WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

UrdUMaG - Topics
Create Your Own App Store

* UrdUMaG > Topics


Subject: ~*~DUKH~*~BHARI~*~NAZZMEIN~*~
Replies: 1013 Views: 44972
6-<< 2-< 1-> 7->>

i_am_ur 10.01.12 - 03:31am
Emmmm! reading.GIF *

z_haidar 10.01.12 - 06:50pm
Ager mein pather ki Larki hoti
*
Tau apne peker ki sabz rut per
*
bohut si kaee ugaaya kerti
*
Bohut se tareek khwab bunti
*
Ujaley ko thokron mein rakhti
*
Khamoshiyon ke babool chunti
*
Dehekti kirnon ka jharna hoti
*
Samaaton ke tamam afsoon
*
Paash kerti mein kuch na sunti
*
Mein apne paloo mein saog bandhey
*
kisi ko in ka pata na deti
*
Safer ke har eik merhaley per
*
Mein rehzanon ki tarah mukerti
*
Tau mein aziyat ki malgaji an-ginnat udaasi ke rang chunti
*
Tumhari saari wajahaton ko
*
Mein sau tarah para para kerti
*
Na tumko yun aeena banati

*
Ager mein pather ki larKi hoti..... *

z_haidar 10.01.12 - 06:52pm
kis ko maluum thaa..
*
yuuN hi chalte huve, raastoN meN kaii hamsafar jo milay
aur biChhaRte gaye
*
aate jaate huve mausamoN ki taraH
aap hii apni gard-e-safar ho gaye
nah kabhi maiN ne phir muR ke dekhaa unheN aur nah sochaa kabhii
woh kahaaN kho gaye
jo gaye, so gaye
*
phir ye kaise huvaa
yuuN hi ik ajnabi, dekhte dekhte
dil meN utraa, nazar meN samaataa gayaa
aur dhanak raNg jazbe jagaa saa gayaa
jaise baadal koii, be-iraadah yuuN hi,meri Chhat pe rukaa
aur ba*se binaa uss pe Thehraa rahaa
kyaa tamaashaa huvaa, saamne thii nadii aur koii tashna-lab
uss ko taktaa gayaa aur pyaasaa rahaa
eik lamHe meN simTegi ye daastaaN
kis ko maluum thaa..

*
..kis ko maluum thaa
tum milogay mujhe is tarah be-gumaaN..

*

z_haidar 10.01.12 - 06:55pm
Tu meri aankh ka woh aansoo hai
Jis ne mubham keye hain sab manzar
Jis ne neendain chura leen aankhoon se
Jo ke atka huwa hai palkoo per

*

Jis ke dam se dhuwaan hai seenay mein
Jis ki aatish jalaaye jazboon ko
Jis ki qurbat bani hai ek soozish
Jis ne zakhmi kiya hai nazroon ko

*

Tujh ko ehsaas kab Ke is dil ke
Kitne jazbay luttay hain raahoon mein
Kitne safhay pallat chuki hoon tere
Kitne kaantay chubhay hain saansoon mein

*

Tu mere dard se nahee waaqif
Tere dil ka zeyaa huwa hi nahe
Mein ne chaaha parstishoon mein tujhe
Tujh ko is ka gumaan huwa hi nahe

*

Tu jo na-aashna hai ab mujh se
Mujh se kitni kahaaneyaan theen teri
Kitni subhain karengi yaad mujhe
Kitni raatain nishaneyaan theen teri

*

Ab se pehlay magar Oh harjai
Kitna bechain thaa tu mere bin
Tu jo mujh mein sama gaya thaa agar
Mein bhi kuch na rahi thee tere bin

*

Kis ko maloom thaa ke qismat mein
Tum se mil kar juda bhi hona thaa
Tu jo kehta raha hai jaan mujhe
Mujh se tu ne khafa bhi hona thaa

*

Ab tu aise lagay hai ke jaisay
Mujh se kitni adawattain hain teri
Jitna yak-ja karoon, yeh bhikhrengi
Raiza raiza rafaqattain hain teri

*

Tum ko chunne lagoon tu barsoon mein
Mere lamhay badalnay lagtay hain
Ho ke manoos mere aadat se
Mere aansoo pighalnay lagtay hain

*

Tum se bichray magar Ay Jaan-e-Jahaan
Teri doori sahenge hum kaisay
Teri chaahat agar milli na humein
Haal-e-dil ko kahenge hum kaisay

*

Tujh ko chaaha hai tujhi ko yaad karay
Dil hai apna magar hai be-qaabu
Tera sehra dikhaee day dariya
Hai meri tishnagi ka yeh jaadu

*

Tum se mil kar mujhe yeh ilm huwa
Kitna naazuk wafa ka pehlu hai
Mein ne aksar hawa ki aahat mein
Jis ki dastak suni hai Woh Tu hai..

*

z_haidar 10.01.12 - 06:56pm
ab jo sochain bhi to khof aata hay
kis qadar khuwaab thay jo khuwaab rahay
kis qadar naqsh thay jo naqsh-e-sar-e-aab rahay
kis qadar log thay jo
dil ki dehleez pe dastak ki tarah rehtay thay
aur nayaab rahay!

*

kis qadar rang thay jo
band kalyoN kay kham-o-pech mai chakraatay rahay
apnay honay ki tab-o-taab mai lehraatay rahay
par kabhi aap say baahir na huway
phool kay haath pe zaahir na huway!
dil kay girdaab mai tootay huway patton ki tarah
hama-tan-raqs rahay
khoon kay surkh mai baynaam sitaaron ki tarah
aks-dar-aks rahay!

*

kaisay aadarsh thay jin kay saaey
sansanaatay huway teeron ki tarah chaltay thay
hast or neest kay mabeen ajab rishta tha
rooh ki aag bharrakti to badan jaltay thay!

*

woh shab-o-roz thay kiya,
jab kisi khuwaahish-e-baidaar ki tughyaani mai
waqt ki qaid say lamhaat nikal jaatay thay
khoon mai jab bhi sulagta tha iraada koi
aahni toq, tamaazat say pighal jaatay thay!

*

aankh kay dasht mai ab laakh aalao deHkain
rooh ki baraf pighalti hi nahi
ab woh aadarsh kabhi
waqt ki oat say jhaankain bhi to yoon jhaanktay hain
jis tarah tooTeta taara koi
aik lamhay kay liyay koond kay chhup jaata hay
kis qadar khuaab thay jo khuaab rahay
ab jo sochain bhi to khof aata hay..

*

z_haidar 10.01.12 - 06:58pm
Meri palkon ko mat daikho
*
in ka uthna, in ka jhapakna
*
ka na mehsoos amar hai


*
meri ankhon ko mat daikho
*
in ki aut main shaam-e-ghareeban
*
in ki aarr main dasht-e-azal hai


*
mere chehray ko mat daikho
*
iss main koi wada-e-farda
*
iss main koi aaj na kal hai


*
ab us darya tak mat aao
*
jis ki lehrain toot chuki hain
*
uss seenay se lau na lagao
*
jis ki nabzain choott chuki hain


*
ab mere qatil ko chaho
*
mera qatil marham marham
*
darya darya, saahil saahil


*
qazi-e-shehr ka matha chmo
*
jis ke qalam main zehr-e-hilahil
*
jis ke sukhan main lehn-e-silasil
*
ab us raqs ki dhun par nacho
*
jis ke gat per lut gaya qazi
*
jis ki lai par bik gaya qatil
*
bik gaya qatil !!!!!!!




*

z_haidar 10.01.12 - 07:01pm
Udassi teergi hoti to shayad
aik deeya aabaad kernay se he chatt jati
magar aisa nahee hai ..

*

udassi rasta hoti
to is ko apnay pairoo se gina kertay
kahain to ja kai ginti khatam hojati
magar aisa nahe hai

*

udasi paair hoti tu
hum iskai saray bazoo kat ke mazoor ker daitay
zameen se is ka saya duur kar daitay
magar aisa nahe hai

*

udasi saal he hoti
tu hum khod ko yai sumjhaty
ke daikho 365 dino ki baat hai sari
udasi phir nahe hogi
magar aisa nahe hai

*

udasi daeaira hoti
tu hum is se kissi tasbhee ke khat ki terha baher nikal jatay
koi tu aisa lamha mil he jata
hum sumbhal jatay
magar aisa nahe hai

*

udasi tu udasi kai siwa kuch bhi nahe hai
yahan jitnii bhee barish ho
ye mattii numm nahe hoti
udassi . kam nahee hoti ..
Udasii Kam nahii hoti!!!!


