07:32pm


Us KhamOosh NumbEr Par
Missed Call Kartay h0

PathrOn Say Khushbu Ka
Tum Sawaal Kartay h0

Kya Khabar Nahi Tum Ko .!!
Rabtay Barhanay Se
Faslay Mitanay Se
Bayshumar Qison Ka
Aitbaar Hisoon ka
Rabt Toot Jata He ..

Qah'qahoon k sawan mein
Ansoon K Darya ka
Zabt Toot jata he ..

Bain Gunguna'tay Hain
Wasl k Basay Ga'on
Zeray Aab Aatay hain
Aur Kisi k Milnay k
Sirf Khaab Aatay hain
Tum yeh bhi jantay ho
Phir------?Kamaal Kartay ho!
janay wali khushbu ka
Q malaal kartay ho.!!
apnay ek lamhay ko
ek sal kartay ho


uss khamoosh number par

Missed Call Kartay h0.
*

z_haidar 3.08.12 - 07:35pm
Lamha Lamha Tere Wajood Main Basar Hota

khoob Hota jo Main Teri Rooh ka Mehwar Hota

Teri in jheeL Si Ankhon Main Mera Ghar Hota

Teri Ankhen jo Dekhti Main Wo Manzar Hota

kabhi Patjhar

kabhi Rim jhim

kabhi sawan

kabhi BadaL

kabhi Panchi

kabhi Amber Hota

Teri Umeed ka HasiL

Teri koshish ka SiLa

Main Tere ishQ

Tere Sabar ka

Samar Hota

Kia khoob Hota jo Main Teri Rooh ka Mehwar Hota

KAASH

Lamha Lamha Tere Wajood Main Basar Hota.
*

z_haidar 12.08.12 - 07:01pm
mein ny jb likhna seakha tha
pehly Tera naam likha tha

mein wo Ism-e-Azeem hon, jis ko
jin-o-Malik ny Sajda kya tha

mein wo xabr-e-sameem hon, jis ny
baar-e-imanat sar py liya tha

Tu ny kyoN mera hath na pakra
mein jb rastey sy bhatka tha

jo paya hy wo tera hy
jo khoya hy wo bhi tera tha

tujh bin sari umr guzari
log kahen gy to mera tha

pehli barish bheajny waley
mein Tere darshan ka pyasa tha..


[Nasir_Kazmi] *

z_haidar 13.08.12 - 06:22pm
215750_108510875962996_702051742_n.jpg



Mujhey Aaram Karney Do, Mujhey Abb Mat Sataao Tum
Thakan Sadiyon Ki Hai Mujh Ko, Mujhey Abb Mat Jagaao Tum
*
Mairi Khamosh Aankhon Say, Koi Qissa Na Kehna Tum
Mairey Khwaabon Mein Sehra Hain, Mujhey Abb Mat Rulaao Tum
*
Dukhon Ki Ikk Kahani Thi, Ussi Ka Aakhri Hissa
Bohat a*sey Say Jaari Tha, Ussey Abb Mat Dohraao Tum
*
Mairey Viraan Kamrey Mein, Teri Tasveer Abb Bhi Hai
Ye Abb Kamrey Ka Hissa Hai, Issey Abb Mat Hataao Tum
*
Mairey Jaaney Ki Baaton Per, Kabhi Woh Hansta Rehta Tha
Mairey Jaaney Ki Raaton Mein, Ussey Abb Mat Hansaao Tum
*
Tumhaari Diary Ke Aakhri Auraaq Mein Main Tha
Safhey Yoon To Na Phaarro Tum, Mujhey Yoon Na Mitaao Tum
*
Kahin Sehra, Kahin Saahil, Kabhi Mitti, Kabhi Paani
Mujhey Jo Cheezein Bakhseen Thi, Ussi Say Ghar Banaao Tum
*
Wahin Per Hoon, Main Waisa Hoon, Abb Aaey Ho To Ruk Jaana
Thakan Ki Dastaan Apni, Mujhey Abb Mat Sunaao Tum
*
Bohat Mushkil Say Sambhla Hai, Ikk a*sey Baad Abb 'Bilal'
Lo Abb Ye Jaam Ulta Do, Issey Abb Mat Pilaao Tum !
*

kanval 16.08.12 - 06:03pm
Ab khauf nahi koi mujhe raah guzar se
main door nikal aai hon pathar k nagar se
~
Dewar uthate ho to mazbot uthao
aesa na ho dar jao kabhi apnay hi gher se
~
Ye log bhi achay hain makan bhi bohat achay
bas main hi bezaar in achon k nagar se
~
Ek mor pe hum ajnabi ban k bhi milen ge
ye baat to maloom thi aaghaz e safar se
~
Jesa bhi hon acha k bura apnay leye hon
main khud ko nahi dekhta auron ki nazar se sy.

