WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

UrdUMaG - Topics
Create Your Own App Store

* UrdUMaG > Topics


Subject: ~*~DUKH~*~BHARI~*~NAZZMEIN~*~
Replies: 1013 Views: 44895
6-<< 2-< 1-> 7->>

maida21 18.04.10 - 01:28pm
Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do
Buhat bewafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do
Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do
Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do
Mar gaye auroon kay liye ham yaara
Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do *

z_haidar 18.04.10 - 05:47pm
''MAIN AAJ BHI BILKUL WESA HOON''
. . . . . . . . . . . . . . . . . . .
Wohi
Muntzir Aankhen,
~*~
Wohi
Be-Qaraar Lehja,
~*~
Wohi
Madham Saansain,
~*~
Main Aaj bhi Bilkul Wesa Hoon,
~*~
Wohi
Raahon Main Beth kar Uska Intzaar Karna,
~*~
Wohi
Us ko Dekhney ki Khaatir,
~*~
Apna Saara Din Bekaar Karna,
~*~
Wohi
Uski Sargoshiyon ko Ghour se Sun'na,
~*~
Wohi
Apni Raaton me Usky Khwaab Bun'na,
~*~
Wohi
Apni Baaton Main Uska Zikar Karna,
~*~
Wohi
Usky Liye Din, Raat Fikar Karna,

~*~
MAIN AAJ BHI BILKUL WESA HOON..!!!
~*~
~*~
(ZESHAN~HAIDAR) *

z_haidar 19.04.10 - 09:03am
~*~KYUN KHUWAB ADHURE REHTE HAIN~*~
. . . . . . . . . . . . . . . . . . .
Hum Aksar sb se Kehte hain,
~*~
Kyun Khuwab Adhure Rehte Hain,
~*~
Kyun Yaad Kisi ki Aati hai,
~*~
Kyun Dard Jigar main hota hai,
~*~
Kyun Aksar Aankh ki Chilman Main,
~*~
Ik Jaala sa Ban jata hai,
~*~
Kyun Qadam Larkhrate hain,
~*~
Hum Jab bhi Chalnay lagte hain,
~*~
Kyun Palkein Num ho Jati hain,
~*~
Hum Jab bhi Hansny lagte hain, Aksar Raat ki Tareki,
~*~
Yaadon k Zehar Ugalti hai,
~*~
Kyun Hijar ka Mosam Aata hai,
~*~
Jab Wisal ki Baaten Hoti hain,
~*~
Kyun Log Dewane hote Hain,
~*~
Kyun Dard Hazaron sehte hain,
~*~
Hum Aksar Sab Se Kehte Hain,
~*~

KYUN KHUWAB ADHURE REHTE HAIN..!!!
~*~
~*~
(ZESHAN~HAIDAR) *

z_haidar 29.04.10 - 07:25pm
~PHIR MERI KUMI HOGI~
. . . . . . . . . . . . . . . . .
Gulshan ki Baharon main,
~*~
Rangeen Nazaaron main,
~*~
Jab Tum Mujhe Dhoondo gi,
~*~
Aankhon main Nami hogi,
~*~
Mehsoos Tumhen Har Dum,
~*~
''PHIR MERI KUMI HOGI''
~*~
Sawan ki Ghataon ka,
~*~
Jab Shor Suno gi TuM,
~*~
Bikhre hue Maazi k,
~*~
OraaQ Chuno gi TuM,
~*~
Mahol k Chehre par,
~*~
Jab Dhool Jami Hogi,
~*~
Mehsoos Tumhen Har Dum,
~*~

PHIR MERI KUMI HOGI..!!!
~*~
~*~
(ZESHAN~HAIDAR) *

cascad18 29.04.10 - 07:30pm
Z bhiaya very nyc poetrys *

z_haidar 30.04.10 - 01:08pm
Thanks casi...happy.GIF *

1khan1 1.05.10 - 05:47am
haider jab wo tumey bhai kehti hey tu tum b us ko behn bool diya kar ...tention leney ka nahi deney ka hey ..yaar ...he he he he *

z_haidar 1.05.10 - 08:02am
Hahahaha, brother main bhi ussy sis kehta hon...My cute and sweet sis casi... *

cascad18 3.05.10 - 12:40pm
haaan tension tu sirf 1khan1 bhaiya ko hoti hay jab koi unhay bhai kahta hay lol5.GIF *

cascad18 3.05.10 - 12:40pm
BREAKIN POINT................
mera aangan may aao.....!