*

z_haidar 10.01.12 - 07:03pm
badalon ke siya ghoonghat mein
chand simta hua sa aaya hai
zindgii ke safar mein barson baad
waqt ne phir humien milaya hai

*

tu bhi gum-sum hai aur mein bhi chup
jaisay khamoshiyon ka pehra ho
aansoun mein pighal rhay hain dil
zarb kaarii hai zakham gehra hai

*

yon hawa cheekhtii hai pairron mein
jaisay raqsaan khien balayien hain
aaj har shey mein ajnabiyet hai
kitni badlii hoii fizaaien hain

*

yeh haqeeqat hai khush-naseeb hon main
go tujhay phir se paa liya khho kar
haan! magar yeh bhi haqeeqat hai
tu milli bhi to ghair kii ho kar

*

main bhi ab wo nahien jo pehlay tha
tu bhi badlii hoii haqeeqat hai
is mulaqaat se bhii kya haasil
tu kisi aur kii amanat hai

*

go nahien hosla judaii ka
ab yaqeenan yeh zehar pee loon ga
aaj tak haal e dil sunaya hai
aaj ke baad hont sii loon ga

*

shab kii in saaton mein jaan e aziz
aaj ye ehad e aatsheen hoga
do dharaktay hoye dilon ka milaap
aaj ke baad phir nahien hoga.....
*

z_haidar 10.01.12 - 07:05pm
ye rakh rakh rutain, apni raat ki qismat
tum apni neend bujhao, tum apne khwaab chuno
bikharti doobti nabzon pe dhayan kaya daina
tum apne dil main dharaktay harf suno
tumhare shehr ki galion main sail-rang bakhair
tumhare naqsh-e-qadam phool phool khilte rahain

*

wo rehguzar jahan tum lamha bhar thehar ke chalo
wahan pe abr jhukain aasman milte rahain
nahin zaroori ke har ajnabi ki baat suno
har ik sada pe dharkna bhi dil ka farz nahin
sakoot-e-halqa-e-zanjeer-e-dar bhi kiyun tootay
saba ka saath nibhana junoon ka farz nahin

*

hum aisay log buhat hain jo sochtay hi nahin
ke umar kaisay kati kis ke saath beet gai
hamari tishna labi ka mizaj kaya janay
ke fasl-e-bakhshish-e-mauj-e-faraat beet gai
ye aik pal tha jisay tum ne nauch dala hai
wo ik sadi thi jo be iltafaat beet gai
hamari ankh laho hai tumhain khabar ho gi
charagh khud se bujha hai ke raat beet gai....




*

z_haidar 10.01.12 - 07:14pm
Kisi mausam ka jhonka tha jo,
*
is diwaar par latki tasveer tircchi kar gaya hai
*
gaye savan mein ye deevanren yun seeli nahin thi,
*
na jane kyun is mein yun seelan aa gayi hai
*
daraaren par gayi hain
*
ur seelan is tarah behti hai
*
Jaise khushk rukhsaaro pe geele ansoo chalte hai

*

Ye baarish gungunati hai, isi chat ki munderon par
*
ye ghar ki khirkiyon ke kaanch par ungliyon se , likh jati thi sandese
*
dekhti rehti hai baithi hui ab, band roshandano ke peeche se

*

Dopehren aisi lagti hain, bina mohron ke khane rakhe hon jaise
*
na koi khelne vala hai baazi aur, na koi chaal chalta hai

*

na din hota hai na ab raat hoti hai, ab sabhi kucch ruk gaya hai
*
vo kya mausam ka jhonka tha jo, is diwar par lagi tasveer tirchi kar gaya hai...

*

z_haidar 10.01.12 - 07:22pm
ye mussafateiN , raah-e-ishq meiN
kon shahr-e-jaaN ki nazar karey
kissey shouq tanhaa safar karey
karey shahr-e-furqat ki arzoo
kon dasht-e-hijraaN ko ghar karey
*
in raastoN par chalaa kabhii
merey saath ban ke wuh hum-safar
jissey samjhaa shareek-e-reh-guzar
sar-e-raah wuh kisi moR par
badley gaa manzil , thii kyaa khabar
*
mujhey faasiloN ki fikr nahi
merey ru-ba-ru merey khaab heiN
wuh jo manzileiN heiN dhuwaaN dhuwaaN
ye jo be-nishaaN se heiN raastey
merey waastey ye azaab heiN
*
ab uss ke aur merey darmiyaaN
haail anaa ke mizaaj heiN
*
ussey phir se milney ki chaah meiN
ab aur chalna muhaal hai
kisey tera itnaa khayaal hai?
kahaaN kon tera hai muntizar?
merey dil ka mujhsey sawaal hai?
*
meri chaahtoN ka ye haal hai
jo merey junooN ka arooj thaa
wuhi hosloN ka zawaal hai
jo merey liye tha khushi kabhii
wuh ab.. baais-e-malaal hai
*
meri be-bassi bhi kamaal hai
nahi uss se milney ki justujoo
na hi waapsii ka khayaal hai!




*

z_haidar 10.01.12 - 07:28pm
Main Nahi Janta
Ke Hijr Acha Hota Hai Ya Wisaal......!
*
Ke Hijr To Wo Mulaqaat Bhi Hai Jo
Andeshon Or Wehamon Ke Darmiyaan Guzar Jaey
*
Or Wisaal To Woh Doriyan Hain Jo
Her Raat Teri Yaad Aaney Per Fasaley Khatam Ker Den
*
Main Nahi Janta
Ke Khuwaab Achey Hote Hain Ya Haqiqat.....!
*
Ke Khuwaab To Wo Lamhey Hain
Jo Haqiqat Ki Talaash Main Khoo Jaein
*
Or Haqeqat To Wo Khuwaab Hain
Ke Jin Ki Tabeer Mein
Ik Dukh Bhari zindaqi Guzarni Parey

*
Main Nahi Janta....!
*

z_haidar 10.01.12 - 07:30pm
Waapasi
*
tang pathreeli galee ne chauNk kar aawaaz dee
-shaayad wohi hai!
dhuup, jo aaHistagi se seeRhiaaN chaRhte hue
be-dam si shaayad thak gayi thee, aik leHza ruk gayii
-kyaa waaqeyi woh aa rahaa hai?
zouf ki maari huii buuRhi hawaa ne poplay muNh se kahaa
-maiN us ki Khushbu suuNgh sakti huuN
wohi nat-khat hai, waapas aa rahaa hai!
buuRhe darwazoN ki aankheN band theeN
-kuchh bhi nazar aataa nahiiN, shaayad wohi ho!
us ke bachpan kaa khilandra dost, ik kancha
Jo pichhle saaTh barsoN se
galee ke aik kone meN, manoN miTTi ke neeche, so rahaa thaa
kulbulaa kar cheeKh uThaa,
-- al-madad! koii mujhe baahar nikaalo!
*
-haaN, wohi hai, dhoop bolee,
par woh bachchaa jis ko maiN pehchanti thee
aaney waale mard ke dil meN kahiiN gum ho gayaa hai.
buuRhe darwazoN ne aankheN khol deeN
-pehchante haiN ham isay, laRkaa wohi hai
baap ki maanind lambaa ho gayaa hai!
*
tang pathreeli galee bolee,
-maiN kitni peeRhioN se
nanhey qadmoN ke baRey hotay hue sab naqsh
apne par sambhaal kar rakhti rahi huuN.
cheeKhtaa kancha manoN maTTI ke neechey ro diyaa-
-maiN kaise nikluuN?
*
aur phir buuRhi hawaa jo dam-ba-Khud si ruk gayi thee
khilkhila kar haNs paRii
-Aao, zaraa dekheN,
tumhaare gaal, aankeN, baal, chehra to wohi hai
Itni muddat tak kahaaN gum ho gaye thay?

