WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

UrdUMaG - Topics
Create Your Own App Store

* UrdUMaG > Topics


Subject: ~*~MY~FAV~POEMS~*~
Replies: 1060 Views: 55343
6-<< 2-<

kanval 20.10.12 - 01:41pm
hmmm.GIF nyyccc poems. *

samina11 25.10.12 - 12:30pm
Awesom!! *

z_haidar 22.03.13 - 01:42pm
Jo Sunna, Jo Kaha,
Jaany Do
Ik Sapna Hi Tha
Jaany do,Jaany Do
*

Tera milna bhi Kya, Jaise mosam gaya
Chaand kahney Laga
Na kaho
Jaany do, Jaany do
*

Aana jana Tera Lagta hai,
Fasana tha.... !
Tum se milna batain kerna
Bahana tha.... !
Wohi hai woh nadiya
Wohi chandni
mager Jaan-e-Janaan
Kaheen Tum nahin
Kaheen Tum nahin
Kya kahein, Kya kahein
Tuu nahin, Kuch nahiin
*

Sarey waday Terey yaad hain wo Mujhe
Chaand kahney Laga
Na Kaho
Janey do,Janey do
*

Sab se rishta toor ke
Hum ne Tumhain chaha tha
Rasta jiss pe saath hoo
Wo rasta apnaya tha
Wohi hai wo Khirki
Wohi bail thii
Muhabbat Tumhari bhi
Ik KhaiL thi
Ik KhaiL thi
Kya kahein, Kya kahein
Tuu nahin, Kuch nahiin

*
phool khilty bhi hain, Log milty bhi hain
Chaand kahney Laga
Na Kaho
Janey Do, Janey Do !!
*

z_haidar 28.04.13 - 01:27am


Pehli Barish
---------------


sawan ki pehli barish thi
aur uss se bichrey pehla din
raat k shayad teen bajey thay
barish zoroon pe thi

bed pe mein aur geela takiya
yaad teri humraaz bani thi
dhadkan ki awaz bani thi

80 dinoon mein koi din bhi
shayad aisa na guzra tha
mein ne uss ko fone kiya
ya na uss ki awaz suni thi

aur ab yeh din
22 july, mere haath reciever kay
paas bhi aa ker door hoye thay
woh mujh se naraz tha itna
baat bhi karna na mumkin

sheher-e-dil ki sari galiyan
soch nagar k sarey manzar
bas yun hi veeran parey thay
uss ka dost aur meri saheli
rastey ki deevar baney thay

warna mein aur woh tu
barha aisey mouqon se
anjan rahey thay

ab socha hai
yaadon se samjhota kar loon
uss ki yaad mujhey na aye
khud se aisa dhoka kar loon

lekin yeh bhi janti hoon mein
aisa mujhse ho nahi sakta
dil mein aa k jo bas jaye
phir woh mujhse kho nahi sakta...



_________________

*

saasifji 30.04.13 - 04:03pm
Wah,wah haidar bhai kya kahne ap k,yar meri b kuch rahnumae kriye na. *

saasifji 9.05.13 - 04:13pm
Tum mere pas nahi ho
Lekin.........
Mujhko Aksar Dikhae Deti ho,
Mujhko Mahsoos Roz hoti ho,,,
Barha TUM Sunae Deti ho....
Aisa Lagta Hai
TUM Yahi'N Ho Kahi'N...
TUM He Batlao Zara Bolo Toh......
RAZ
Ye Kya Hai Zara
Kholo Toh..............,....... Ai Mere HAM~NASHE'N
Btao Na............... Kya
MUHABBAT Isi Ko Kahte Hai'N...?
Kya..Muhabb.....
.Aasi~Balaghati.
*

z_haidar 7.11.13 - 12:05pm
Nazm uljhi hui hai

Nazam uljhii hui hai seene mein
misre atke hue hain hothon par

Udte-phirte hain titliyon ki tarah
lafz kaagaz pe baith-te hi nahii

Kabse baitha hua hoon main jaanam
saade kaagaz pe likhke naam tera

bas tera naam hi mukammal hai
isse behtar bhi nazm kya hogi

*

z_haidar 27.11.13 - 11:48am
Teray khayal, Teray khuwab
Aur teri mohabbat



Teray khayal,
Teray khuwab
Aur teri mohabbat,
Zuban pay ghazal,
Hathon main kitab
Aur teri mohabbat
Gumnam alfaz,
Talkh sawalaat, benaam tehrirain,
Adhoray jawabat,
Aur teri mohabbat