toottay pattay tu dekho

meri sab khidkion par hijar ka kuhra jama hay

meray darwazon kay bazoo

tumharay lotnay key chah may shal ho gaye hain

meray ghar kay chahragon key har ik lo

dard may doobee hui hay

woh dekho thar tharahat bain karnay laggaee hay

meray takiye pay thahrii dhool dekho

meray bistar key chahdar be shikan ghum sum padi hay

woh aatishdaan dekho kyss qadar soona rakha ha y

woh dekho raat ka khana pada hay

yah dekho chae thandii ho sakti hay

tumharay khat,kitabain,card ,tuhfay

mujhay mylnay key khwahish may meray charo taraf bikhray huye hain

woh ik tasweer meray samnay ghum sum padi hay

woh ik konay may hasrat thak gaee hay sou gaee hay

yah badhti shave yah gadlay sleeper

meray balon may furqat jam gaee hay

meray honton say chup laptii hui hay

tumharay lams key hiddat naheen tu

mera y poron may sardii tham gaee hay

tumhara hijar had say badh chuka hay

mujhay tanhaee chubhnay lag gaee hay

may thak kar tootnay wala hua hoon

may khud say raabtay na tod baithon

kaheen may hosla na chhod baithon

kaheen may hosla na.

(Syed Wasi Shah) *

i_am_ur 3.05.10 - 05:28pm
yup! ma fav , thnx 4 shairing happy.GIF *

i_am_ur 3.05.10 - 05:28pm
Meri Tehreer Ki Zad Main Abhi To Kuch Nahi Aaya.!!
- - -
Mujhy jo kuch bhi kehna tha
Abhi Main keh nahi paya
,
Meri tehreer ki zad main
abhi to kuch nahi aya
,
Abhi wo karb likhna hai jisay
mehsoos karta hoon
,

Abhi wo khwab likhnay hain jo
ankhon main paltay hain
,

Mujhay unko bhi likhna hai
jinhain main dhoondh na paya
,

Abhi wo log likhnay hain
jo kho kar haath maltay hain
,

Abhi wo ashk likhna hai
kabhi jo beh nahi paya
,

Meri tehreer ki zad main
abhi bhi kuch nahi aya
,
Abhi to mausmon ki shokhyan
tehreer karni hain
,

Abhi yo phool kaliyan aur
sehe-e-shabnam bhi likhni hai
,
Uthaanay hain abhi darya say
mujhko pyas kay pehray
,

Abhi to khushk paiRon pay mujhay
rim jhim bhi likhni hai
,

Kahin pe dhoop likhni hai
kahin pe teergi chaya
,

Meri tehreer ki zad main
abhi to kuch nahi aya
,
Abhi to mujh ko likhni hai
kisi ki reshmi zulfain
Kisi ki surmagii palkain
,

kisi ki ankh ka kajal
Kisi ka tootta badal
,

kisi k pyar ki qasam
,

Kisi ki ankahi batain
Macha dain dil me jo hulchul
,

Abhi woh sub likhna hai
jo mera ishq kehlaya
,

Meri tehreer ki zad main
abhi to kuch nahi aya
,
Abhi to wo safar likhna hai
jo darpaish hai Mujhko
,

Abhi to tumko apni pyas
ka sehra dikhana hai
,

Abhi to hijr ki likhni hain
sari matmi raatain
,
Abhi to aisay lamhon ka bhi
tumko lutf sunana hai
,