*
ab kaho, aaya karo ge ? *

z_haidar 10.01.12 - 08:02pm
Ik zaraa sochney do

*

Iss khyaabaan mein
Jo is lehze bayabaan bhi nahin
Kaun si shaakh mein phool aaey the sab se pehle
Kaun be-rung hu'ee ranj-o-thaa'ab se pehle
Aur ab se pehle
Kis ghari kaun se mausam mein yahaan
Khoon ka qe'hath para
Gul ki sheh-rag pe kara
Waqt paraa

*

Sochney do
Ik zaraa sochney do
Ye bhara shehar jo ab waadi-e-weera'an bhi nahin
Iss mein kis waqt kahan
Aag lagi thi pehle
Iss ke saf-basta dareechon mein se kis mein awwal
Zeh hu'ee surkh shu'aaon ki kamaan
Kis jaga jot jagi thi pehle

*

Sochney do
Hum se uus desh ka tum naam-o-nishaan poochte ho
Jis ki tareekh na jugraa-phia ab yaad aaey
Aur yaad aaey to meh -e-guzishtha ki tarah
Roo-baroo aaney se ji ghabraaey
Ha'an magar jaise koee
Aisey meh ya meh a ka dil rakhne ko
Aa nikalta hai kabhi raat bitaane ke liay
Hum ab iss umr ko aa pohnchain
hain jab hum bhi yoonhi
Dil se mil aate hain bas rasm nibhaane ke liay
Dil ki kya poochte ho
Sochne do


*

Ik zara sochne do !!!!
(Faiz Ahmed Faiz) *

z_haidar 10.01.12 - 08:06pm
Kisi Bhi Morr Ya Aglay Parrao Par. . .
Juda Hi Hum ko Hona Hai To Aao Phir. . .
Yaheen Apnay Asaason Ko Alag kar lein. . .
Yeh Jitnay Zakhm Dil Par Hain. . .
Idhar Meri Taraf kar Do. . .
Ke Tum Aksar Ye kehtay Thay. . .
YeH Sab Meri Badolat Hain. . .

*

Magr Thehro. . .!
Zara Thehro. . .!
Yahan kuch khuwaab Bhi Hongay. . .
Jo Mil Ke Hum Ne Dekhay Thay. . .
Suhaanay khuwaab Tum Rakh Lo. . .
AdhoOray Sab Mujhe Day Do. . .
Ke Meri Yoon Bhi Aadat Hai. . .
Mujhe ToOti Hui ChEEzOn Se Ik Be'nAAm Ulfat Hai. . . !!!


*

z_haidar 11.01.12 - 06:58pm
Haan Abhi Soch Ley
Faislon Ka Safar
Lafz Ki Narm Chaon Mein Katta Nahin
Aur Sun
Faislon Ki Nadamat Sey Taqleef Dey Koi Bhi Dukh Nahin
Jitney Khadshey Mere Saath Chalney Mein Hain
Is Dorahey Pey Ruk
Aur Inhe Apni Aankhon Mein Tarteeb Dey
Jaan Ley
Waqt K Dasht-E-Bey Barg Mein Wapsi K Liye Koi Rasta Nahin
(Manzaron Ka Naya Pan Puraani Ruton K Liye Maut Hai)
Jo Hawaa Mere Jumley K Aghaaz Mein
Tere Baalon Ko Chootey Howey Chal Rahi Thi Usi Waqt Sey
Mar Chuki Hai K Ab
Us Ka Hona Na Hona Terey Wastey Aik Hai
(Aur Tujh Ko Pata Hai Kisi Ki Zindagi Us Ta'aluq Sey Hai Jo Kisi Zaat K Rabtey Sey Baaney)
Haan Yehi Waqt Hai
Rabtey Aur Ta'aluq K Mayni Samajh
Jitney Khadshey Merey Saath Chalney Mein Hain
Is Dorahe Par Ruk
Aur Inhain Apni Aankhon Mein Tarteeb Dey
K Abhi Terey Haathon Ka Har Rabta
Terey Haathon Mein Hai ! ! !
*

z_haidar 11.01.12 - 07:01pm

Hum Nay Soch Rakha Hai
Chahay Dil Ke Har Khowish
Zindagi Ke Aankhoon Say
Ashk Ban Kay Beh Jaye
Ghar Ke Sari Dewarain
Chatt Samait Gir Jaye
Or Be-Muqaddar Ham
Khud He Kyun Na Dab Jaye
Tum Say Kuch Nahi Kehna

*

Kese Neend Thi Apni
Kesay Khowab Thay Apnay
Or Ab Gulaboo Per
Neend Wali Aankhoon Per
Naram-Kho Say Khowaboo Per
Kyun Azaab Totay Hain
Tum Say Kuch Nahi Kehna

*

Ghir Gaye Hain Ratoon Main
Be-Lebaas Batoon Main
Is Tarah Ke Ratoon main
Kab Charag Jaltay Hain
Kab Azaab Taltay Hain
Ab Tu In Azaboo Say
Bach Keh Bhi Nikalnay Ka
Rasta Nahi Jana !
Jis Tarah Tum Ko Bhi
La-Zawaal Lamhoo Say
Wasta Nahi Jana !
Ham Nay Soch Rakha Hai
Tum Say Kuch Nahi Kehna......!!!!

*

z_haidar 11.01.12 - 07:05pm
Kal Ki Baat Ko Kal Per Chhoro
Aatay Waqt Ko Kiss Ne Dekha?
Mustaqbil Pe Zor Hai Kis Ka?
Kal Aay Ga,Kal Dekhain Ge
Aaj Tu Jee Lain In Lamhon Ko
Jin Lamhon Ki Khatir Hum Ne
Maazi Ko Qurbaan Kia Hai

*

In Lamhon Ko Jee Ker Dekho
Zakhmon Ko Ab Si Ker Dekho
Kaisay Wasl Ke Jaam Bharay Hain
Socho Na Ab,Pee Ker Dekho

*

Kya Kerna Andesha E Mehshar
Fikr E Farda Ke Kya Maani
Mutaqbil Per Zor Hai Kis Ka
Kal Aai Ga,Kal Dekhain Ge

*

sare Jharnay,Mast Hawain
Mehki Si Pur Soz Fizaain
Urtay Gaatay Bekal Panchhi
Geet Khushi Ke Mil Ker Gaain
Badal ,Barkha,Khusboo,Titli
In Ghariyon Ko Chhoonay Aain
Hum Na Hon Tu Kaon Sametay?
In Lamhon Ki Shokh Adaain

*

Charhta Sooraj Jhoomta Aai
Kab Doobay Ga Hum Kya Jaanain?
Shaam Ki Baatain Shaam Ko Hongi
Soch Ki Chadar Hum Kiyoon Taanain?
Fikr E Farda Rehnay Bi Do
Shaam Pari Hai,Raat Pari Hai
Dil Ki Ik Ik Baat Pari Hai
Khwaab Puraanay Sab Keh Daalain
Kal Ki Baat Bi Ab Keh Daalain
Kal Aai Ga,Kal Dekhain Ge...




*

z_haidar 11.01.12 - 07:21pm
waqt chup chap dabay paon utar aata hay
sir ke balon main bujhi dhoop ki rungut bun ke
aur aisay main december ki koi surmaee sham
mayray ehsas pe jum jati hay hayrat ban ke

*

kaheen nuzdeek se uthti hoi madhur si hansee
pas se jata hoa koi khilundra lumha
khol daita hay mayri umr-e-guzishta ki kitab
aur ik sath kaee varq palat jatay hain
yaad aa jatay hain wo khuwab se din
wo bharay din ki si ratain wohi mehtab se din
bheegi aankhon main maani ke samnadur perhna
jo kitabon main likha tha usay k*m kum takna
chand chehron pe jo likha tha wo aksar purhna
roz ik taza qaseeda nai tashbeeb ke sath
aik hi shakhs ki gul parahan-i per purhna
lufz perhna bhi to lehjoon ke barabur perhna

*

upni yadoon ke dafeenay ki talab main main ne
aaj khurchi hay badan se wo shub-o-roz ki gurd
to ye ehsas hoa hay mujh ko
main ke shahkar hoon pathar se nikul aaya hoon
kitna lurka sa main andur se nikul aaya hon..


