WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

UrdUMaG - Topics
Create Your Own App Store

* UrdUMaG > Topics


Subject: ~*~MY~FAV~POEMS~*~
Replies: 1060 Views: 55385
6-<< 2-< 1-> 7->>

z_haidar 17.01.12 - 11:14am
Wo mujh se pucha karti thi.
Ye jo tum lafz likhte ho.
Ye jo tum harf bunte ho.
Yon hi benam jazbon ko.
Haseen ik rang dete ho.
Tehe dil min chupi baten.
Jise tum yon sunate ho.
Ye kis k nam karte ho?
*
Bhala wo kon he janaan?
Jo yon neenden churati he?
Rag-o-jan min utarti he.
Tumhare dil min basti he.
*
Bhala wo husn ka pekar.
Zara hum ko bhi batlao.
Bhala wo kon he hamdam?
Bhala wo kon he hamdam?
*
Min sun kar sabhi ye baten.
Bht dhire se hansta tha.
Use bechen karta tha.
Min us ko yon satata tha.
*
Min kehta tha.
Min bataon ga.
Jab us ka waqt aye ga.
Abhi kuch der baqi he.
*
Wo kehti thi.
Mujhe ye khof he janaa.
Kahin tum der na kardo.
*
Mujhe ye maan tha khud par.
K behte waqt ka dhara.
Min us muthi min bhar lon ga.
*
Magr shayad!!!!!!
Use jane ki jaldi thi.
K iqrare wafa k din.
Wo chanchal shokh si larki.
Aur us k jhilmilate nen.
Manon matti min ja soye.
*
Min us ko dhundhta hon ab.
Min khud ko rolta hon ab.
*
Use kese bataon sab.
K min jo lafz likhta tha.
K min jo harf bunta tha.
Usi k nam karta tha.
Min kese kahon ye ab.
K han janaa!
Tumhen jo khof lahaq tha.
Wo to ho gaya mujh se.
Meri khali he muthi ab.
Han min ne der kar di he.
Bht hi der kar di he.

*

z_haidar 17.01.12 - 12:49pm
Ke adat dal lo
*
kaha mein ...
*
subhi mosum paraey hain
*
tum adat dal lo...
*
kaha us n kia kroon ab mein
*
kaha mein ne....
*
subhi khwaboo ko bhulado
*
khilti kalyoon ko mitado
*
ke adat dal lo
*
kaha us ne kia kron ab mein
*
kaha mein n
*
ke yoonhi jinay ki
*
meri trhan
*
tanha jalnay ki
*
aab adat tum dal lo
*
ke subhi mosum paraey hain
*
kaha mein ne
*
ke adat dal lo

*
kaha us ne

*
kaho is dil se
*

dharkna chorde

*
har aik sans mein
*

tujh ko pirona chorde


*
teri chahat mein jalna chorde


*
mein adat dal loon ga


*
ke subhi mosum pareay hain

*
par...!


*
kia tum adat dal lo gi??
*

z_haidar 17.01.12 - 12:51pm
Main Agar Tumhai'n Jo
Sanwar Doon !
*
Tumhare Roz-o-Shab
ko Nikhaar Doon
*
Mera Thaam k
EHAD Do !
*
Mujhe Apne Dil Main
Rakho Gy Tum
*
Tumhai'n Is Qadar Jo
Main Pyar Doon !
*
k Zindagi Hi Haar Doon !
*
Tou Batao Na !
*
Mere Baad Bhi !
*
Ye Hi EHAD Apna
Nibhao Gy ?
*
Ya k Mujh ko BHOOL
Hi Jao Gy ?
*

z_haidar 17.01.12 - 01:38pm
Mera kuch saaman tumharay pas para hay
*
Sawan ke kuch bheegay bheegay din rakhay hain
*
Or mere ek khat main lipti raat pari hay
*
Woh raat bujha do mera woh saaman laota do


*
Patjharh hay kuch hay Na
*
Patjharh main kuch patoon ke girne kee ahat
*
Kaanoo main ek bar pehan kr laot aai thee
*
Patjharh ke who shaakh abhi tak kamp rahi hay
*
Woh shaakh gira do mera woh saaman laota do


*
Aik akaili chhatri main jab aadhe aadhe bheeg rahay thay
*
Aadhe sookhay aadhe geelay sookha to main lay aai thee
*
Geelaman shayed bister k pass para ho
*
Woh bhijwa do mera woh saaman laota do


*
Aikso sola chand kee raatain aik tumharay kaandhay ka till
*
Geeli mehendi kee khushboo
*
Jhoot moot k shikway kuch
*
Jhoot moot k waday bhee sab yaad kara doon
*
Sab bhijwa do mera woh saaman laota do