Keh jin say ashk ankhon main,
magar iss Dil ko behlaya
,

Meri tehreer ki zad main abhi to kuch nahi aya.!!! *

rabianaz 3.05.10 - 08:21pm
hmmm Very nice poemz indeed!
*

i_am_ur 5.05.10 - 06:21am
9720843-md.jpg
. . . . . .
Barishon k Mosam Main,
Dil
ki Sard Zamenon par
Gard
Q Bikharti hy ..?
---
Is Tarah k Mosam main,
Phool Q Nahi khiltay ..?
,
Log Q Nahi miltay ..?
---

Q Faqat ye Tanhayi sath
sath Rehti hy ..?
---
Q Bicharhne walon ki Yaad
sath Rehti hy ..?
---
Itni Taiz Barish se Dil ke
Aainey per se,
Aks
Q Nahi Dhultay ..?
,
Zakhm Q Nahi mit'tay ..?
,
Neend Q Nahi Aati ..?
---
Barishon k Mosam mein
Aankhin Q Barasti hy ..?
---
Ashk Q Nahi Thamtay ..?
,
Log Q Nahi Milty ..?
*

sajjad85 5.05.10 - 06:58pm
ab umer ki naqdi khatam hui
ab hum ko udhar ki haajat he
he koi jo saahukaar bane ?
He koi jo deewan haar bane?
Kuch saal maheene din logo
per sood biyaj ke bin logo
haan apni jaan ke khazane se
haan umer ke tausha khane se
kia koi bhi saahukar nahin
kia koi bhi deewan haar nahin
jub naam udhar ka aaya he
kiun sub ne sir ko jhukaya he
kuch kaam hamain niptane hain
jinhain jaanne wale jane hain
kuch piyar dular ke dhande hain
kuch jug ke dooosre phande hain
hum maangte nhi hazaar baras
dus paanch baras , do chaar baras
haan , sood biyaj bhi de len ge
haan , aur khiraj bhi de len ge
aassan bane dushwar bane
per koi to deewan haar bane
tum kaun tumhara naam he kia
kuch hum se tum ko kaam he kia
kiun is majma main aai ho
kuch maangti ho kuch laai ho
ye kaarobaar ki batain hain
ye naqd udhar ki batain hain
hum bethe hain kashkol liay
sub umer ki naqdi khatam kiay
ger sher ke rishte aai ho
to samjho jald judai ho
ab geet gaya sangeet gaya
haan sher ka mausam beet gaya
ab patjhar aai paat girain
kuch subah girain kuch raat girain
ye apne yaar purane hain
ik umer se hum ko jane hain
in sub ke paas he maal buhut
haan ! Umer ke mahosaal buhut
in sub ko hum ne bulaya he
aur jholi ko phelaya he
tum jao in se baat kerain
hum tum se na mulaqat kerain
kia paanch baras?
Kia apni umer ke paanch baras?
tum jaan ki theli laai ho?
Kia pagal ho? Sodai ho?
Jub umer ka aakhir aata he
her din sadyian ban jata he
jeene ki hawis hi nirali he
he kaun jo is se khali he
kia maut se pehle merna he?
tum ko to buhut kuch kerna he ?
Phir tum ho hamari kaun bhala
haan tum se hamara kia rishta
kis sood biyaj ka laaluch he
kisi aur khiraj ka laaluch he
tum sohni ho man mohni ho
tum jaaker poori umer jio
ye paanch baras ye chaar baras
chin jain to lagain hazaar baras
sub doost gae sub yaar gae
the jitne saahukaar gae
bus aik ye naari bethi he
ye kaun he kia he kesi he
haan umer hamain derkaar bhi he
haan jeene se hamain piyar bhi he
jub maangain jivan ki gharian
gustaakh akhian kite ja larian
hum qerz tumhain lauta den ge
kuch aur bhi gharian laaden ge
jo saa-at o maah o saal nhi
wo gharian jin ko zawaal nhi
lo apne ji main utaar lia
lo hum ne tum se udhaar lia
____________
IBN E INSHA! *

tabindah 5.05.10 - 10:00pm
I heard someone raising a question Ibn Insha is a great writer and poet. Will somebody tell me why his writings are humorous while poems are Udass??? *