*

z_haidar 11.01.12 - 07:33pm
Jisey Naaz Sheesha E Dil Pey Hai
Usey Shayed Is Kii Khabar Nahi
Ke Yeh Pathroun Ka Dyaar Hai
Yahaan Koii Aaiyena-Gar Nahi

*

Wo Musafir E Shab E Zeest Hon
Ke Kisi Ki Mujh Pe Nazar Nahi
Meray Raastey Kii Sehar To Hai
Meray Raastey Mein Sehar Nahii

*

Meray Saath Saath Ravaan To Hai
Koii Saya Sa Kisii Yaad Ka
Hai Wohii Shareek E Saffar Mera
Jo Mera Shareek E Saffar Nahii

*

Gham E Dil Tera Gham E Dil Sahii
Isey Kar Tu Nazar E Gham E Jahaan
Wo Charagh Koii Charagh Hai
Jo Charagh E Raah E Guzar Nahi

*

Yeh Shameem E Ishq Kii Be-Dilli
Yeh Hyaat E Fan Kii Udaasiyaan
Merey Shehar E Gham Mein Hai Kon Sii
Wo Galli Jo Khaak Basar Nahi

*

Main Kisi Ke Husn Kii Dil-Kashii
Jo Byaan Karoon To Bhi Kis Trah
Ke Nazar Ke Pass Zubaan Nahii
To Zubaan Ke Pass Nazar Nahi

*

Yeh Dyaar E Ghaflat E Shouq Hai
Na Humarey Saath Chaley Koii
Ke Guzar Rhien Hain Whaan Se Hum
Jhaan Khud Humarii Guzar Nahii

*

Na Shameem Ghuncha E Dil Khilla
Na Milli Hyaat Ko Roshnii
Yeh Sehar To Aur Kisii Kii Hai
Yeh Sehar Humarii Sehar Nahii..


*

z_haidar 11.01.12 - 07:38pm
NAIMULBADAL......
*
Kabhi kabhi men ye sochta ho
Ye kaon hai jis ka haath thaame
Haseen waadi se tum ho guzre
*
Mujhe yaqee hai ye men nahi hon
Tumahre pehlu men kaon hai ye
Ke jis pe zulfo ka sayeba hai
*
Samete chahat jahaan bhar ki
Bas ek tuk dekhe ja rahe ho
*
Us ajnabi men jo men nahi hon
Talaash mujh ko hi kar rahe ho
*
Ye dheemi dheemi si aag jis ka
Dhonwa sa aankho men jam raha hai
*
Tumahri aankho men us ka chehra
Kion lamha lamha pighal raha hai
*
Tumahari umeed bhujh gai kya .....??????????
*

z_haidar 11.01.12 - 07:49pm
Taarikh Ki Uljhi Galiyon Men
Kuchh Dher Parhe Hain Malbe Ke
Malba Jo Hamaare Dard Ka Hai!
Har Dekhne Waali Aankh Ka Hai
Har Sochne Waale Fard Ka Hai
Har Manzar Dhundla Dhundla Hai
Kuchh Aisa Parda Gard Ka Hai!

*

Wo Log Jo Aage Guzar Gaye
Kya Sacha Tha Unka Jhoot Tha Kya!
Kis Haq Ki Khaatir Larhte The!
Kis Zulm Ke Haathon Marte The
Kya Khwaab The Unki Aankhon Ke
Aur Kya Unki Taabeeren Thin?
Jo Seel-E-Zamaan Ka Rizq Huin
Wo Kya Mahkam Taameeren Thin?

*

Arzhang Jo Leer-O-Leer Hua
Kya Kya Uss Mein Tasveeren Thin?
Aur Paani Par Jo Likhin Gayin
Wo Kya Mushkil Tahreeren Thin?

*

Ik Dasht Ki Jalti Mitti Par
Kya Bahte Lahoo Ne Likha Tha!
Pardes Ke Qaatil Raston Mein
Kya Marte Huon Ne Socha Tha!
Jo Ahle-Chashm Ki Saf Mein Gaye
Mahlon Mein Takht Nasheen Hue
Muflis Ke Lahoo Ke Chhenton Se
Wo Daaman Jo Rangeen Hue
Aur Khalq-E-Khuda Ke Qismat Ke
Jo Maalik Ban Kar Baith Gaye
Laashon Par Masnad Rakhi Aur
Phir Uss Pe Tan Ke Baith Gaye

*

Au Wo Jo Ilm Ke Joya The
Taaron Pe Kamande Daalte The
Jo Apni Soch Ke Gulshan Mein
Aafaaq Ke Taayer Paalte The
Taksaal Mein Fikr-E-Farda Ki
Wajdaan Ke Sikke Dhaalte The
Aur Wo Jo Ishq Men Rusva The
Jo Mirza, Raanjhan, Heer Hue
Khud Dhoonda Husn Ke Phande Ko
Phir Chal Kar Aap Aseer Hue
Baatan Mein Utar Kar Harfon Ke
Jo Ghalib, Khusro, Meer Hue
Ye Sab Aur Inn Se Aur Kayi
Is Seel-E-Zamaan Ka Rizq Bane
Is Gard Ke Manzar Naame Men
Ik Abr-E-Gumaan Ka Rizq Bane

*

Ab Apni Apni Rau Mein Hain
Hai Kisko Fursta, Kaun Ruke!
Kya Raaz Hain Dil Darvaazon Ke?
Ab Kaun Sune Aur Kaun Kahe!
Kuchh Ghutti, Marti Cheekhen Hain
Kuchh Larze Hue Avaaze Hain
Kuchh Khauf Hai Patthar Ban Ne Ka
Kuchh Bhatke Hue Andaaze Hain
Kuchh Zakhm Hain Jinke Naam Nahi
Kuchh Bhugte Hue Khamiyaaze Hain
Tarteeb Kaise Ho Safhon Ki!
Sab Bikhre Hue Sheeraze Hain

Murghon Ki Tarah Iss Malbe Mein
Minqaar Daba Kar Kya Hoga
Ye Raunde Hue Se Taaj O Kalaah
Maathon Par Saja Ke Kya Hoga

*

Jo Nauhon Mein Tabdeel Hue
Wo Naghme Ga Kar Kya Hoga!
Aglon Ki Jeet Aur Haar Se Ham
Kyun Khush Hain! Kyun Sharmeenda Hain!
Hai Lauh-E-Jahaan Pe Darj Yahi
Ham Apna Aap Aayinda Hain
Bas Aik Haqeeqat Yaad Rahe
Jis Saans Talak Ham Zinda Hain
Aao Ke Chune Iss Malbe Se
Jo Khwaab Abhi Tabeenda Hain
Un Jazbon Ki Tauqeer Karen
Jo Anmit Hain, Paayinda Hain
Bas Un Taaron Ki Baat Karen
Jo Bujh Kar Bhi Rakhshinda Hain

*

Is Gard Ke Manzarnaame Mein
Jo Apne Kahe Se Ruk Jaaye
Aisa To Koi Mausam Bhi Nahi
Ye Sach Hai Aankh Jhaptke Tak
Manzar Bhi Nahi Aur Ham Bhi Nahi
Ai Baad-E-Fana Se Darte Dil
Jo Dekh Sake To Kam Bhi Nahi!
Ye Nazaare Ki Fursat Bhi!
Kuchh Kar Sakne Ki Taaqat Bhi!
Ye Pal Do Pal Ki Muhlat Bhi!


