WAP Groups
Download Free Apps & Games @ PHONEKY.com

UrdUMaG - Topics
Create Your Own App Store

* UrdUMaG > Topics


Subject: ~*~DUKH~*~BHARI~*~NAZZMEIN~*~
Replies: 1013 Views: 44870
1-> 7->>

z_haidar 10.03.10 - 07:30pm
Kuch Baaten Thein,
~*~
Jo kehte kehte Honton pr Bejaan huen,
~*~
Kuch Aankhen Thein,
~*~
Jo Khuwabon se Veran huen,
~*~
Kuch Khuwaab They,
~*~
Jin ko Such hone ka Sahoda Tha,
~*~
Kuch Din They,
~*~
Jin main Jeenay ka ik Dhoka Tha,
~*~
Kuch Mosam They,
~*~
Jo Hum se Baaten karte they,
~*~
Kuch Waday They,
~*~
Jo Khul jane se Darte they,
~*~
Ek Jeevan Tha,
~*~
Ek Aas thi us k Daaman main,
~*~
Wo Jeevan dukh main Khatam howa,
~*~
Aur Aas Safar main Toot gai,~*~
Sab jis k Dum se Qaim tha,
~*~

WO DHOOP SUNAIRI ROOTH GAI..!!!
~*~
~*~
(ZESHAN~HAIDAR) *

z_haidar 10.03.10 - 07:55pm
~*~ ~*~ AAJ BHI ~*~ ~*~
~*~
Ek Muddat se jise Dekha nahi,
~*~
Aaj Bhi
Wo Zehen se Utra nahi,
~*~
Aaj Bhi
Wo Toot kar Aata hai Yaad,
~*~
Aaj Bhi
Main Raat bhar Sota nahi,
~*~
Aaj Bhi
Sacha hoon apne Ishq-o-Wafa main,
~*~
Aaj Bhi
Wada mera Jhota nahi,
~*~
Aaj Bhi
Qaim hoon apne Zabt par,
~*~
Aaj Bhi
Main toot kar Bikhra nahi,
~*~
Aaj Bhi
Main Sirf uska Hoon magar,
~*~
Sawal ab Itna hai k,
~*~
Ay Jan-e-Jan Tu Mera hai ya Nahi..??

~*~
~*~
(ZESHAN~HAIDAR) *

cascad18 11.03.10 - 02:07pm
nyc poetrys... Z ... Post more yo poetrys *

z_haidar 11.03.10 - 02:54pm
Thanks.,alot.. *

z_haidar 12.03.10 - 04:27pm
~*~SHAAM KA DALTA SORAJ~*~
Shaam Ka Dalta Soraj, Kuch Kehte Kehte Doob Giya,
~*~
Tanhai k ik roz Aalam main,
~*~
Udasi k ik Din Manzar main,
~*~
Ghum k Gehrey saaye main,
~*~
Shaam Ka Dalta Soraj, Kuch Kehte Kehte Doob Giya...
~*~
Chal rahi thi Pursooz Hawa,
~*~
Lagta tha k Jaise.....
~*~
Koi Saada zoor se Ghonje gi,
~*~
Koi Chekhy ga Chalaye ga,
~*~
Rang Faluk bhi apna Badle ga,
~*~
Ek Surkhi har so Phailey gi,
~*~
Main ne Dekha jo Daltey Soraj ko,
~*~
Ek Karb ka Manzar waizey tha,
~*~
Ek dard ka Fasaana Roshan tha,
~*~
Ek Rang tha sirf Udaasi ka,
~*~
Ek Ehsaas tha sirf Bezaari ka,
~*~
Lagta tha Jaise.....
~*~
Sadihon pe Phaili Kahani ka,
~*~
Aaj Raaz to Afshaa ho ga,
~*~
Aaj saari Duniya Dekhe gi,
~*~
Aaj khob Tamasha hoga,
~*~
Youn Lagta tha k Jaise.....
~*~
Aaj Dil khol k Soraj Roye ga,
~*~
Tab chain ki Neend ye Soye ga,
~*~
Is Dil sooz Hawa main jaise,
~*~
Aaj bohot se Fasaly hone Hain,
~*~
Lekin Fasaly ki is Ghari main,
~*~
Waqt ne barri Na-Insaafi ki,
~*~
Main ne Aankh utha k Dekha jo,
~*~
Bari Hasrat se Majbori se,
~*~
Meri Aankhon main Aankhen daaley,
~*~
SHAAM KA DALTA SORAJ, KUCH KEHTE KEHTE DOOB GIYA...!!!