sajjad85 6.05.10 - 05:02am
Hmmm i've also come across this question many times. *ab umr ki naqdi khatam hui* insha sahb ne jab ye nazam likhi tab woh apni zindagi ki aakhri sansein gin rahe the... Well is nazam ko padh kar INSHA ji k maddah b0hat bechain hue.... Ye nazam nhe thee, yeh ek marsiya tha... Tab unhon ne ek mazmoon likha* Beemar ka haal atcha hy* kabhi m0qa mille tou zarur padhyega ap. *

i_am_ur 6.05.10 - 05:58am
yeah! i luv INSHA G p_heartbeat07.gif
----
Itz ma Fav:
---
-----ibi_11.gif *

i_am_ur 6.05.10 - 06:07am
OOO! sooooory MODS sorry.GIF
-----
AIK LARKA
---
Aik chota sa larka tha main jin dino
-
kisi melay main pohncha humkta huwa
-
ji machalt tha ik ik shaay pay magar
-
jaib khali thi kuch mol le na saka
-
laut aya liye hasratain sainkron
-
aik chota sa larka tha main jin dino
-
khair mehromiyon kay woh din to gaye
-
aaj mela laga hai usi shaan say
-
aaj chahon to ik ik dukan mol lon
-
aaj chahon to sara jahan mol lon
-
narasai ka ab ji main dharka kahan
-
par woh chota sa, al-lhar sa larka kahan

------
(Ibne Insha) *

i_am_ur 6.05.10 - 08:55pm
bara dushwar hota hai
zara sa faisla karna
-
k jewan ki kahani ko
-
bayan-e-bezabani ko
,
kahan se yaad rekhna hai
,
kahan se bhool jana hai
,
isay kitna batana hai
,
isay kitna chupana hai
,
kahan ro ro ke hansna hai
,
kahan hans hans ke rona
hai
,
is anchal ke kisi konay ko
kitna sa bhigona hai
,
kahan awaz daini hai
,
kahan khamosh rehna hai
,
kahan se rusta badalna
hai
,
kahan se lout ana hai
-

bara dushwar hota hai
,
Zara sa faisla karna .!!!!
*

sajjad85 7.05.10 - 05:53am
Wah i_m_ur wah! Insha ki khobbso0rat nazam k liye ap ka mashk0or hun. . . . *

missujan 8.05.10 - 01:40pm
aaj baazaar meN paa-bajaulaaN chalo

(paa-bajaulaaN shackles on feet like a prisoner)

chashm-e-nam, jaan-e-shoriidaa kaafii nahiiN
tohmat-e-ishq-poshiidaa kaafii nahiiN
aaj baazaar meN paa-bajaulaaN chalo

(chashm-e-nam : teary eyes; jaan-e-shoriidaa : distressed soul; poshiidaa : hidden)

dast-afshaaN chalo, mast-o-raqsaaN chalo
Khaak-bar-sar chalo, Khuun-baa-damaaN chalo
raah taktaa hai sab shahr-e-janaaN chalo
aaj baazaar meN paa-bajaulaaN chalo

(dast-e-afshaaN : swinging hands; mast-o-raqsaaN : dancing in trance; Khaak-bar-sar : kicking the dust; khuun-baa-damaaN : blood on sleeves; shahr-e-janaaN : city of the beloved)

haakim-e-shahr bhii, majmaa-e-aam bhii
tiir-e-ilzaam bhii, sang-e-dushnaam bhii
subh-e-nashaad bhii, roz-e-nakaam bhii
aaj baazaar meN paa-bajaulaaN chalo

(haakim-e-shahr : ruler of the city; majmaa-e-aam : the crowd of common people; tiir-e-ilzaam : arrow of accusation; sang-e-dushnam : the stones on road; subh-e-nashaad : the sad morning; roz-e-nakaam : the unsucessful day)

in kaa damsaaz apne sivaa kaun hai
shahr-e-jaanaN meN ab baa-safaa kaun hai
dast-e-qaatil ke shaayaaN rahaa kaun hai

(damsaaz : friend; baa-safaa : sincere; dast-e-qaatil : hands of the murderer; shaayaaN : worthy)

rakht-e-dil baandh lo, dil figaaro chalo
phir hamiiN qatl ho aayeN yaaro chalo.
aaj baazaar meN paa-bajaulaaN chalo