*

z_haidar 11.01.12 - 07:51pm
ham kyaa karte kis raah chalte
har raah meN kaaNTe bikhre the
un rishtoN ke jo chhuuT gaye
un sadiiyoN ke yaaraanoN ke
jo ik-ik kar ke TuuT gaye

*

jis raah chale jis simt gaye
yuuN paaNv lahuu-luhaan hue
sab dekhne vaale kahte the
ye kaisii riit rachaaii hai
ye mehNdii kyuuN lagvaaii hai
vo kahte the, kyuuN qaht-e-vafaa
kaa naahak charchaa karte ho
paaNv se lahuu ko dho Daalo

*

ye raateN jab kaT jaayeNgii
sau raste in se phuuTeNge
tum dil ko sambhaalo eN abhi
sau tarah ke nashtar TuuTeNge..
*

z_haidar 11.01.12 - 07:56pm
safarnaamaa

*

use zidd ke nuur ke naashte meN
shariik huuN
hameN Khauf thaa sahar-e-azal
ke vo Khud parast na rok le
hameN apnii raah-e-daraaz se
kahiiN kaamraanii-e-nau ke aish-o-suruur meN
hameN rok le
na Khalaa ke pehle jahaaz se
jo zamiiN kii samt rahiil thaa

*

hameN ye Khabar thii bayaan-o-harf kii Khuu use
hameN ye Khabar thii k apnii saut-e-guluu use
hai har aik shai se aziiz-tar
hameN aur kitne kaam the (tumheN yaad hai?)
abhii ''passport'' liye na the
abhii raiz-gaarii kaa intizaar thaa
abhii ''suitcase'' bhii ham ne band kiye na the
use zidd k nuur ke naashte meN shariik huN

*

vo tamaam naashtaa
apne aap kii guftuguu meN lagaa rahaa
''hai mujhe zamiiN ke liye Khaliifa kii justujuu
koyii naik-Khuu
jo miraa hii aks ho huu-ba-huu!''

*

tau ummiidvaaroN ke naam ham ne likhaa diye
aur apnaa naam bhii saath un ke baRhaa diyaa
''mirii aarzuu hai shajar hajar
mirii raah meN shab-o-roz
sijdaa guzaar hoN
mirii aarzuu hai ke Khushk-o-tar
mirii aarzuu meN nazaar hoN
mirii aarzuu hai ke Khair-o-shar
mire aastaaN par nisaar hoN
mirii aarzuu mirii aarzuu ''
shajar-o-hajar the na Khushk-o-tar
na hameN thii mastii e Khair-o-shar
hameN kyaa Khabar?
tau tamaam naashta chup rahe
vo jo guftuguu kaa dhanii thaa
aap hii guftuguu meN lagaa rahaa

*

baRii bhaag doR meN
ham jahaaz pakaR sake
isii intishaar meN kitnii chiizeN
hamaarii arsh pe reh gayiiN
vo tamaam ''ishq vo hausle
vo masarrateN vo tamaam Khaab
jo suitcasoN meN band the!

*

z_haidar 11.01.12 - 07:58pm
YAQEEN

*

Tum Mujhay Bhool Nahi Saktay Kabhi
Meray Naghmaat, Meri Dard Bharee Aawazain
Meray Lafzon Main Mehaktay Huwe Yaadon Ke Gulaab
Mari Aankhon Main Dehakta Hua Chahat Ka Aalao
Umer Bhar Teray Ta'aqqub Main Rahain Ge Janah ...

*
Waqt Har Ghaao Ko Bher Deta Hai Such Hai Lekin
Jab Bhi Barsay Gi Ghata Jab Bhi Bahaar Aaaye Gi
Teri Aankhon K Yeh Paymaanay Chalak Jayain Ge
Teray Daman Main Sitaray Say Utar Aayain Ge
Tujh Ko Aazaad Na Honay De Ga
Mere Chahat Ka Fason, Mere Mohabbat Ka Hisaar
Meray Hamrah Guzaray Huwe Lamhon Ka Khumaar

*
Rayegaan Yun Hi Na Jayein Gi Wafayein Meri
Toot Bhi Jaye Agar Saz-e-Hayaat
Tujh Ko Aayein Gi Shab-o-Roz Sadayein Meri

*
Tum Mujh Ko Bhool Nahi Saktay Kabhi .....

*

z_haidar 12.01.12 - 07:16pm
Aur kuch hi dair main, jub phir meray dil ko
Fikr aa lay gee ke tanhai ka kia chara karay
Dard aaye ga dabay paon, liye surkh charagh
Woh jo ik dard dharakta hai kahin dil se pury

*

Shola-e-dard jo pehloo main lapak uthay ga
Dil ki deewar pe her naqsh damak uthay ga

*

Halqa-e-zulf kaheen, gohsa-e-rukhsar kaheen
Hijr ka dasht kaheen, gulshan-e-deedar kaheen
Lutf ki baat kaheen, pyar ka iqrar kaheen

*

Dil se phir ho gi maray baat ke ai dil ai dil
Yeh jo meh bana hai teri tanhai ka
Yeh to mehmaan hai ghari bhar ka, chala jaye ga
Is se kub teri museebat ka madawa ho ga
Mushtail ho ke abhi uthain gay wehshi saaye
Yeh chala jaye ga, reh jain ge baqi saaye
Raat bhar jin se bara khoon kharaaba ho ga
Jang thehri hai koi khail nahin hai ai dil
Dushman-e-jaan hain sabhi, saray ke saray qatil
Yeh kari raat bhi, yeh saaye bhi, tanhai bhi
Dard aur jang main kuch mail nahin hai ai dil
Lao, sulgao koi josh-e-ghazab ka angaar
Taish ki aatish-e-jarrar kahan hai lao
Woh dehekta hua gulzaar kahan hai lao
Jis main germi bhi hai, harkat bhi, tawanai bhi

*

Ho na ho apnay qabeelay ka bhi koi lashkar
Muntazir ho ga andhairay ki faseelon ke idhar
Un ko sholon ke rajz apna pata to dain ge
Khair, hum tak wo na pohonchay bhi, sada to dain ge
Dur kitni hai abhi subh, bata to dain ge...


*

z_haidar 12.01.12 - 07:27pm
Taiz Hawaon Ke Jhonkon Se
Bus Bujhe Gaya Hoon
*
Mai Jalraha Tha Barsoon Se
Nibbat Raha Tha Arsoon Se
*
Ab Bujhe Gaya Hoon
Haan Ik Diya Hoon
*
Jalta Tha To Roshni Thi
Andhairoon Mai Ghir Giya Hoon
*
Mai Bujhe Giya Hoon
Ik Diya Hoon
*
Mujhe Se Wabasta Sa'atoon Ne
Moo Mujhe Sai Moor Liya Hai
*
Mairay Andhairoon Ko
Mairay Sang Akaila Chor Diya Hai
*
Bus Abb Aandhion Ka Intizar Hai
Maira Ab Rahna Baikaar Hai

*
Mai Bujhe Giya Hoon
*
Haan Ik Diya Hoon



*

z_haidar 12.01.12 - 07:31pm
yeh tumhaiN main bata dooN
ke chahtoN ke rishtoN mein
girah nahin lagti
lag bhi jaaye to uss mein
woh kashish nahin rehti
ik pheeka pheeka saa raabta to hota hai
taazgi nahin rehti
rooh ke taaluq mein zindagi nahin rehti
baat woh nahin rehti
laakh baar mil kar bhi dil nahin miltay
zehan ke jharokoN mein
yaad ke dareechoN mein
titliyoN ke rangoN mein
phool nahin khiltay
iss liye mein kehta

*
iss tarah ki baatoN se
ijtinab kartay hain...!!!
*

z_haidar 12.01.12 - 07:43pm
tumhari poron ka lams ab tak
meri kaf-e-dast par hay
aur mai yeh sochta hoon
woh lamhay kitnay darogh-go thay
woh keh gaey thay
keh ab kay jo haath tairay haathon ko chhu gaey haiN
tamaam hontoN kay saaray lafzon say mutabar haiN
woh keh gaey thay
tumhari porain
jo meray haathon ko chhu rahi theeN
woh to qismat-taraash haiN
aur apni qismat ko
saaray logoN ki qismatton say buland jaano
hamaari maano
to ab kisi aur haath ko haath matt lagana
mai uss samay say
tamaam haathon
woh haath bhi
jin mai phool
shaakhon say barrh kay lutf-e-namu utthaaeyn
woh haath bhi jo sada kay mehroom thay
aur un ki hathailiyaan zakham zakham theeN
aur woh haath bhi jo chiraagh jaisay thay
aur rastay mai sang farsang ki tarah jaa-bajaa gaRay thay
woh haath bhi
jin kay naakhunoN kay nishaaN
masoom gardanoN par misaal-e-toq-e-sitam parray thay
tamaam na-meharbaan aur meharbaan haathon say
dast-kash yuN ho raha hoon jaisay
yeh mutthiyaaN mainay khol deeN to
woh saari sachhaayyoN kay motti
musarratton kay tamaan jugnu
jo bay-yaqeeni kay janglon mai
yaqeen ka raasta banaatay haiN
roshni ki lakeer ka qaafla banatay haiN
meray haathon say rooTh jaaeyn gay
phir na taaza hawa chalay gi
na koi shama-e-sada jalay gi
mai zabt aur intezaar kay iss hissaar mai mudatton raha hoon
*
magar jab aik shaam
aur woh patt-jhaR ki akahri shaam thi
hawa apna aakhri geet ga rahi thi
meray badan mai mera lahu khushk ho raha tha
to mutthiyaaN main nay khol deeN
aur mai nay daikha
keh meray haathon mai
koi jugnu
na koi motti
hathailiyon per faqat meri naa-muraad aankhain dhari huwi theeN
aur unn mai
qismat ki sab lakeerain mari huwi theeN...