~*~
~*~
(ZESHAN~HAIDAR) *

mastkuri 13.03.10 - 07:45am
read.GIF bohat hi payare shairy hay thanks. *

z_haidar 13.03.10 - 05:55pm
Thanks alot my Dear.... *

z_haidar 15.03.10 - 05:54am
Tum ko Yaad hai JAANA,
~*~
Guzishta saal March main,
~*~
Isi Tarah ka Mosam tha,
~*~
Jab TuM ne kaha tha Mujh se,
~*~
Chalo hum Naam Badalty hain,
~*~
Koi Achay se farzi Naam,
~*~
Rakho tum Apne or Mere,
~*~
Han us waqt Tumhari Baat,
~*~
Main ne un suni kar di,
~*~
Magar jab se lagi Thokar,
~*~
To ab kuch Naam zehan Main aye,
~*~
Aaj isi March main,
~*~
Wo Farzi naam rakhe hain,
~*~
Mera naam aaj se ''TANHA''
~*~
Or
~*~
Tumhara naam ''MOSAM'' hai,
~*~
K ''Tanha'' Ana Parast Thehra,
~*~
Or ''Mosam'' Bewafa JAANA..!!!

~*~
~*~
(ZESHAN~HAIDAR)
*

aanchals 15.03.10 - 06:11am
read.GIFHMMM NICE COLLECTION THANKS.clap2.GIF *

ur_love 15.03.10 - 06:54am
bahot Nyc clapping.GIF *

z_haidar 15.03.10 - 12:07pm
Thanks alot my frnds....Aanchal and urlove...Again thanks... *

z_haidar 17.03.10 - 04:01pm
MAIN TUJH KO DHONDHTA REHTA HON...!!!
~*~
Bechain Bohot hi Phirta hon,
~*~
Main Tujh ko Dhondta rehta hon,
~*~
Har Rah Guzar, har Manzal par,
~*~
Har aik Bhanor, har Sahil par,
~*~
Ek Hijar k jalty Mosam main,
~*~
Ek Wasal ki Thandi Chhaya main,
~*~
Main Tujh ko Dhondta rehta hon,
~*~
Rahon main kahen Milta hi nai,
~*~
Koi Meet niya, Sangheet niya,
~*~
Ya Dard koi ya Ghaho niya,
~*~
Mere Andaz jaise Thehra ho,
~*~
Ek sona sona Manzar sa,
~*~
Is Dil k Band Darwazy par,
~*~
Bus Aahat sunta rehta hon,
~*~
Ek Dastak Dhondta rehta hon,
~*~
Main Tujh ko Dhondta rehta hon,

~*~
BUS TUJH KO DHONDTA REHTA HON..!!!
~*~
~*~
(ZESHAN~HAIDAR) *

ajnabii 17.03.10 - 05:05pm
Z-HAIDER BHAI ITNI ACHI OR ORGANIZED
SHAIRY POST KARNE KA SHUKRIA BAD MAIN
ISME IMAGES ADD KRON GA KARO GA
*

z_haidar 18.03.10 - 02:11am
Thanks brother....Aap pics add karhen main poetry add karon ga...Again thanks.. *