*

samina11 17.08.12 - 08:52am
Misal-e-Dast-e-Zulekha Tapak Chahta Hai
*
Ye Dil Daman-e-Yousuf Hai Chaak Chahta Hai
*
Duayen Do Mere Qatil Ko Tum K Sheher Ka Sheher
*
Usi K Haath Say Hona Halaak Chahta Hai
*
Fasana Go Karay Kya K Har Koi Sar-e-Bazm
*
Maal-e-Qissa Dil Dardnak Chahta Hai
*
Idhar Udhar Se Kai Aa Rahi Hain Awazain
*
Aur Uska Deehan Boht Anhamak Chahta Hai
*
Zara Si Gard-e-Hos Dil Pe Laazmi Hai Faraz
*
Wo Ishq Kya Hai Jo Daaman Ko Paak Chahta Hai . . .
*

z_haidar 18.08.12 - 05:15pm
sochtaa huuN ke mahfuuz kar luuN ise apne siine meN lafz-o-bayaaN kii tarah
thoRii hii der meN yeh mulaaqaat bhii Khatm ho jaayegi daastaaN kii tarah
*
yeh rafaaqat bahut muKhtasar hai mirii hamsafar laa mire haath meiN haath de
tuu havaa-e-sar-e-rahguzar kii tarah, maiN kisii nakhat-e-raayegaaN kii tarah
*
haal zaalim shikaarii kii suurat mujhe, vaqt kii ziin se baandh kar le chalaa
mera maazii mire saath chaltaa rahaa duur tak ek majbuur maaN kii tarah
*
sang-e-aazaar kii baarisheN tez thiiN, aur bachne ka koii tariiqaa na thaa
raftaa raftaa sabhii ne saroN par koii be-hisii taan lii saayebaaN kii tarah
*
KhvahishoN ke samandar se ek mauj uThhi, aur sail-e-balaa-Khez bantii gayii
kashtii kii maanind ulaTne lage, pairahan uR gaye baadbaaN kii tarah.
*

z_haidar 18.08.12 - 05:16pm
Khud ko paRhtaa huuN, chhoR detaa huuN
ek varq roz moR detaa huuN
*
is qadar zaKhm haiN nigaahon meN
roz ek aaiinaa toR detaa huuN
*
maiN pujaarii baraste phuuloN ka
chuu ke shaaKhoN ko chhoR detaa huuN
*
kaasa-e-shab meN Khuun suuraj kaa
qatraa qatraa nichoR detaa huuN
*
kaaNpte hoNT bhiigtii palkeN
baat adhuurii hii chhoR detaa huuN
*
ret ke ghar banaa banaa ke Faraz
jaane kyuuN Khud hii toR detaa huuN..


Tahir Faraz *

z_haidar 18.08.12 - 05:17pm
kyuN mahkeN gulaab aaNkhoN meN
ham ne rakhe haiN Khvaab aaNkhoN meN
*
dekho ham ek savaal karte haiN
likh kar rakhnaa javaab aaNkhoN meN
*
us meN Khatraa hai Duub jaane kaa
jhaaNkiye mat janaab aaNkhoN meN
*
kabhii aaNkheN kitaab meN gum haiN
kabhii gum hai kitaab aaNkhoN meN
*
koii rahtaa thaa raat din Alvi
inhii Khaanaa-Kharaab aaNkhoN meN..


Muhammad Alvi *

z_haidar 18.08.12 - 05:20pm
karta use beqarar kuch der
hota agar ikhtiyar kuch der
*
kya royein fareb-e-aasmaan ko
apna nahin aitbaar kuch der
*
aankhoN mein kati pahaar si raat
so ja dil-e-beqaraar kuch der
*
ai shehar-e-tarab ko jaane waloN
karna mira intizaar kuch der
*
bekaifi-e-roz-o-shab musalsal
sarmasti-e-intizaar kuch der
*
takleef-e-gham-e-firaaq dayem
taqreeb-e-wisaal-e-yaar kuch der
*
ye guncha-o-gul hain sab musafir
hai kaafila-e-bahaar kuch der
*
dunyaa to sada rahegi Nasir
ham log hain yaadgaar kuch der..