*
Aik ijazat daydo bas jab iss ko dafnaoongi
*
Main bhee wahi so jaoongi

*
Main bhee wahi so jaoongi..
*

z_haidar 17.01.12 - 03:40pm
Abhi kuch waqt baaqi hai
Kali ko phool banne main
Aur us ki shaakh per
Kuch aur nayi konpal nikalne main...!
*
Abhi main hon bohat chhota
Meri mama ye kehti theen
''K bachon ki dua ko Tum
Kabhi bhi radd nahi kerte...!''
*
Mere papa bhi kehte thay
''K Tujh se jo bhi kuch maango
Tu deta hai, Tu daata hai...!''
*
To ae pyaare se Allah jee!
Meri mama mere papa
K jin ko kal bohat se log
Tere paas chhorr aaye
To ab wo tere mehmaan hain...!
*
Mere pyaare se Allah jee!
Tujhe maloom hai sub kuch
K kal ki raat jub
Khaala ne mujh se ye kaha
K ab mama mere papa
Kabhi wapis na aayen ge
To mujh ko kis qadar takleef pohanhchi thi
Main saari raat roya tha
Na saari raat soya tha...!
*
Mere pyaare se Allah jee!
Zara mujh ko batana to
Meri mama mere papa
Na jab tak raat ko
Mujhe pyaar ker lete
Na sukh ki neend sote thay
To kia kal raat wo donon bhi
Mere saath jaage thay...?
*
Mere pyaare se Allah jee!
Main un bin reh nahin sakta
Abhi main hon bohat chhota
Main tujh tak aa nahi sakta
Nahi maloom hai rasta
Tu aesa ker
Meri mama mere papa ko lota de...
Meri mama mere papa ko lota de...!!!
*

z_haidar 17.01.12 - 04:05pm
voh chanchal albeli laRki meri nazmeN yuuN paRhti hai
*
jaise un nazmoN ka mehwar
us kii apni zaat nahiiN hai,
*
(yaani itni sundar laRki aur koii bhii ho sakti hai!)
*
jaise us ko ilm nahiiN hai yeh saari baateN us kii haiN
*
saari ghaateN us kii haiN
har aahaT hai us kii aahaT, sab saaye haiN us ke saaye
saare mehmal us ke haiN
*
har Khushbu hai us kii Khushbu, sab chehre haiN us k chehre
saare aanchal us ke haiN
*
jaise us ko ilm nahiiN hai us laRki ke saare kaam
saare naam usii ke haiN
*
her khiRki hai us kii khiRki, saare baam usii ke haiN
*
us laRki ke naam se jo kuChh maiN ne apne naam likha hai
us se hi mansuub hua hai
*
(shaayad mera veham ho lekin maiN ne yeh mehsuus kia hai)
*
jab maiN nazm sunaata huuN voh aankh churaane lagti hai
*
mujh se nazareN mil jaayeN to voh sharmaane lagti hai
*
kuChhh lamhe voh chanchal laRki gum sum sii ho jaati hai
*
lekin thoRi der meN phir se pathar kii ho jaati hai

*
jaise meri nazm kii laRki!! *

z_haidar 17.01.12 - 04:12pm
Adhi raat k sannatey mai
kis ne phone kia hy mujh ko
*
phone utha k youn lagta hy
us janib koi gumsum gumsum ukhra ukhra dheerey dheery kanp raha hy
*
mehki hui si ik khamoshi hy
ghup khamoshi
*
lekin us khamoshi mai bhi goonj rahy hyn
thandi sansen barish ansoo
*
khamoshi se thak kr us ne sans lia to
choori khanki
*
uff ye khan khan sarey badan mai phail gyi hy
*
tery ilawa koi nahi hy
lekin itney barson baad...
*

z_haidar 17.01.12 - 04:32pm
Kangan Baile Ka
*
Us Ne Mere Haath Mai Baandha
*
Ujla Kangan Baile Ka
*
Pehle Pyaar Se Thami Kalaai
*
Baad Us Ke Holey Holey Pehnaaya
*
Gehna Phoolon Ka
*
Phir Jhuk Kar Haath Ko Choom Liya!
*
Phool To Aakhir Phool Hi The
*
Murjhaa Hi Gaye
*
Lekin Meri Raatein Un Ki Khushboo Se Ab Tak Roshan Hain
*
Baanhon Par Wo Lams Abhi Tak Taza Hai
*
(Shaakh-E-Sanobar Par Ik Chand Damakta Hai!)
*
Phool Ka Gehna
*
Prem Ka Kangan
*
Pyaar Ka Bandhan

*
Ab Tak Mere Yaad Ke Haath Lipta Hua Hai!