*

z_haidar 12.01.12 - 07:47pm
YEH HAIRAT GAAH-E-DUNYA HAI

*

Yeh hairat gaah-e-dunya hai
basar matt khwab mein karna
musalsal jagtay rehna,
agar iss jaa pe rehna hai
*
yeh mumkin hai ke bass ik aan mein
manzar badal ja'ay
nazar ka zikr kya,meh ka
paikar badal ja'ay
*
yeh mumkin hai kisi kha'ei pe hi
yakk lakht rasta khatm ho ja'ay
kabhi darya pe puhncho
aur kinara khatm ho ja'ay
*
yeh mumkin hai kabhi dekho
inhien qadmon main bethay kuchh
sarapa naaz logon ko
kabhi dekho qaba-e-dosti mein
sabb zamana saaz logon ko
*
thi jin se harf-e-khush ki aas
unn honton pe taana ho,
woh jin mein phool mumkin thay
unein hathon mein dashna ho,

*
buhat hoshyar rehna hai
yeh hairat gahh-e-dunya hai!





*

z_haidar 12.01.12 - 08:06pm
Yeh Mera Shehar hAi
mUjh Ko Yahien Rehna Bhi hAi Lekin
mUjhay Is Shehar Kii dO Teen GaliyOn Ko bhUlana hAi
Ke In GaliyOn Se WabaSta hAin
Kuch MaghmOom Sii Yaadien
*
Magar mUshkil Yahii tO hAi
Ke Main Jis Simmt Bhi JaaOn
wOhii Galiyaan Meray Har RaStay Mein Aa Nikaltii hAin
Magar Kaisay BhUlaana hAi
Nahien Kuch SOojhta mUjh Ko
*
Kisi Se POochna hOga
Yeh AndaiSha Bhi hAi Lekin
Ke Main Jis Se Bhi POochon Ga
wO mUjh ko Na De Paye Ga
mUnasib MaShwara kOii
*
Ke In GaliyOn Ke JadOo Ka
Kisi Ko Ilm Hii Kab hAi!!!!

*

z_haidar 17.01.12 - 08:48am
Kis Liye Ab Udas Bethi Ho???
*
Jab wo ik shakhs dastras min tha .
*
Us se milna tumhare bas min tha .
*
Us ki ankhen tumhari ankhen thin .
*
Us ki baten tumhari baten thin.
*
Us ka chehra tumhara chehra tha.
*
Us k dil par tumhara pehra tha.
*
Us ki har sans min basi thin tum.
*
Us k har lafz min khili thin tum.
*
Us k sapnon min bhi rachi thin tum.
*
Us ki neendon min jagti thin tum.
*
Wo jo kehta tha be-qarari he.
*
Meri sari wafa tumhari he.
*
Sirf tum se mujhe mohabat he.
*
Sirf tum se meri haqiqat he.
*
Kitni baten mein keh nhi sakta.
*
Door tum se min reh nhi sakta.
*
Tab tum us k har aik jumle ko.
*
Tab tum us k har aik jazbe ko.
*
Ik hansi min uraya karti thin.
*
Sun k tum bhool jaya karti thin.
*
Us ki ankhon ko dekhti thi jab.
*
Be-niyazi k dard wo sehta tha.
*
Bhool jana tumhari adat thi.
*
Phir bhi kitna malool rehta tha.
*
Apni tanhai k gale lag kar.
*
Sare ansoo wo ro gaya ik din.
*
Aik pathar se dil lagi kar k.
*
Khud bhi pathar ka ho gaya ik din.
*
Ab wo tum se to kuch nhi kehta.
*
Be-niyazi k dukh nhi sehta.
*
Us ki ankhen ab us ki ankhen hen.
*
Us ki baten ab us ki baten hen.
*
Bhool jana tumhari adat he.
*
Us ki baton ko bhool jao na !!
*
Ab wo ik shakhs dastras min nhi.
*
Us se milna tumhare bas min nhi.

*
Kis Liye Ab Udas Bethi Ho???
*

z_haidar 17.01.12 - 08:50am
Min sochta hon k.
*
Mout k saye mere ird gird mandlaen ge.
*
Mere dost, aziz, sathi sab.
*
Mere pas jama ho jaen ge.
*
Suno ge jab tum mere marne ki khabar.
*
Uren ge hosh tere or paon larkharaen ge.
*
Mujhe yaqin he aakhri bar dekhne k liye.
*
Tere qadam tujhe mere ghar khench laen ge.
*
Mere sarhane logon ka hajoom hoga.
*
Un ka rona dar-o-diwar ko hilaen ge.
*
Mere khulus ki jab dastan aam hogi.
*
Ye tazkare tere ahsas ko jalaen ge.
*
Tujhe wo wada reh reh k yad aye ga.
*
K sath jiyen ge sath mar jaen ge.
*
Wo din bhi tere zehn pe dastak de ga.
*
Kabhi na halaat k aage sar jhukaen ge.
*
Meri yaden tujhe tor den gi par.
*
Ansu teri ankhon se nikal na paen ge.
*
Or jab chal k ao ge meri laash k pas.
*
Or tujhe mere aziz mera chehra dikhaen ge.
*
Bejan jisam ko dekh k kia seh lo ge tum?

*
Socho kia mere bin reh lo ge tum?
*

z_haidar 17.01.12 - 08:51am
Samandr puchta he ab wo donon kiyon nhi ate?
*
Wohi donon, jo bheegi rait par.
*
Aik dusre ka hath thame door tak.
*
Kabhi hanste, kabhi kuch gun gunate.
*
Ya kabhi chup chap bethe door ufaq ki godh min.
*
Roposh hone wala suraj dekhte.
*
Ansoo bahate loat jate.
*
Samandr puchta he ab wo donon kiyon nhi ate?
*
Jo ate the to apne sath kitne khwab late the.
*
Kabhi sahil se dheron sipiyan chunte the.
*
Nange paon pani min chale ate the.
*
Bheegi rait se nanhe gharonde bhi banate the.
*
Aur un min sipiyan, rangeen se kuch sangreeze yon sajate the.
*
K jese aj k jugnu se lamhe.
*
Anay wale kal ki muthi min chupate the.
*
Samandr puchta he ab wo donon kiyon nhi ate?
*
Magr samandr ne khizan ki siskiyan leti hoi.
*
Aik sham ko wo no-jawanon ko nhi dekha.
*
Jo der tak tanha sare sahil raha betha.
*
Phir us ne dher sare khat.
*
Bht se phool sukhe aur taswiren.
*
Aur apne akhri ansu.
*
Samandr k hawale kar diye.