z_haidar 21.03.10 - 10:53am
~*~WO SHAKHS TO YAR PRAYA THA~*~
. . . . . . . . . . . . . .
Wo Gheet Sangheet ab Khuwab hovy,
~*~
Is Duniya ko Hum ne Chor diya,
~*~
Jis Saaz k Naghmay Jhotay thy,
~*~
Is Saaz ko Hum ne Toor diya,
~*~
K is Saaz ko Jis ne Chera tha,
~*~
Aur Gheet Wafa ka Ghaya tha,
~*~
~*~
WO SHAKHS TO YAR PRAYA THA.!
~*~
~*~
Wo Lamhey bhi kya Lamhey thy,
~*~
Jab ek Pal ko Raat na Sotey thy,
~*~
Jab Mil k is se Aatey thy,
~*~
Aur Thaam k DiL ko Rotey thy,
~*~
Hum ne Ro Ro k Jis ko Manga tha,
~*~
Aur ye Daman bhi Phelaya tha,
~*~
~*~
WO SHAKHS TO YAR PRAYA THA.!
~*~
~*~
Ab Rotey ho, Taraptey ho,
~*~
Apni to Aik na Maani TuM ne,
~*~
Wo Rang Badal k Chal diya,
~*~
Lotai jis pe Jawani TuM ne,
~*~
Yaad hai Paas Bitha k ek Din,
~*~
Hum ne TuM ko ye Samjaya tha,
~*~
~*~
WO SHAKHS TO YAR PRAYA THA.!
~*~
~*~
Jo ho Giya So ho Giya,
~*~
Ab Khud ko to Barbaad na kar,
~*~
Tere Zakhmon ka ye Madaawa hai,
~*~
Ussy Bhool k ab to Yaad na kar,
~*~
Bus Itna to ay Yaar samj,
~*~
Jis se Too ne Dil Lagaya tha,
~*~
~*~
WO SHAKHS TO YAR PRAYA THA.!
~*~
~*~
Main Naadar har dum Saath tere,
~*~
Kat jaye gi Dukh ki Raat kabhi,
~*~
Meri Zindagi ka ye Maqsad hai,
~*~
Tere Lab pe na aye ye Baat Kabhi,
~*~
K meri Zindagi ka jo Haasal tha,
~*~
Jo meri Saanson ka Sarmaya tha,
~*~
~*~