(Parveen Shakir)

*

z_haidar 9.06.12 - 07:43pm
wo kon mah jabeen thi


*

subuk subuk say naksh thay
sarrapa nazneen thi
tamam lafz bay hunar
wo is qadar haseen thi
bohat hi dil nasheen thi
wo kon mah jabeen thi

*

wo us ki chashm-e-neem wa
k jab kabhi uthi zara
yea kaeenat tham gaee
main deekhta hi rah gea
hayaat ka yaqeen thi
wo kon mah jabeen thi

*

wo aasma ka chand thi
zameen pay mera rasta
wo kahkashan ki hamsafar
hamara kesa wastaa
mai khaak, wo nageen thi
wo kon mah jabeen thi

*

wo kon khush naseeb hay
jo lay gea hay ghar usay
yea zindagi ka kheel hay
koee lutty, koee basay
suna khushi k seaj par
wo gham ki hum nasheen thi
wo kon mah jabeen thi...
*

samina11 10.06.12 - 06:50am
ummmm wat a collectons zee! so lovly sharing dear! thumsup! good2.GIF *

z_haidar 11.06.12 - 02:15pm
thanx x x 4 likinG @sami *

z_haidar 11.06.12 - 02:24pm
Toor

eJT4bwsVAO21RJy.jpg

*
Yahin ki thee muhabbat ke sabaq ki ibteda meine
*
Yahin ki jurrat-e-izhar-e-harfe-mudduaa meine
*
Yahin dekhe thay ishw-e-nazon andaaz-e-haya meine
*
Yahin pahle suni thee del dharkane ki sadaa meine
*
Yahin kheto mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
*
Dilon mein izdaham-e-aarzoo lab band rahate thay
*
Nazar se guftugu hoti thee dum ulfat ka bharate thay
*
Na mathay par shikan hoti, na jab tevar badalate thay
*
Khuda bhi bhee muskura deta thaa jab hum pyar karate thay
*
Yahin kheto mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
*
Woh kya aata ke goya daur mein jaam-e-sharab aata
*
Woh kya aata rangilee ragani rangin rabab aata
*
Mujhe ranginiyon mein rangane woh rangin sahab aata
*
Labon ki may pilane jhumata mast-e-shabab aata
*
Yahin kheto mein pani ke kinaro yaad hai ab bhi
*
Haya ke bojh se jab har qadam par laghzishen hoti
*
Fazan mein muntashar rangin badan ki larzishen hoti
*
Rabab-e-dil ke taron mein musalsil jumbishen hoti
*
Khifa-e-raaz ki purlutf baham koshishen hoti
*
Yahin kheo mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
*
Bah jate thay baithe ishq ke zarri safinay mein
*
Tamannaon ka tufan karawaten leta tha seene mein
*
Jo chhu leta tha maine usko woh naha jata pasine mein
*
May-e-do aatisha ke se mazey aate thay jeene mein
*
Yahin kheto mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
*
Bala-e-fikre farda hamse koson door hoti thee
*
Surur-e-sarmadi se zindagi mamur hoti thee
*
Hamari khilwat-e-masoom rashke toor hoti thee
*
Mulik jhula jhulate thay ghazal-khwan hoor hoti thee
*
Yahin kheto mein pani ke kinare yaad hai ab bhi
*
Na ab woh khet baqi hain na woh aab-e-rawan baqi
*
Magar us aish-e-rafata ka hai ik dhundhla nishan baaqi..

*

z_haidar 11.06.12 - 02:32pm
75KsuLPEyWopBej.jpg

*****************
*
Ye sunsaan ratein ,ye thandi hawaein,ye
*
pheli hui teri yadon ki khushbu
*
Ye chup chaap se pair,ye gham ke
*
saaye,ye dil ki kasak,ye ulfat ka jadoo
*
Ye sab jaagte hain
*
ye sab sochte hain
*
ye sab karwatein le k hain aah bharte
*
Nayi manzilon se ,naye raaston se ,naye
*
mor se sab k sab hain guzarte
*
Her ek mor per jaise koi khada ho,isharon
*
isharon mein kuch ke raha ho
*
Samajh mein na aaye koi baat us ki
*
mager
*
jaise chasma sa ek bah raha ho
*
Koi jaise meethe madhur geet k bole
*
madham suron mein un hi gungunaye
*
Koi jaise tufaan dabaye ho dil mein
*
kisi se mager phir bhi kuch keh na paye
*
Kuch alfaaz aise jo yun daikhne mein
*
purane se hain aur kitne hi insaan
*
Un hi k sahare se kehte rahe hain
*
Dilon ki muradein
*
Dilon k armaan
*
Ye Armaan ,ye Aaarzoein hamari
*
Ye kuch kumhlate hue phool jaise
*
Jagayein jinhen aa k jhonke hawa k ,jinhein
*
gud guda jayen aa aa k bhanware
*
Khizaaon ki hawaon k chalne se pehle
*
Tapakte hue phool k rass mein goya
*
koi geet sa bun liya hai baharon ne
*
Gaate hain ab bhi jaise baagh-o-sahra
*
Jo kunj-E-mohabbat mein pairon ki chanti
*
hui chandni ki zaban se hai kehta
*
Kaho aaj ki raat kaisi guzaari...??