Nasir Kazmi

*

samina11 19.08.12 - 07:32am
nyc shairng guys! *

samina11 19.08.12 - 07:33am
wOhii Gardishien wOhii Paich O Kham Teray Baad Bhii
wOhi hOsley Meray Dum Ba Dum Teray Baad Bhii
*
Meray Baad Kitna Hii ROop TU Ney Badal Liya
Main wOhi hOn Ab Bhi Teri Qasam Teray Baad Bhii
*
TU Kisi Key Qalb e AarzOo Mein Tou Dhal Gya
Main Na hO Saka Kabhi KhUd Mein Zum Teray Baad Bhi
*
TU Chala Gya Sabhi QehqahOn Ko Samait Kar
Meray Pass hAi Mera Zarf e Gham Teray Baad Bhii.
*

samina11 19.08.12 - 07:34am
Jane anjane mein us ka naam aya hai,
Shayad hawa ke sang ye paigham aya hai,
*
Kise ke yaad satate hai us ko,
ye hi muhabbat ka anjaam aya hai,
*
Wo sari raat jagta hai hijar me kis ke,
Us ke aansoun ka ek jaam aya hai,
*
Jab us ke khushi me bhi shareek na the hum,
Phir us k pagalpan ka hum pr ilzam aya hai,
*
wo dunya se is qadar kiu roth gya hai,
Mujhe laga hamre jane se us ko itminan aya hai,
*
Phir akhir kiu wo aj sare aam aya hai,
Us ke muhabbat ka anjam aya hai
*

i_am_ur 22.08.12 - 06:46pm
*
.
''Mas'alay ishq k teh karta hai shamsheer k sath

Our nisbat wo batata hai gham_e_meer k sath


Wo mere sath nhi or mere sath bhi hai

Jis tarah chand ka rishta kisi raah geer k sath


Peechay hat'ta hun to dunya nahi jeeney deti

Aagay barhta hun to banti nahi taqdeer k sath


Ye koi kaam hai k jee bhar k rulatay ho mujhe

Is se barh k koi neki nahi dil geer k sath


Meri maano to muhabat mein siyasat na karo

Ishq k kaam nikaltay nahi tadbeer k sath...''
*

z_haidar 23.08.12 - 05:03pm
haalat-e-haal ke sabab, haalat-e-haal hii gayii
shauq meN kuch nahiiN gayaa, shauq kii zindagii gayii
*
ek hii haadisaa to hai aur vo ye ke aaj tak
baat nahiiN kahii gayii, baat nahiiN sunii gayii
*
baad bhii tere jaan-e-jaaN dil meN rahaa ajab samaaN
yaad rahii terii yahaaN, phir terii yaad bhii gayii
*
uske badan ko dii namuud hamne suKhan meN aur phir
uske badan ke vaaste ek qabaa bhii sii gayii
*
uskii ummiid-e-naaz kaa hamse ye maan thaa ke aap
umr guzaar deejiye, umr guzaar dii gayii
*
uske visaal ke liye, apne kamaal ke liye
haalat-e-dil ke thii Kharaab, aur Kharaab kii gayii
*
teraa firaaq jaan-e-jaaN aish thaa kyaa mere liye
yaanii tere firaaq meN Khuub sharaab pii gayii
*
uskii galii se uTh ke maiN aan paRaa thaa apne ghar
ek galii kii baat thii aur galii galii gayii..


Jaun Elia




*

samina11 24.08.12 - 12:36pm
nyc *

samina11 24.08.12 - 12:37pm
Jab koi naik kaam karte hain,
Jaane man tere naam karte hain,
*
Tere chehre se dhoop lete hain,
Teri zulfon mein shaam karte hain,
*
Kis qadar tang hoon mohabbat se,
Log yeh kese kaam karte hain,
*
Un ki peshaaniyan chamakti hain,
Jo mohabbat ko aam karte hain,
*
Dil ke dalaan mein sajaa kar yaad,
Jashan ka ehtamaam karte hain,
*
Sochte hain tujhe wuzzu kar ke,
Yun tera ehtraam karte hain,
*
Hum se hi ibtidaa huyi janan,
Hum hi ab ehtamaam karte hain..
*