(rakht-e-dil : heart beats; dil figaaro : broken hearted)

*

aanchals 8.05.10 - 03:28pm
thanks4theadd.gif *

zeshan17 8.05.10 - 05:36pm
reading.GIFheart touching yaar!! *

i_am_ur 8.05.10 - 07:33pm
wo mujh se poochti hai
,
Tumhain kya ho gya hai ..?
,
kyun gum sum se, tum
rehtay ho ..?
,
tum mujh se baat kartay
thay .!
,
Mujhay Tum yaad kartay
thay .!
,
main hansti thi tum hanstay
thay .!
,
meri haar baat pe tum ko jo
itna pyar aata tha .!
,
meri khamooshi jo tum ko
bohat bechain karti thi .!
,
tum mujh ko dekhtay thay
aur
kehtay
thay .!
-

Tum hi Tum ho
,
bohat hi khobsurat ho
Tumhari
har ada dilkash
,
tumhari muskarhat mere dil
main jazb hoti hai
,
tumhari aawaz mujhay kuch
aur ab sun'nay nahi deti
,
meri aankhon ko bin tere ho
jo manzar
wo ab acha nahi lagta .!!

,
wo batain kho gayi hain
,
Tumhain kya ho gaya hai ..?
,
Main Us se ye kehta hoon
,

Main Tum ko paa nahi sakta
,
Main Tum ko kho nahi sakta
-
Tumhara
ho nahi sakta .!!
Tumhara
ho nahi sakta .!!
*

z_haidar 8.05.10 - 08:38pm
V nice yar superb clapping.GIF ,,
a very warm WEL COME to UrDu MaG my dear @ALI (i_am_ur)
,
6c53Z4ZR6PKa6jrbGWWe.gif *

z_haidar 9.05.10 - 01:23pm

E8Bh51M0FV51PAyBMPSX.jpg
-
Suna hai yaad
karty ho
,
K jb b shaam dhalti hai
,
Hijr mian jaan jalti hai
,

Tm Apni raat ka aksar Sukoon barbaad krty ho
,


Suna hy yad krty ho
,


K jb panchhi loat aaty han
,
Ghamo k geet gaaty han
,
Suno! tm loat aao na.
,
Yahi fariyad krty ho
,


Suna hy yad krty ho
,


Sitary jab falak pay jagmagaaty hain
,
Wo beety howey pal khoob rulaty hain
,
Tum us dum apni aankhon main mujy abaad krty ho
,



Suna hy yad krty ho
,
Mujy tum yad krty ho...!
*

ajnabii 9.05.10 - 03:40pm
Ho Jao Agar Zamane Say Dukhi,
Bikta Hai Gham Dushman K Bazaar Main,

Lakhon Dard Chupay Hotay Hain,
Ek Chotay Say Inkaar Main,

Ho Jao Agar Zamanay Say Dukhi,
To Sawagat Hai Wakeel K Darbaar Main
*

rahiba 9.05.10 - 04:00pm
GOOD POERY THANKS. *

ulfat_85 11.05.10 - 03:05pm
Bohat umdha ghazals hain. *

samiasha 11.05.10 - 05:10pm
Ankhoun Main Anne Walen Ansoun Hain Bout
Rahe Wafa Main Bicher Jane Wale Hain Bout

Mujhe Na Sitamger Kaho Duniya Waloun Is Duniya Ne
Mujh Pe Sitam Kiye Hain Bout Main Pyer Main Such Bol Ker Bhi Har Geye Houn

Pyer Main Jhot Bol Ke Jeeten Hain Bout
Main Aaj Dil Bar Ke Ansoun Baha Loun Tu Acha Hai

Mere Ankhoun Main Samandar Hain Bout
Main Wafa Ke Naam Pe Sakoun Ganwa Beten Houn

Is Duniya Main Bewafahi Ker Ke Beten Hain Bout
Mere Sare Arman Daam Tor Chuken Hain