Thandi sehar, sard hawain
Urhtay badal, taiz ghtain
Aur teri mohabbat
Halki dhoop, sohana mosam
Bheegay pair, shafaf aasman
Aur teri mohabbat
Teri baatain, tanha raatain
Kabhi hijr, kabhi mulaqatain
Aur teri mohabbat
Dar o baam, dhalti sham
Kitab qalam, tera naam
Aur teri mohabbat
Phool titli, bhaag o bahaar
Gaata darya, jhoomti lehrain
Aur teri mohabbat
Chamakta chand, jagmag taaray
Awara jugnu, bheeghi shabnam
Aur teri mohabbat

Jaltay chiragh, urhta dhuaan
Tera intizar, wasl ka samaan
Aur teri mohabbat
Chupta suraj, halki barsaat
Dhanak k rang, tera saath
Aur teri mohabbat
Sarhaanay takya, bikhra bistar
Bechain karwatain, raat ka pehar
Aur teri mohabbat.




_________________ *

z_haidar 27.11.13 - 11:50am
Hum Dasht-E-Junuun K Sodae


Hum Dasht-E-Junuun K Sodae
Hum Gard-E-Safar Hum Naqsh-E-Kadam
Hum Soz-E Talab Hum Tarz E Fugaa'n
Hum Ranj-E-Chaman Hum Fasl-E-Khizaa'n
Hum Hairat-O-Hasrat Yaas-O-Alam
Hum Dasht-E-Junuun K Sodae

Ye Dasht-E-Junuun Ye Pagal Pan
Ye Pecha Kerti Ruswae
Ye Ranj-O-Alam Ye Huzn-O-Malaal
Ye Nala-E-Shab Ye Soz-E-Kamaal
Dil Mein Kahein Benaam Chuban
Aur Hadd-E-Nazar Tak Tanhai
Hum Dasht-E-Junuun K Sodae

Ab Jaan Humari Chotay Bhi
Ya Dasht-E-Junuun Hi Thak Jaye
Jo Roh-O-Badan Ka Rishta Tha
Kaie Saal Hoye Wo Toot Gaya
Ab Dil Ka Dharakna Ruk Jaye
Ab Saans Ki Dori Tootay Bhi
Hum Dasht-E-Junuun K Sodae



_________________ *

z_haidar 9.01.14 - 04:31pm


Mujhay Abhi jeena hai
*
Khudkash Mujhay mut maar
Mujhay Abhi jeena hai
Zeher hai zindagi
Who to pehlay say
Tay hai
Main janta hun
Zeher yeh peena hai
Mujhay Abhi jeena hai

Doodh bakhsh sakay gi
teri maan tujh ko
kitni maon ki god say
masoom lakht-e-jigar
jo ankh khol na paya tha
maan ka lafz bol na paya tha
Tu nay cheena hai
Mujhay Abhi jeena hai

Sar pay khak dalay
Ujri si yeh larki
Is ki maan isay
Dulhan banana nikli thi
Is ka jora lanay nikli thi
Tu nay usko ura diya
Manon mitti gara diya
Aj yeh hazeena hai
Mujhay Abhi jeena hai

Aray beghairat soch
Us aulaad ka dukh
Kay jis ki chat
Shafeeq sa baap
Qatl kia tu nay
Kamanay nikla tha
Kharch ghar ka chalanay nikla tha
Khoon uska kia paseena hai
Mujhay Abhi jeena hai

Yeh jo mulla tujhay parhata hai
Kabhi pooch is say
Aik belt bandh kay
Kyun naheen khud ko
Yeh urata hai
Nafratain bechta hai
Jahanum kamata hai
Kaisa yeh Not Allowed hai
Mujhay Abhi jeena hai



_________________ *

6-<< 2-<


* Reply
* UrdUMaG Forum


Search:
topics replies


* UrdUMaG

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store