*
Koi aaj ki raat milne bhi aaya.....??


***************** *

z_haidar 22.06.12 - 05:16am
***IejKUM4XXJ9jzYx.jpg

****************
*

Tumhari Qabr per...

*
Tumhari qabr par main
Faateha Parhne nhi aya..!
*
Mujhey Maloom tha, Tum Mer nhi saktey
Tumari Maut ki Sachi Khabar
Jis ne Uraayi thi, Wo Jhoota tha..!
Wo Tum Kab they
Koi Sookha hoa Patta, Hawa me Gir ke Toota tha
Meri Aankhen...
Tumarey Manzaro'n me Qaid hen ab tak
Main Jo bhe Dekhta hon...Sochta hon
Wo...Wohi hai
Jo Tumari Nek-Naami aur Bad-Naami ki Duniya thi
Kaheen Kuch bhe Nhi Badla..!
*
Tumarey Hath, Meri Unglion'n me Saans letey hen..
Main Likhney ke ley jab bhe Qalam-Kaghaz Othata hon
Tumen Behta hoa main
Apni hee Kursi me Pata hon...!
Badan me mere, Jitna bhe Lahoo hai
Wo Tumari..
Laghzisho'n, Na-kaamiyon ke sath Behta hai
Meri Awaz me Chup ker, Tumara Zehan Rehta hai
*
Meri Beemaariyon me Tum
Meri La-chaariyon me Tum
Tumari Qabar per jis ne Tumara Naam Likha hai
Wo Jhoota hai...!
Tumari Qaber mein, Main Dafan hon
Tum Zinda ho...!
Miley Fursat kabhi to.... Faateha Parhne chale Ana...!!!!



**************** *

z_haidar 30.06.12 - 05:47pm
thanx x x *

z_haidar 30.06.12 - 05:48pm
howdoi2vx.jpg


Ek Din Guriya mujhe Se Boli
Kya Wo Tum Ho?
Jo Mere Kano Se Lag kar
Apni Gazlain
Apni Nazmain
Keh Jata Hai
Phir Main Bola!
Han Main Wohi HooN,
Phir Wo Boli!
Bohat Buray Ho,
Bohat Buray Ho.
Neend Ura Kar So jate Ho. . .!
*

z_haidar 30.06.12 - 06:04pm
393764_255054327895421_96600750_n.jpg


&4326; Ek Pagal Larki &4326;







Ek Pagal Larki_
Hathon Mein Ek Qalam Daba'ay_
Koni Ko Ghutnoon Pe Tika'ay_
Palkoon Per Resham Khawab Saja'ay_
Dil Mein Ek Asha C Jaga'ay_
Or Aanchal Ko Sar Par Jama'ay_


*


Ek Pagal Larki_



*

Pehron Kisi Ko Sochti Hai_
Har Pal Har Dam Chonkti Hai_
Mann Hi Mann Mein Ro Dati Hai_
Phir Lamha Bhar Kuch Sochti Hai_
0r Khud Hi Khud Hans Deti Hai__



*


Ek Pagal Larki..!!
*

samina11 1.07.12 - 01:26pm
wow wat a colctonz zee!! so nyc n lovly!! good2.GIF *

kanval 5.07.12 - 01:44am
hmmm.GIFnyyyccc *

z_haidar 18.07.12 - 08:55am
Mohabat%2520chor%2520detey%2520hen.jpg


Wo Kehti Thi


*


vVoh Kehti Thi
Tum Hans Kar
Ko'i Baat Karo To
Apna Aap
Mukam'mal Lagne Lag Jata Hai_
*
Ma!ne Bhi Mehsoos Kiya K
Us Se Baata!n Kar K Ma!n Bhi
Aur Se Aur Howa Jata Hoon_
*
Aur Phir Aik Din
Jaane Kaise
Mujh Se Baata!n Kar K
Apna Aap Mukam'mal Karne vVali
Mujhe Adhura Chorr Ga'i Hai..!!
*

i_am_ur 27.07.12 - 12:13am
kIsI k Naam!!!!!!!!!
***

Aik Baar Aankhon Ko
Wo Benaii tau Louta Do

Keh
Phir Kuch Tootnay Say Pehlay
Raahat Ka Daaman Chottnay Say
Pehlay
Chashm -e- Aabideeda Say
Tera Deedar Tu Kar Lon
**