samina11 24.08.12 - 12:38pm
Suraag Bhi Na Milay Ajnabi Sadaa Ke Mujhe
Ye Kon Chup Gaya Sehraon Mein Bula Ke Mujhe ?
*
Mein Os Ki Baaton Mein Gham Apna Bhool Jata Magar
Wo Shaks Ronay Laga Khud Hansa Hansa Ke Mujhe
*
Ose Yaqeen Ke Mein Jaan De Na Paon Ga
Mujhe Ye Khauf Ke Roye Ga Aazma Ke Mujhe
*
Jo Apnay Loogon Mein Meri Hansi Uraata Raha
Qareeb Aaya Tou Roya Galay Laga Ke Mujhe
*
Mein Apni Qabar Mein Mahu-e-Azaab Tha Laikin
Zamaana Khush Howa Deewaaron Pe Saja Ke Mujhe..
*

xxkamixx 27.08.12 - 02:57pm
Zahid ne mera hasil imaa, n nahi dekha
Rukh per teri zulfo, n ko peresha, n nahi dekha

Her hal mein bus paish e nazer wohi soorat
Meine kabhi ru e shab e hijraa, n nahi dekha

*

xxkamixx 27.08.12 - 03:02pm
Aaye the sabhi terha ke jalway mere aage
Meine mager aye deedha e haira,n nahi dekha

Kia kia hua hungaam e junnoo, n nahi maloom
Kuch hosh jo aaya to girebaa,n nahi dekha

*

xxkamixx 28.08.12 - 12:28pm
Kia toota hay ander ander kuin chehra kumlaaya hay

Tanha tanha rone walo kon tumhein yaad aaya hay

Chupke chupke sulg rahe thay yad mein unki deewane

Ik taare ne toot ke yaro kia unko samjhaya hay

Rang barangi iss mehfil mein tum kiun itne chup chup ho

Bhool bhi jaao pagal logo kia khoya kia paya hay

Sher kahaa,n hay khoon hay ka jo lafzon mein bikhra hay

Dil ke zakham dikha ker hum ne mehfil ko germaya hay

Abh sehzad ye jhoot na bolo wo itna bederd nahi

Apni chahat ko bhi perkho jo ilzam lagaya hay *

samina11 29.08.12 - 10:42am
realy nyc kami *

samina11 29.08.12 - 10:44am
Tu Meraa Pehla Piyar Sajan
Tu Dilbar Tu Dildaar Sajan,
*
Tu Phoolon Ki Mehkaar Sajan
Tu Gull Tu Hi Gulzaar Sajan,
*
Tu Qudrat Ka Shahkaar Sajan
Mukh Tera Hai Gulbahar Sajan,
*
Tu Jaan-e-Jigar Tu Jaan-e-Gazal
Tu Khushiyon Ka Deedaar Sajan,
*
Soorat Teri Bholi Bhaali
Hain Laal Haseen Rukhsaar Sajan,
*
Dil Ki Baaten Tum Se Karna
Main Bhoola Hoon Har Baar Sajan,
*
Main Buzdil Hoon Main Pagal Hoon
Yeh Kehte Hain Sab Yaar Sajan,
*
Tere Nain Bane Talwaar-e-Piyar
Main Zakhmi Main Lachaar Sajan,
*
Na Tum Se Jis Din Baat Kare
Dil Rehta Hai Bezaar Sajan,
*
Jis Janib Bhi Ab Dekhon Main
Har Rasta Hai Pur Khaar Sajan,
*
Tum Bhi Maano Ek Baat Meri
Ab Chor Chalen Ghar Baar Sajan.

*

xxkamixx 31.08.12 - 06:01pm
Dhoondo gaye ager , mulko,n mulko,n

Millne ke nahi nayaab hein hum

Tabeer hay jis ki hasrat o gham

Aye humnafso wo khwab hein hum

Aye dard bata kuch tu hi pata

Abh tak ye moama hal na hua

Hum mein hay dil e betaab nehaa,n

Ya aap dil e betaab hein hum

Mein hairat o hasrat ka mara

Khamosh khada hoon sahil per

Derya e mohabat kehta hay

Aap kuch bhi nahin payaab hein hum

Lakho hi musafir chalte hein

Manzil pe pohnchte hein do aik

Aye ehl e zamana qader kero

Nayaab na hoon kumyaab hein hum

Murghaa,n qafas ko pholo,n ne

Aye Shad ye kehla bheja hay

Aajao jo tum ko aana ho
Aise mein abhi shadaab hein hum

*

6-<< 2-< 1-> 7->>


* Reply
* UrdUMaG Forum


Search:
topics replies


* UrdUMaG

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store