Mager Ab Bhi Tere Chahat Ke Imtehan Hain Bout
Main Tere Bewafhi Sey Jeete Jeete Mar Geye Houn

Magar Ajj Bhi Duniya Main Tere Jise Bewafa Hain Bout *

z_haidar 15.05.10 - 03:47pm
SpQuOSEJUWYbQ5xQAWsE.jpg
!! !! !! !! !! !!
KAASH..!!
. . . . . . . . . . . . . . . . .
Zindagi Rukh Badal gai Hoti,
~*~
Kaash Tou Mujh Ko Mil Gai Hoti,
~*~
Zindagi ko Galy Laga Leta,
~*~
Har Tamana Nikal Gai Hoti,
~*~
Kaash Tou Mujhe Mil Gai Hoti,
~*~
Khawab Palkon Main Saja Leta,
~*~
Tujh Ko Seenay se Main Laga Leta,
~*~
Apne Dil Main Tujhe Basa Leta,
~*~
Meri Kismat Badal Gai Hoti,
~*~
Kaash Tou Mujh Ko Mil Gai Hoti,
~*~
Aah Nikley Gi Hont See Lon Ga,
~*~
Jis Trah Ho Saky Ga Jee Lon Ga,
~*~
Zahir Bhi Hastey Hastey Pee Lon Ga,
~*~
Gham ki Ye Dhop Dal Gai Hoti,
~*~
Kaash Tuo Mujh ko Mil Gai Hoti,
~*~
Ab Tere Gham ko Dil Main Palon Ga,
~*~
Hye! Judai Ka Zakhm Kha Lon Ga,
~*~
Mout Ko Bhi Galy Laga Lon Ga,
~*~
Mout Bhi Aa K Tal Gai Hoti,

~*~
KAASH TUO MUJH KO MIL GAI HOTI..!!!
~*~
~*~
(ZESHAN~HAIDAR) *

i_am_ur 15.05.10 - 04:26pm
yes! kash TOO Mil gai hotiiiiiiiii *

z_haidar 15.05.10 - 08:41pm
Thanks Ali Bhaiyaaaa lol3.GIF *

z_haidar 17.05.10 - 03:58pm
KP8N9l5npVbaEpkQl6iX.jpg
!! !! !! !! !! !! !!
JAAN
~*~
KYA TUM BHI. . . .?
~*~
Shaam Ki DehLeez Py,
~*~
Aas Ka Deep JaLati Ho?
~*~
Aur
Kisi Aawara Patte Ki Aahat Par,
~*~
Darwaze Ki Taraf Bhaage Jati Ho?
~*~
KYA TUM BHI. . . . ?
~*~
Dard Chupane Ki Koshish Karte Karte,
~*~
Aksar Thak c Jati Ho?
~*~
Aur Bila Waja Muskurati Ho?
~*~
KYA TUM BHI. . . ?
~*~
Neend Se Pehle Palkon Par,
~*~
Dhairon Khwab Sajati Ho?
~*~
Ya Phir Bister Pr Lait Kar,
~*~
Rote Rote So Jati Ho?
~*~

MERI TRAH KISI KO YAAD KARTI HO?
~*~

NAHI NAA. . . . . . .??
~*~
~*~
(ZESHAN~HAIDAR) *

swtzainb 17.05.10 - 04:02pm
wow.GIFzz ye ks poet ki nazam hai. *

z_haidar 17.05.10 - 06:32pm
Zainb mujhe bhi kisi ne send ki hai, aur main ne likh dali...Mujhe nai pata k ye kis poet ki Nazzm hai, *

mishall 17.05.10 - 07:26pm
Wow!!yahaan pe image be hain wonderful!! *

rabianaz 17.05.10 - 10:35pm
BOHAT KHOBSURAT POEMS HAIN. *

cascad18 17.05.10 - 10:44pm
Kya tum bhi

Kya tum bhi meri terha chalti hawaon ko
Choney ki koshish kartey ho
In fizaon mein jesey main
Tumhari mehak mehsos karti hoon
Weseyhi mujhko kya tum bhi
Apney gird youn patey ho