Aik Baar Haathon Ko
Wo Lams Tu Louta Do

Keh
Lamha -e- Wasaal Say Pehlay

Judaii Ki Kesi Chaal Say Pehlay

Laraztay Aashkon Kay Qadmo Ko
Shal Ungli Ki Pooro Say Choo Kay

Mohabbat
Ko Zinda Rakhnay Ka

Zara Iqraar Tu Kar Loon
Zara Iqraar Tu Kar Loon !!
*

sajjad85 27.07.12 - 12:25pm
Jab dehr k ghum sey amaan na mili, hum logoo.n nay ishq ejaad kya
kabhi sheh'r-e butaan main kharaab phire, kabhi dasht-e junoon abaad kya
kabhi bastiyaan ban, kabhi koh-o daman, raha kitne dinoo yehi jee ka chalan
jahan husn mila wahan beth rahey, jahan piyaar mila wahan saad kya
shab-e maah main jab bhi ye dard utha, kabhi bait kahey (likhi chand nagar)
kabhi koh sey ja sar phor marey, kabhi Qais ko ja ustaad kiya
yehi ishq bilakhir rog bana, k hay chah k saath bajog bana
jise ban'na tha ishq wo sog bana, bara man k nagar main fasaad kya
abb qurbat-o sohbat-e yaar kahan, lab-o aariz-o zulf-o kinaar kahan
abb apna bhi Meer sa alam hay, tuk dekh liya jee shaad kya

*** Ibn-e-Insha *

samina11 29.07.12 - 03:04pm
really nyc both f u!! *

kanval 30.07.12 - 01:33pm
Un dino,
Jab tum they yahan,
Andhere dekhkar tumko jagmagate they,
~
Murjhaaye huae phool bhi,
Pal bhar mai khil jate they,
~
Bhanron ki shararat tum se thi,
Rangon mai rang ghul jate the,
~
Un dino,
Jab chand raaton mai pura sa dikhayi deta tha,
Jhilmilate taaron ke labon par,
Naam tumhara rehta tha,
~
Bahon ko phelaye raaste,
Bas tumko bulaya karte they,
~
Manzil ka pata wo khud chalkar,
Tumko bataya karte they,
~
Un dino,
Jab meri ghazalon ko,
Tere geeton ki sargam milti thi,
~
Jab mere dil ki ganga se,
Tere dil ki yamuna milti thi,
~
Hawaon ka aana jana tha,
Teri zulfon ki dehleezon par,
~
Aanchal mai chupakar rakhti thin,
Tum ghanghoor ghataon ko,
~
Na koi kami jeewan mai thi,
Jab tum meri bahon mai they,
~
Un dino,
Jab ke tum the yahan
*

kanval 30.07.12 - 01:38pm
Jab sham dhale ankhon tale..
~
Ansoo chamke taro ki tarha..
~
Mann ne kiya bechan is kadar..
~
Arma machle lahro ki tarha..
~
Utha kar nigah keh diya hal-e-dil..
~
Poori ho duya roshni ki tarha..
~
Na ho kam abhi chere ka noor kabhi..
~
Sapne ban jaye hakikat jadu ki tarha..
~
Mann ke mandir mein roshan hain diye ashayon ke..
~
Ke tu mil jaye mujhe zindagi ki tarha..


*

i_am_ur 30.07.12 - 04:16pm
I luv dis poem: ''Un din0n
Jab Tum they yahan'' *

z_haidar 30.07.12 - 06:10pm
Hmmmmmmm bohot ache @kanval g.. *

z_haidar 30.07.12 - 06:18pm
bp.jpg



Tumhari Bheegti Palkon Se Main Ne Bar'haa Poocha?
k Kya Maanind Sheesha Patharon Mein Baal Aata Hay?
Asar Angez Hay Ab Tak Muhabbat Ka Vohi Jazba
Jo Aisy Hoshmandon Ko b Youn Pagal Banata Hay

*

Tumhari Bheegti Palkon Se Main Ne Bar'haa Poocha?
K Mizaj-e-Husn Mein Yeh Yak Ba-Yak Kya Inqilab Aaya?
Sitara Dekhna Aur Dekh Kar Afsurda Ho Jana
Bari Takheer Se Tum Ko Sitaron Ka Hisab Aaya

*

Tumhari Bheegti Palkon Se Main Ne Bar'haa Poocha?
k Dil k Khel Mein Kya Jeetnay Walay b Rotay Hain?
Vo Jin Ki Chashm-e-Khudbeen Auron Ko Dekha Hi Nahi Karti
Bhala Kis Gham Se Dil k Taar Mein Moti Pirotay Hain?

*

Tumhari Bheegti Palkon Se Main Ne Bar'haa Poocha?
k Tark-e-Rabt Par Kya Mujh Se Wehshii Yaad Aatay Hain?
Talluq Torrna Aasan Tha To Phir Aankh Kiun Nam Hay?
Ana Parwar, Jafa Paisha b Youn Aansoo Bahatey Hain?