*

z_haidar 17.01.12 - 08:52am
Kal rat ko chaand ne mujh se kaha.
Kia mujh sa bhi koi dekha he.
Kia aisa bhi koi chehra he?
Jise sari duniya takti he.
Jo noor min dhul kar nikhra he.?
Kia mujh sa bhi koi chehra he?
Ye sun k min ne us se kaha.
Tu ne kia us ko dekha he?
Jo chehra tujh se piyara he.
Wo nikle to din hota he.
Use dekhhon to har rat khile.
Tu noor min dhul kar nikhra he.
Par.
Noor bana us ke rang se.
Wo hont gulabon jese hen.
Wo jin se pani pita he.
Wo gehri sagar si ankhen.
Min jin min doob si jati hon.
Wo pas se guzre to us pal.
Ye duniya bhool si jati hon.
Wo jis raste se chalta he.
Sab raste sajde karte hen.
Is hawa k jhonke bhi to bas.
Use chu k mehka karte hen.
Wo bat kare to lehje se.
Kuch phool bikhar se jate hen.
Us dheemi si awaz se phir.
Kitne sur bikhra karte hen.
Phir rat k in sannaton min.
Wo madham si awaz mere.
Kanon min goonjti rehti he.
Min us ko sochti rehti hon.
Wo khwabon min mil jata he.
Use dekh k ye murjhaya dil.
Us lamhe phir khil jata he.
Tu arsh ka chaand.
Wo farsh ka chaand.
Ye sun k chaand bhi jal sa gaya.
Or mujh se bas itna hi kaha.
Min us ko dekhne jaon ga.
Ab ay chanda.
Ik bat suno.
Tum rat ko bahr mat jana.
Kahin chaand ki tum ko nazar na lage.

*

z_haidar 17.01.12 - 08:54am
Apni tanhaiyon se pucha he.
*
Shab-e-hijran se bat kar li he.
*
Mere andar ki sehmi khamoshi.
*
Mere bahar ka hansta chehra bhi.
*
Rat k sansanate lamhe bhi.
*
Din ka dasta hoa ujala bhi.
*
Zabt ka tootta ye bandhan bhi.
*
Sabar ka tta ye daman bhi.
*
Us ki yaden bhi kuch isharon min.
*
Mujh ko majbur kar rahi hen sab?
*
Ao ab us k pas chalte hen.
*
Us se kehte hen kuch dawa kar de.
*
Apni fitrat ko chor kar aik pal.
*
Koi wada to wo wafa kar de.
*
In ki baton se kuch nhi ho ga.
*
Aakhri fesla to dil ka he.
*
Dil ye kehta he us se milne se.
*
Apni tanhaiyan hi achi hen.
*
Ab akele min lag gya he dil.
*
Us se milne hamen nhi jana.
*
Us ki baten udas kar den gi..!!!

*

z_haidar 17.01.12 - 08:55am
Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko.
*
Dard kia hota he tanhai kise kehte hen.
*
Chaar soo gunjti ruswai kise kehte hen.
*
Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko
*
Koi lamha ho teri yad min kho jate hen.
*
Ab to khud ko bhi mayasar nhi a pate hen.
*
Rat ho din ho tere pyar min hum behte hen.
*
Dard kia hota he tanhai kise kehte hen.
*
Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko.
*
Jo bhi gham aye use dil pe saha karte the.
*
Aik wo waqt tha hum mil k raha karte the.
*
Ab akele hi zamane k sitam sehte hen.
*
Dard kia hota he tanhai kise kehte hen.
*
Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko.
*
Hum ne khud hi apne raste min bichae kante.
*
Ghar min phoolon ki jaga la k sajae kante.
*
Zakham is dil min basae hoe khud rehte hen.
*
Dard kia hota he tanhai kise kehte hen.
*
Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko.
*
Yon to dunya ki har aik cheez haseen hoti he.
*
Pyar se barh kar magar kuch bhi nhi hoti he.
*
Rasta rok k har aik se yehi kehte hen.
*
Ab jo bichre hen to ahsas hoa he hum ko.
*
Dard kia hota he tanhai kise kehte hen.
*
Chaar soo gunjti ruswai kise kehte hen.

*
Ab jo bichre hen to....
*

z_haidar 17.01.12 - 08:57am
Dil min phool khilte the, jaltarang bajte the.
*
Zindagi mehkti thi, khuwab rang sajte the.
*
Sahil samandar par koi sath chalta tha !
*
Khushbuen nahata tha, chaandni min jalta tha.
*
Gili gili tehreeren rait par ubharti thin .
*
Door kuch parindon ki toliyan guzarti thin.
*
Hamsafar bhi apna tha, raaste bhi apne the.
*
Bheegi bheegi ankhon min kuch haseen sapne the.
*
Hum ne jo basaya tha, dil nagar adhura he.
*
Kia khabar thi qurbat ka ye safar adhura he.
*
Aaine ki bahon min, dard ki panahon min.
*
Dil zada musafir he be nishan raahon min.
*
Dubta hoa suraj rait ka gharunda he.
*
Sham k dhund lake min phir koi akela he.
*
Arsa tamanna min, dharkanon ki dunya min.
*
Khawahishon k jungle min, tashnagi k sehra min.
*
Zindagi akeli he apne baal bikhrae.
*
Zindagi bhatakti he khali hath phelae.

*

z_haidar 17.01.12 - 11:26am
Sote min bhi.
*
Chehre ko aanchal se chupaye rehti hon.
*
Dar lagta he.
*
Palkon ki halki si larzish.
*
Honton ki mohoom si junbish.
*
Galon par reh reh kar utarne wali dhanak
*
Lahoo min chaand rachati.
*
Is nanhi si khushi ka nam na le le.
*
Neend min ayi hoi muskan.
*
Kisi se dil ki bat na keh de.

*

z_haidar 17.01.12 - 12:40pm
mean kab ka khud se bichar chuka houn
*

Bicharnay Waalay!
Bicharnay Waalay!
Tujhay Khabber Hai?
K Tairay Jaanay se Maira Jeevan
Hazaar KhanooN main Batt Gaya Hai!
Tujhay Khabber Hai Bicharnay Waalay!
K Mairi Khushiyan hee Kho Gai Hain
Main Kitna Tanha Sa Ho Gaya HooN
Wajood Maira Tu Iss Safar Main
Yeh Daikh ZakhmooN se Att Gaya Hai
Main Sochta HooN!
Mager Yeh Sochain,
Kyun Aik Nuqtay Pe Jamm Gai Hain,
Mujhay Yeh Mehsoos Ho raha Hai!
K Jaisay Saansain Hee Thamm Gai Hain
Mujhay Bata Day Bichrnay Waalay!
K Khud ko Kaisay Sambhalna Hai
Hijar K RastoooN Pe Chaltay Chaltay!
Yeh Mairay PaaoN Laho main Terr Hain
Yaqeen Ker Lay Main Thakk Gaya HooN
Bicharnay Waalay! Tujhay Khabber Hai
Main Kab ka Khud Se Bicharr Chukka HooN
=



*

z_haidar 17.01.12 - 01:22pm
Din raaat k aanay janay main
*
Dunya k ajaib khaanay main
*
Kabi sheeshay dhundlay hotay hain
*
Kabi manzar saaf nahi hotay
*
Kabi sooraj baat nahi krta
*
Kabi taaray aankh badaltay hain
*
Kabi manzil peechay rehtay hai
*
Kabi rastay aagay chaltay hain
*
Kabi aasain tor nahi charhtin
*
Kabi khadshay pooray hotay hain
*
Kabi aankhen daikh nahi saktin
*
Kabi khwab adhuray hotay hain
*
Ye sab to sahi hail akin
*
Is aashob k manzar namay main
*
Din raaat k aanay janay main
*
Dunya k ajaib khaanay main
*
Kuch saaya karti aankhon k pymaan to dikhai detay hain
*
Hathon sy agarchay door sahi
*
Imkaan to dikhai detay hain
*
Han
*
Rait k is dariya sy udher
*
Ek pariton wali basti k
*
Unwaan to dekhai detay hain
*
Manzil sy koson door sahi
*
Pur-dard sahi, ranjoor sahi
*
Zakhmon sy musafir choor sahi
*
Par kis sy kahen ay jan-e-wafa
*
Kuch aisay ghao b hotay hain
*
Jinhen zakhmi aap nahi dhotay
*
Bin roye huway aansu ki tarha
*
Seenay main chupaa k rakhtay hain
*
Or saari umer nahi rotay
*
Neenden b mohaiya hoti hain
*
Sapnay b door nahi hotay
*
Kyun phir b jagtay rehtay hain?
*
Kyun saari raat nahi sotay?
*
Ab kis say kahen ay jan-e-wafa?
*
Ye ehl-e-wafa kis aag main jaltay rehtay hain
*
Kyun bujh kar rakh nahi hotay??