Kya tum bhi shabb ki tanhai mein
Meri tarah jagte rehtey ho
Aur jesey main tumhari yaad ke diye se
Roshni bakhairti rehti hoon
Ussi terah kya tum bhi
Apney andheron ko roshan kartey ho

Kya tum bhi chatt pe ja ke
Aftab ko pehroon taktey ho
Yeh sochtey ho kya meri terha
Ke aaj tumharey haan bhi chand nikla hoga
Chand kya tumhey bhi kya
Kuch kuch mujhsa dikhta hai
Jesey tum mujhko falak ka
Woh pyara chanda lagtey ho

Kya tumhari aankhein bhi ekdam
Kisi ek khayal se chamak uthti hain
Aur tum bhi akeley kharey muskatey ho
Kehti hain sabhi sahelian meri mujhe
Meri yeh aankhain tak ke
Main soi nahi kuch raaton se
Tumhare dost bhi kya tumko
Aisa hi kuch kehtey hain

Kya tumhara dil bhi har pal
Bechain tarapta rehta hai
Tum bhi kya agli molaqat tak
Har pal gharian gintey rehtey ho
Sabbar tumse bhi kya nahi hota
Intee*zar meri terah kya tumko bhi
Mushkil aur kathin sa lagta hai

Kya tanha rah mein chalte chalte
Tumhare kadam bhi rokte hain
Tum bhi kya yeh sochte ho
Ke meri aur tumhari rahain
Kabh honge ek
Jabh tum hoge humsafar mere
Aur haathon mein hardam honge haath
Raston per chalte aise khayal
Aate hai kya tumko bhi

Kya tum bhi behayalli mein
Naam mera dohratey ho
Kya tumhara mann bhi mujhko
Pukarta hai bolata hai
Jesey mera mann tumhe sadain daita hey
Kagaz pe kya tum bhi meri terah
Apna aur mera naam likhte rehte ho

Kya tum bhi apne hathon mein mujhe
Dhondte ho talash karte ho
Muqaddar apna meri terah kya tum bhi
Sirf mujhko hi mante ho
Apni aankhon mein kya tum bhi
Meri hi tasveer bas paate ho
Har shaks jese mujhko tumsa dikhta hai
Tumhe bhi kya in logon mein
Main hi main sirf dikhti hoon

Kya tum meri aawaz soon kar ghabratey ho
Jesey main tumhe soon kar sharmati hoon
Tumhari ek ek aahat par
Dil taiz taiz dharakta hai
Kya mujhko aata dekh kar
Tumhari sansain bhi barti hain

Kya tumhey bhi koi aur nahi bhata
Mera hi kheayal tumhe kya sirf aata hai
In phoolon mein en kalliyon mein
In rangbarange haseen nazaron mein
Jese mujhe tumhari jhalak dikhti hai
Mujhe un main kya tum bhi patey ho

Kya tum bhi younhi bethe bethe
Khwabon ki duniya mein kho jate ho
Khuli aankhon se mein tu aey dost
Tumhare sapne dekhti hoon
Tum bhi kya meri duniya
Basate aur sawarte ho

Kya tum bhi aisi shairana baatein karte ho
Kya tumhe bhi pyaar mohabbat ke afsane
Sabh sache ache lagte hai
Kya tumhey meri yeh sabh baatein
Karna achi lagti hai

Kya tumhey mera pyaar sacha lagta hai
Kya tum doge jawab mere sawalon ka
Kya tum mujhe sabh sach sach batlaoge
Kya tumhe tumhari aafi
Kuch deewani pagal lagti hai *

cascad18 17.05.10 - 10:52pm
Waqt ne kiya kya haseen sitam
Tum rahe na tum ham rahe na ham
Waqt ne kiya kya haseen sitam

Beqaraar dil is tarha mile
jis tarha kabhi ham juda na the
Tum bhi kho gaye, ham bhi kho gaye
Ek raah par chalke do qadam
Waqt ne kiya kya haseen sitam