*

Tumhari Bheegti Palkon Se Main Ne Bar'haa Poocha?
k Jalney Aur Jalaney Mein Bhala Kya Lutf Aata Hay?
Bas Ik Jhooti Ana k Wastay Barbaad Ho Jana
Khudii k Zo'am Mein Insan Kitney Dukh Uthata Hay
Tumhari Bheegti Palkon Se Main Ne Bar'haa Poocha..!!
*

z_haidar 30.07.12 - 06:28pm
Kaash%2520aa%2520jaaye.jpg




Mujh Se Bichar K Jeena Tumhare Bas Ma!n Nah!n Jaana

*

Jab Kabhi Tanha Hogi MehfiL Ma!n
Ma!n Yaad Aaon Ga__

*

Sar ' E ' Shaam Parindon Ko Ghar Laut'tay Dekho Gi
Ma!n Yaad Aaon Ga__

*

Jab Zikar Chiray Ga Kisi Se Mera
Andar Hi Andar Tooto Gi, Bikhro Gi,
Ma!n Yaad Aaon Ga__


*

Mujh Se Bichar K Jeena Tumhare Bas Ma!n Nah!n Jaana..!!

*

xxkamixx 31.07.12 - 12:15pm
DASHT E TANHAI MEIN

aye jaan e jahaa, n
Lerzaa, n hein
Teri aawaz ke saaye
Tere honto ke saraab

Dhasht e tanhai mein doori ke khas o khak tale
Khil rahe hein
Tere pehlu ke saman or ghulaab

Uth rahi hay kahee, n qurbat se teri saans ki aanch
Apni khushbu mein sulagti hui
Madham madham!
Door uffaq par chamakti hui
Qatra qatra!
Gir rahi hay teri dildar nazer ki shabnam

Iss qader payar se
Aye jaan e jahaa, n
Rakha hay
Dil ke rukhsar pe is waqt
Teri yaad ne hath
Youn gumaa, n hota hay gerche , hay abhi subh e firaq
Dhal gaya hijer ka din
Aa bhi gai wasll ki raat

Dasht e tanhai mein

( Faiz ehmad Faiz) *

z_haidar 31.07.12 - 06:03pm
Hmmmmm @kami boh0t kho0b... boh0t din0 bahd aap ki nazam parne ko mili..:) *

z_haidar 31.07.12 - 06:23pm
door%2520door%2520hum%2520sey.jpg



Tumha!n Maoom Hai Sab Kuch

*



Bohat Kuch Ma!ne Kehna Hai
Bohat Kuch Tu Nay Kehna Hai
Dilon Ma!n Jitnay Jazbay Ha!n
Labon Par Unko Lana Hai
Magar Yeh Ma'ajra Kya Hai
K Hum Khamosh Bethay Ha!n
Na Mujh Se Baat Hoti Hai
Na Tum Izhaar Karti Ho

*

Tumha!n Maloom Hai Sab Kuch
Jo Mere Dil Ma!n Pin'haan Hai
Tumhare Dil Ki Kaifiyat Se
Ma!n Bhi Aagah Hoon Lekin
Mujhe Khamosh Rehna Hai
Tumha!n Khamosh Rehna Hai

*

Magar Yeh Kab Talak Hoga
Hama!n Khamosh Lamhon Nay
Juda Agar Kar Diya To Ph!r?
Mujhe Tum Se Gila Hoga
Tumha!n Mujh Se Gila Hoga

*

Hama!n Ab Hijr K Lamhaat Se Khud Ko Bachana Hai
Dilon Ma!n Jitnay Jazbay Ha!n
Labon Par Unko Laana Hai..!!
*

xxkamixx 1.08.12 - 12:46pm
Wah .
Bohat khoob haider *

xxkamixx 1.08.12 - 01:13pm
BUDHAPA

wo kam umeri thi
Jawani ke din thay
Nadani ke din thay
Ke meine
Wakt ke sahir se
pocha tha pata apna

Uss jadu ke lamhe ne
Najane kia kaha mujh se

Najane kia suna meine

Ke mein
Abh tak safer mein hoon *

z_haidar 1.08.12 - 05:24pm
boh0t ache bhai ... REally tuchING.. *

z_haidar 1.08.12 - 05:40pm
y1pfnrwr7dzfkrkpaohnsxngk2.jpg


Khuda Haf!z


Tumha!n Ma!n Zindagi Kehta Tha
Tumha!n Apna Samajhta Tha
Ajab Ek Khush'Gumaani Si
Mujhe Din Raat Rehti Thi

*

K
Tum Bhi Zindagi Ho Meri
Mujhe Apna Samajhti Ho
Mere Honay Na Honay Se Tumha!n Bhi Farq Parhta Hai

*

Magar
Magar Ma!n Aaj Samjha Hoon
K Aisa Rabt He Kab Tha
Bohat He Talkh Hai Lek!n
Mujhe Yeh Baat Kehni Hai_

*

Meri vVoh Khush'gumani Mar Ga'i Hai Aaj Seenay Ma!n
Dhuwaan vVoh Aansu'on Ka Bhar Ga'i Hai Aaj Seenay Ma!n
Mujhe Maloom Hai Aansu Meri Poron Pay Mehka!n Gy
Ma!n Ujhri Aarzu'on K Ka'i Qissay Bhi Likhon Ga