WO SHAKHS TO YAAR PRAYA THA..!!!
~*~
~*~
(ZESHAN~HAIDAR) *

z_haidar 26.03.10 - 04:26pm
~*~KOI DIL KAHEIN PE TOOTA HAI~*~
. . . . . . . . . . . . . .
Na Aahon k Janazay hon,
~*~
Na Ashkon ki Barsaaten hon,
~*~
Na Revehon k tewar Badley hon,
~*~
Na Andaz main kuch Tabdeli ho,
~*~
Jab Chehron ki is Rangat main,
~*~
Wo Rang na ho Wo Noor na ho,
~*~
Jab Jazbon ki sirf Sardi ho,
~*~
Aur Lafzon ki Hararat ho,
~*~
Khuli khuli jab Aankhon main,
~*~
Koi Roop na ho koi Aks na ho,
~*~
Jab koi Baat kahe na Baat suney,
~*~
Aur Be-Baat hi Jab koi Hansta ho,
~*~
Aur dekh k is K Hansney ko,
~*~
Puri Mehfil jab Hansti ho,
~*~
Phir Jan lo Tum ye jan lo Tum,
~*~
~*~
KOI DIL KAHEIN PE TOOTA HAI !
~*~
~*~
Agar Khamoshi se koi Betha ho,
~*~
Na Hansta ho na Rota ho,
~*~
Aur is K Lafzon ki Khamoshi main,
~*~
Biyanak sa Sanata ho,
~*~
Is ki Juki Juki in Aankhon main,
~*~
Jab Sawaliya se Kuch Fiqray hon,
~*~
Tum bolna phir Tum sochna phir,
~*~
Kya Teri Mehfil main Koi Tanha hai,
~*~
Gar Tum ko ye bhi Khuwaish hai,
~*~
K Wo hanse bhi aur Boley bhi,
~*~
Apne dard ka Wo Izhaar kary,
~*~
Par is k liye Tum ek Kaam karo,
~*~
Dekhna na Chahte huvy bhi,
~*~
Wo Roye ga Wo boley ga,
~*~
Zubaan ki gara Khole ga,
~*~
Wo jitna Aanso rokey ga,
~*~
Itnay Aanso Barsein gay,
~*~
Alfaaz ko Tere sun kar,
~*~
Sar Mehfil phir Wo Tarpey ga,
~*~
Bus kar k apni Aankhen Pur-Num,
~*~
Aur Dil par Hath rakh kar apne,
~*~
Tum ne Dheere se Ye Kehna hai,
~*~
~*~
KOI DIL KAHEIN PE TOOTA HAI !
~*~
~*~
Jab Zisst ki Anjaan c Rahon per,
~*~
Be-chain c Rohein phirti hon,
~*~
Ehsaas k Kuchley jane per,
~*~
Jab Saansen bhi Sulagti hon,
~*~
Aur Baharon k Jab Mosam main,
~*~
Har Shaakh pe Ghunchey Jaltey hon,
~*~
Aur Ashkon k Samandar bhi,
~*~
Ek Boond ko Tarasty hon,
~*~
Har Subha ka phir Sooraj bhi,
~*~
Ek naye Dard ki Jab Sehai ho,
~*~
Aur Chand ki Chodwen Raat ko jab,
~*~
Jab Chand pe Husn ka joban ho,
~*~
Lekin Ek Baat jo kuch Ajab c ho,
~*~
Aur khalaf Mahmool Fitrat ho,
~*~
K Chand ki kahen Na Kirney hon,
~*~
Aur Sabha bhi kuch Afsurda ho,
~*~
Nadar hawa ki is Afsurdagi per,
~*~
Chand k is Rowaiye per,
~*~
Ghunchon k is Jalnay per,
~*~
Aur Saanson k Solagny per,
~*~
Jab Be-khudi c Tum per Taari ho,
~*~
Isi Be-Khudi k Aalam main,
~*~
Jab dekho gay Falak ko Tum,
~*~
Yaqenan Tere is Tajasis per,
~*~
Kuch dair Falak ko Harat hogi,
~*~
Isi Harat k phir Aalam main,
~*~
Falak ki Aankh bhi Barsay gi,
~*~
Aur ye Awaaz Tumhen phir aaye gi,
~*~
~*~
KOI DIL KAHEIN PE TOOTA HAI..
~*~
~*~

KOI DIL KAHEIN PE TOOTA HAI..!!!
~*~
~*~
(ZESHAN~HAIDAR) *

z_haidar 3.04.10 - 03:31pm
~*~CHAND PHIR UDAAS HAI~*~
. . . . . . . . . . . . . . .
Ajnabi si Rahoon main,
~*~
Door tak Nigahoo main,
~*~
Be-Rukhi ka Mosam hai,
~*~
Aaj phir Nigahoon ko,
~*~
Beetay pal ki Payas hai,
~*~
Phir Raha hoon Darbadar,
~*~
Moujzay ki Aas hai,
~*~
Aisa Lagta hai Jaisay,
~*~
Chand Phir Udaas Hai..,
~*~
Baat to Kary Koi,
~*~
Saath to Chalay Koi,
~*~
Khamoshi ka Pehra hai,
~*~
Zakhm Dil ka Gehra hai,
~*~
Aisa Lagta hai Jaisay,
~*~

CHAND PHIR UDAAS HAI..!!!
~*~
~*~
(ZESHAN~HAIDAR) *

mishall 3.04.10 - 03:53pm
v nice post thnx. *

ajnabii 4.04.10 - 02:42am
haider bhai etne khoobsurat tarekay se shairy post karne pe mobarik baad.blossom.GIF *

z_haidar 4.04.10 - 08:41am
Thank q so so much Ajnabi brother....@ mishil bro aap ka bhi shukria... *

maida21 4.04.10 - 05:24pm
nice poetry. *

ajnabii 4.04.10 - 08:51pm
welcome.GIF maida thank you for liking our poetry...blossom.GIF *