Jaayenge kaha sujhta nahi
chal pade magar raasta nahi
Kya talaash hai kuchh pata nahi
Bun rahe hain dil khaab dam-ba-dam
Waqt ne kiya kya haseen sitam *

cascad18 17.05.10 - 10:57pm
Ajnabi si Raahon mein
Door tak Nigahon mein

Be-rukhi ka mousam he
Aaj phir nigahon ko

beetey pal ki piyaas he
phir raha hoon darbadar

moujzey ki Aaas he
Aisa lagta he k jaisey

Chand phir uddas he *

z_haidar 18.05.10 - 08:28am
Thanks mishal, rabina,happy.GIF/ superb casi clapping.GIF, bohot hi achi Nazzmen post ki hain...I like it...Keep shairing casi.... *

z_haidar 18.05.10 - 10:20am
V8BW2dOMQPDVBIF1US9j.jpg
!! !! !! !! !! !! !!
Chahat K Is Darya Pr,
~*~
Us Darya K Kinarey Par,
~*~
Dil Ko Aaj Aazad Kya,
~*~

''MAIN NE TUM KO YAAD KYA''
~*~
Tanhai Ki Raaton Main Khud Hi Baaton Baaton Main,
~*~
Is Dil Ko Yun Shaad Kya,
~*~

''MAIN NE TUM KO YAAD KYA''
~*~
Jab Se Tum ko Chaha Hai,
~*~
Chaah K Bhi Na Paaya Hai,
~*~
Har Aik Pal Faryad Kya,
~*~

''MAIN NE TUM KO YAAD KYA''
~*~
Din K Sarey Ujalon Main Khwabon Main Khayalon Main,
~*~
Chand Ki Roshan Kirno Main Sitaaro Ki In Laryon Main,
~*~
Phoolon Ki Phul Jharyon Main,
~*~
Yaadon Ko Abaad Kya,
~*~

MAIN NE TUM KO YAAD KYA..!!!
~*~
~*~
(ZESHAN~HAIDAR) *

cascad18 18.05.10 - 11:05am
hhmm Z bhaiya yaad dila d aap nay bhi is poetry key wajah say ... Arifa kabhi tumhay bhii meri yaad aai hay ,,
yah may hee paglon key tarha tum sab doston ko yaad karti hoon... :(( ....hehe.GIF *

z_haidar 18.05.10 - 07:46pm
Hmmmm...Bohot khob casi, jab main ye nazzm likh raha tha, mujhe bhi kisi ki yaad dila de is nazzm ne...But kya kar sakte hain, yaad to yaad hai, bichar jane waly ki bus yaad hi baqi reh jati hai, khear choro, Thanks shairi pasand karny ka.. *

rahiba 18.05.10 - 08:57pm
bahut khobsurat nazmae *

i_am_ur 19.05.10 - 04:37am
Main Tujhay Chahta nahi lekin
,

Phir bhi paas jab tou nahi hoti
,

khud ko kitna udas pata hon
,

Gum say apnay hawas pata hon
,

janay kia dhun samai rehti hay
,

ek khmoshi si chhai rehti hay
,

Dil say bhi guftagoo nahi hoti
,

Main tujhay chahta nahi lekin
,
phir bhi shab ki taweel khilwat mein
,

Teray aoqat sochta hon
,

Teri har baat sochta hon
,
kaon say phool Tum ko bhatay hain
,
rang kia kia pasand aatay hain
,

kho sa jata hon teri jannat mein
,

Main tujhay chahta nahi lekin
,
phir bhi ehsas say nijat nahi
,

sochta hon to ranj hota hay
,

dil ko jaisay koi dabota hay
,

jis ko itna srahta hon
,

jis ko is darja chahta hon
,

us Mein Teri si koi baat nahi
.

Main Tujhay chahta nahi lekin . . . . *

z_haidar 19.05.10 - 05:38am
Thanks rahiba, shairi pasand karne ka...
Bohot ummda Ali, superb clapping.GIF...I Like it....Keep it up.. *

cascad18 19.05.10 - 05:43am
thank_you.GIF Ali bhaiya shairi buhat piyari aap nay post key hay .. *

6-<< 2-< 1-> 7->>


* Reply
* UrdUMaG Forum


Search:
topics replies


* UrdUMaG

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store