*

Magar Ma!n Kya Karon
Shayed Yehi Kismat Ma!n Likha Tha
Bohat Nadaan Ho Tum Bhi
Bohat Khush'fehm Rehti Ho
Is Hairat Bharay Gham Ki Jo Shiddat Hai

*

Samajh Lo vVoh Kisi Sorry/Please Se Kam Ho He Nahi Sakti
Yeh Aisa Zakham Hai Jo Lakh Chahain To Bhar Nahi Sakta

*

Yeh Aise Ashk Ha!n Jo Lakh Chaha!n Reh Nah!n Sakte
Yeh vVoh Pooda Hai Jo Kaatnay Se Aur Barhta Hai
Tumha!n Yeh Ilm He Kab Hai
Mere Andar Jo Toota Hai vVoh Wapis Jurrh Nah!n Sakta
Meri vVoh Khush'gumani Phir Se Zinda Ho Nahi Sakti
Aur

*

Mujhe
Mujhe Tum Se Yeh Kehna hai
Tumhara Aur Mera Saath Bass Itna Hi Tha Shayed
Tumhare Saath Guzray vVaqt Ko Ma!n Yaad Rakhon Ga
Kisi Bhi Baat Se Meri Tumhara DiL Dukha Ho To
Mujhe Tum Mauf Kar Dena
Ma!n Chalta Hoon_


*

Khuda Hafiz..!! *

samina11 2.08.12 - 11:58am
wow brilnt shrng guys!! i lyk it!! *

kanval 3.08.12 - 04:34pm
hmmm.GIF *

z_haidar 9.08.12 - 08:35am
***230621_10150185535804263_3665123_n.jpg


Tera Husn Ho Mera Ishq Ho

*

Tera Husn Ho
Mera Ishq Ho

*

To Ph!r Husn ' O ' Ishq Ki Baat Ho
Kabhi Ma!n Milon, Kabhi Tu Milay

*

Kabhi Hum Milain, Mulaqaat Ho
Kabhi Tu Ho Chup, Kabhi Ma!n Hoon Chup
Kabhi Dono Hum Chup Chaap Hoon

*

Kabhi Guftagu
Kabhi Tazkiray
Kabhi Zikar Ho
Ko'i Baat Ho

*

Kabhi vVisaal Ho To Din Ko Ho
Kabhi Hijar Ho To vVoh Raat Ho

*

Kabhi Ma!n Tera
Kabhi Tu Meri

*

Kabhi Sath Ma!n
Kabhi Sath Tu

*

Kabhi Ek Doojay Ka Sath Ho

*

Kabhi Sohbata!n, Kabhi Ranjisha!n
Kabhi Dooriyan, Kabhi Qurbata!n
Kabhi Ulfata!n, Kabhi Nafrata!n
Kabhi Jeet Ho, Kabhi Maat Ho
Kabhi PhooL Ho Kabhi Dhool Ho
Kabhi Yaad Ho, Kabhi BhooL Ho

*

Raha!n Muskuratay Pyaar Ma!n
Khilain Phool Ban K Bahaar Main

*

Na nasheeb ho, na faraaz ho
Na he nasab ho, na he zaat ho

*

Na Nashaib Ho
Na Faraaz Ho
Na Nasab Ho
Na He Zaat Ho

*

Raha!n Muskuratay Pyaar Ma!n
Khilain Phool Ban K Bahaar Main

*

Na Zameen Ko'i
Na Falak Ko'i
Na vVajood Ho
Na He Zaat Ho


*

Tera Husn Ho
Mera Ishq Ho
To Ph!r Husn ' O ' Ishq Ki Baat Ho..!!

*

kanval 11.08.12 - 05:45pm
hmmm.GIF really nyyyccc collection zeshan. *

ameera12 15.08.12 - 10:12pm
twinkle twinkle
*

samina11 17.08.12 - 08:57am
nyc 1 zee *

xxkamixx 18.08.12 - 02:12pm
Doondh ker lay aao yaro

Wo mohabat

Jo kahee,n kho gai hay

Ya ke shaid

Aate aate raaste mein

So gaee hay

Zindagani ki thakun mein abh humein bhi

Neendh ci aane lugi hay

Youn na ho jis wakt wo aaye

Humein sota hua paaye *

z_haidar 18.08.12 - 04:11pm
wah @kami uummmdaaa intikhab.. *

z_haidar 18.08.12 - 04:59pm
4771606203_b01b0ef127_z.jpg


Khuwaab





*

Tha Main Neend Mein
Or
Mujhe Itna Sajaya Ja Raha Tha,

*

Bare Hi Pyar Se
Mujhe Nehlaya Ja Raha Tha,

*

Najane Tha Wo Konsa Ajab Khail
Mere Ghar Mein,

*

Bac'chon Ki Tahra'n
Mujhe Kandhe Pe Uthaya Ja Raha Tha,

*

Tha Paas Mere Mera Har Apna Us Waqt,
Phir Bhi Main Har Kisi K Mu Se Bulaya Ja Raha Tha,