*

z_haidar 17.01.12 - 01:24pm
boht by-dard hun na main?
*
stata hun boht tumko?
*
rulata hun boht tumko?
*
k tumko chor kar tanha
*
khizaan lamhon ki banhon main
*
boht he door sochon main
*
chala jata hun main aksar?
*
chalo aisa karo jana
*
mujay koi saza day lo
*
k jab sonay ko mann chahay
*
meri palkon ka ghunghat orh kar
*
tum ru-baru aana
*
meri sanson main bas jana
*
zara b door yadon sy
*
kabi honay nahi dena
*
suno tum aisa karna k

*
MUJHAY SONAY NAHI DENA..(: *

z_haidar 17.01.12 - 01:26pm
taaluq torna chahay...
*
tu muj ko chorna chahay...
*
to meri shart itni hai...
*
tumhen jo day chuka hun main...
*
mujay lota do wo sab kuch...
*
meray naghmay wo chahat k...
*
wo sab tohfay mohabbat k...
*
wo bheegi dairy meri...
*
wo saari shairy meri ...
*
sabhi wo phool or patiyaan...
*
wo meethi pyaar ki baatain...
*
kaho lota sako gay tum?
*
meray wo keemti lamhay...
*
jo tujh ko sochtay guzray...
*
wo pal jo 1 qyamat thay...
*
jo rasta dekhtay guzray...
*
khuda ko bhool kar wo din...
*
jo tujh ko pujtay guzray...
*
kaho lota sako gy tum???
*
haya ki chandni day di...
*
jiya ki raagni day di...
*
labon ki chashni dy di...
*
hina ki roshni day di...
*
tujhay to zindagi dy di...
*
har 1 apni khushi dy di...
*
to phir wo zindagi meri...
*
haan bolo har khushi meri...
*
kaho lota sako gy tum???
*
agar mumkin ho aisa to..
*
taaluq tor lena tum..
*
bhalay phir chor dena tum
*
bhalay phir chor dena tum...
*

z_haidar 17.01.12 - 01:27pm
Suna hai junglon ka bhi koi dastoor hota hai
*
Suna hai, shair ka pait bhar jaye to wo hamla nahi krta
*
Suna hai, hawa k taiz jhonkon mai mena apnay ghar ko bhool kar Kawway k andon ko pairon main thaam leti hai
*
Suna hai, ghonslay sy jab koi bacha giray to sara jungle jag jata hai
*
Suna hai, selaab aa jaye to lakri k takhtay par, saanp, cheetah or bakri sath hotay hain
*
Ay munsifon
*
Meray mulk main bhi ab junglon ka hi koi dastoor lay aao

*

z_haidar 17.01.12 - 01:29pm
Haqeeqat aashnaa meray
*
Tujhay shayad khabar ho gi
*
Mujhay teri mohabbat nay boht buzdil bana daala
*
Main har us shay se drta hun tujhay jo cheen skti hai
*
Main un lamhon sy drta hun judai jin main rehti hai
*
Main un ashkon sy drta hun jo ban kar yaad behtay hain
*
Main un lafzon sy drta hun jo khamoshi main rehtay hain
*
Bicharnay ki meray hamdam main har surat sy drta hun
*
Tujhay shayad khabar ho gi
*
Mujay teri mohabbat nay boht buzdil bana daala

*

z_haidar 17.01.12 - 01:44pm
Main usay dekh k hairaan howa phirta hon,
Wahi gaati hoi aankhen wahi andaaz_e_kalaam,
Wahi gulnaar tabassum se mahekta chehra,
Wahi khush-rang kharaam,
Narm lehje me tarannum ki wahi gul-kaari,
Jese wo kal ki gayi aaj chali aai ho,
*
Meri shab jaag k kati hoi kaali raaten,
Sard kamre me thutharti hoi sochen yaaden,
Raat-bhar roi hoi aankh se bheege takiye,
Aur taalu se chimte hoye karrwe lamhe,
Mere behke hoye khwabon k tarasheeda thay,
*
Main ne soocha tha guzarte hoye karrwe lamhe,
Us k taalu se bhi chimte hon ge,
Us k takyoun pe bhi meri yaadeen,
Ashk ban ban k tapakti hon gi,
Sard raatoon me sim_e_tanhai,
Us ki neendon ko bhi khaata ho ga,
*
Us ki aankhon me magar dard ka saaya bhi na tha,
Jese wo guzre hoye waqt se guzri he na thi,
Jese us ne mujhe chaha he na tha,
*
Youn mujhe samne pa ker wo haraasan na hoi,
Mere be-rabt sawalon se pareshan na hoi,
Apne manoos tabassum me tarannum bhar ker,
Mujh se chaltay hoye boli,
Hello!!!....
Shayar_e_waqt! Kaho, kese Ho???...

*
Main usay dekh k hairaan howa phirta hon...!!!

*

z_haidar 17.01.12 - 01:45pm
Main sach kahon to yaqeen karo gi?
Tumhare lab ki her aik jumbish
Tumhari aankhon ki jhilmilahat
Tumhare lehje ki be-qaraari
Wo gham main lapten, wo dukh main dooben
Bichharrte lamhon ki saari baaten
Mere khayalon main bolti hain
Magar main sub kuch bhula chuka hon
Bichharrte lamhon ki her nishani ka aks dil se mita chuka hon
Magar main ab jo dua ki khaatir
Ye haath apne jo utha raha hon
Hain lub tumhare hatheliyon main
Wo lub k jin ki her aik jumbish
Main zahen-o-dil se mita chuka hon
Wo yaad itna dila rahe hain
Bichharrte lamhe kaha tha tum ne
Mujhe duaon main yaad rakhna...!!!
*

z_haidar 17.01.12 - 03:45pm
Qalb'e'muztarib thehar lamha bhar k liye
Uski rukhsat ka hangaam dar'pesh hy
*
Wasl'e'shereen sy gul'rang mahol myn
Ek kahani ko anjaam dar'pesh hy
*
Aakhri bar ji bhar k myn dekh loon
Kya khaber phir kabhi hm milyn na milyn
*
Shaakh'e'farda samer'bar ho k na ho
Kis ko maloom phir gul khilyn na khilyn
*
Aesi sa'at kahaan aesa manzr kahaan
Rang he rang hy roop he roop hy
*
Chhaoon aanchal ki ly loon gharri do'gharri
Phir safer dr'safer dhoop he dhoop hy..
*

z_haidar 17.01.12 - 03:47pm
Qalb'e'muztarib thehar lamha bhar k liye
Uski rukhsat ka hangaam dar'pesh hy
*
Wasl'e'shereen sy gul'rang mahol myn
Ek kahani ko anjaam dar'pesh hy
*
Aakhri bar ji bhar k myn dekh loon
Kya khaber phir kabhi hm milyn na milyn
*
Shaakh'e'farda samer'bar ho k na ho
Kis ko maloom phir gul khilyn na khilyn
*
Aesi sa'at kahaan aesa manzr kahaan
Rang he rang hy roop he roop hy
*
Chhaoon aanchal ki ly loon gharri do'gharri
Phir safer dr'safer dhoop he dhoop hy..
*

z_haidar 17.01.12 - 03:58pm
aisii hii sard shaam thii voh bhii
jab vo mehndi rachaaye haathoN meN
apnii aahaT ke Khauf se larzaaN
surKh aaNchal meN muuNh Chhupaaye hue
apne Khat mujh se lene aayii thii

*

us kii sehmii huii nigaahoN meN
kitnii Khaamosh iltijaayeN thiiN

*

us ke chehre kii zard rangat meN
kitnii majabuurioN ke saaye the!
*
mere haathoN se Khat pakaRte hii
jaane kyaa soch kar achaanak voh,
meraa shaanaa pakaR ke royii thii
*
us ke yaaquut rang hoThoN ke
kap_kapaate hue kinaaroN par
sainkRoN ankahe fasaane the !
*
sard shaamoN meN der tak aksar
jab ye manzar dikhaayii detaa hai
ek lamhaa hinaayii haathoN se
mujh ko apnii taraf bulaataa hai
ham_nashiiN ruuThh kar na jaa mujh se!
*
aisii hii sard shaam thii vo bhii!


*

6-<< 2-< 1-> 7->>


* Reply
* UrdUMaG Forum


Search:
topics replies


* UrdUMaG

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store