*

Jo Kabhi Dekhte Bhi Na Thy,
Muhabbat Ki Nigha Se,
Un K Dil Se Bhi Pyar Mujh Pe Lutaya Ja Raha Tha,

*

Maloom Nahi Heran Tha Har Koi
Mujhe Sota Hua Dekh Kar,
Zor Zor Se Ro Kar Mujhe Hansaya Ja Raha Tha,

*

Kaan'p Ut'thi Meri Rooh,
Mera Wo Makaa'n Dekh Kar,
Pata Chala Mujhe DAFNAYA Ja Raha Tha,

*

Ro Para Phir Main Bhi Apna Wo Manzar Dekh Kar
Jahan Mujhe Hamesha K Liye Sulaya Ja Raha Tha..!!
*

samina11 19.08.12 - 07:46am
ummmm Awesom zee!! really brlent!! i lyk it!! *

kanval 20.08.12 - 07:06pm
hmmm.GIF *

z_haidar 29.09.12 - 11:44am
mayoon.jpg


Dulhan


*

Wo Jo Mai'yon Ke Peelay Joray Main
Mummed Mummed Muskati Hai
Sukhion Ki Masti Bhari Baato'n Per
Halka Halka Sharmati Hai
Wo Jo Dhol'ki Ki Thaap Per
Dil Dil Main Gungunati Hai

*

Wo Jo Haatho'n Ki Mehndi Ko
Piya Ke Pyar Ka Rang Batati Hai
Najany Kaunsay Pyaray Sapnay
Apnay Dil Main Sajati Hai
Phir Soch Ker Kuch Dil Main
Sir Hulka Sa Jhatkati Hai


*

Wo Jo Nikaah Ke Baad
Bichhernay Ka Soch Ker Sab Ko Rulati Hai
Phir Aanay Wali Nayi Zindagi Ke
Dil Main Khuab Sajati Hai
Phir Laal Rang Ka Pehen Ker Jora
Thora Thora Itraati Hai

*

Wo Jo Baabul Ke Aangan Main Khel Ker
Kisi Ka Ghar Sujanay Jati Hai
Khud Bhi Thora Roti Hai
Per Sub Ko Khoob Rulati Hai
Lekin Yeh Uss Ki Kismat Hai
Baiti Paraya Dhun Kehlati Hai
Yeh Hamari Dulhan Kehlati Hai..


*

samina11 29.09.12 - 02:49pm
really nyc n tuchng!! *

z_haidar 19.10.12 - 04:26am
320179_417767734948566_1308027553_n.jpg

*

ajanabii apane qadamo.n ko roko zaraa
jaanatii huu.N tumhaare liye Gair huu.N
phir bhii Thaharo zaraa
sunate jaao ye ashko.n bharii daastaa.N
saath lete chalo ye mujassim fuGaa.N

*

aaj duniyaa me.n meraa ko_ii bhii nahii.n
merii ammii nahii.n
mere abbaa nahii.n
merii aapaa nahii.n
mere nanhe se maasuum bhaiyaa nahii.n
merii ismat kii maGruur kirane.n nahii.n
vo gharondaa nahii.n jis ke saaye tale
loriyo.n ke tarannum ko sunatii rahii
phuul chunatii rahii
giit gaatii rahii
msukuraatii rahii
aaj kuchh bhii nahii.n

*

merii nazaro.n ke sahame hue aa_iine
merii ammii ke mere abbaa ke aapaa ke
aur mere nanhe se maasuum bhaiyaa ke Khuun se
hai.n dahashat_zadaa
aaj merii nigaaho.n kii viiraaniyaa.N
chand majaruuh yaado.n se aabaad hai.n
aaj merii umango.n ke suukhe ka.Nval
mere ashko.n ke paanii se shaadab hai.n
aaj merii ta.Dapatii hu_ii sisakiyaa.N
ek saaz-e-shikastaa kii fariyaad hai.n
aur kuchh bhii nahii.n
bhuuk miTatii nahii.n
tan pe kapa.Daa nahii.n
aas maaduum hai

-*

aaj duniyaa me.n meraa ko_ii bhii nahii.n
ajanabii apane qadamo.n ko roko zaraa
sunate jaao ye ashko.n bharii daastaa.N
saath lete chalo ye mujassim fuGaa.N

*

merii ammii bano
mere abbaa bano
merii aapaa bano
mere nanhe se maasuum bhaiyaa bano
merii ismat kii Magruur kirane.n bano
mere kuchh to bano
mere kuchh to bano
mere kuchh to bano.




_________________
*

6-<< 2-< 1-> 7->>


* Reply
* UrdUMaG Forum


Search:
topics replies


* UrdUMaG

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store