ajnabii 4.04.10 - 08:52pm

Dukh Fasana Nahi K Tujh Se Kahain
Dil Bhi Mana Nahi K Tujh Se Kahain,

Ek To Harf Aashna Tha Magar
Ab Zamana Nahi K Tujh Se Kahain,

Ae Khuda Dard-E-Dil Hai Bakhshish-E-Dost
Aab-O-Daanaa Nahi K Tujh Se Kahain


Be Tarah Haal-E-Dil Hai Aur Tujh Se
Dostana Nahi K Tujh Se Kahain

Qasidaa Hum Faqeer Logon Ka
Ek Thikana Nahi K Tujh Se Kahain

Ab To Barson Se Us Gali Main FARAZ
Aana Jaana Nahi K Tujh Se Kahain.

*

shiza_a 4.04.10 - 10:33pm
Unlek ap ki bh poetry ache hai *

z_haidar 5.04.10 - 03:38am
V nice ajnabi brother...Thanks 4 shairing...Keep shairing plzzz. *

missujan 7.04.10 - 06:21am
Dyare ghair se kaise tuje sada dete
tu mil b jata tu akhir tuje ganwa dete,

Tumhe ne na sunaya hum ko apna gham warna
dua wo karte k asman hila dete,

hamen ye zuam raha k ab k wo pukaren ge
unhen ye zid thi k her baar hum sada dete,

Wo tera gham tha k taseer mere lehje ki
k jis ko haal sunate usey rula dete,

Tume bhulana awal tu dastaras main na tha
jo ikhtyar hota bhi tu kya bhula dete,

Terkhayal ne koi jawab he na diya
mere khayal k anso rahe sada dete,

Samaaton main ta umar kosta he raha
wo kuch bhi na kehte hont tu hila dete.
*

shiza_a 7.04.10 - 09:56am
Misujan very nice poetry *

maida21 7.04.10 - 12:18pm
lovely misujan sis. *

maida21 7.04.10 - 12:19pm
Dil Pr Aisy Bhi Azabon Ko Utrty Dekha,

Hum Ne Chup Chap Usy Khud Se Bicharty Dekha,

Usko Socha To Hr Soch Mein Khushbo Utri,

Usko Likha To Hr Lafz Mehakty Dekha,

Yad Aa Jay To Qaboo Nhi Rehta Dil Pr,

Wrna Dunya Ne Nhi Humko Tarapty Dekha,

Uski Sorat Ko Fqat Aankh Nhi Tarsi,

In Raston Ko Bhi Uski Yad Mein Roty Dekha,

Hum Mohabat Ke Liy AAj Bhi Dewaany Hain,
*

z_haidar 7.04.10 - 05:28pm
V nice poetry maida and missujin...clapping.GIF.../but main ne pehle bhi aap logon se request ki thi, k NAZZAM walay topic pe GHAZILS post na karen.,plzzzzz....Yahan sirf aur sirf NAZZMEN post karen plzzzzz.....I hope k aap sab meri baat ka maan rakhen gay.,shukria.. *

missujan 7.04.10 - 05:31pm
again sorrrrry Z HAIDER (smarta) *

z_haidar 7.04.10 - 05:36pm
Its ok brother.... *

z_haidar 7.04.10 - 05:50pm
~*~AAJ KI IS BARISH MAIN~*~
. . . . . . . . . . . . . . . . . . .
Phir Wohi sa Manzar hai,
~*~
~*~
Phir Wohi si Boondein Hain,
~*~
~*~
Phir Wohi si Thandak Hai,
~*~
~*~
Phir Wohi sa Sab kuch hai,
~*~
~*~
Per,
~*~
~*~
''AAJ KI IS BARISH MAIN''
~*~
~*~
SATH TUM NAHI HO TO,
~*~
~*~
Aankh Num si Kitni Hai,
~*~
~*~
Saans Tang si Kitni Hai,
~*~
~*~
Rooh Pyasi Kitni Hai,
~*~
~*~
Ye Udaasi Kitni Hai,
~*~
~*~
''AAJ KI IS BARISH MAIN''
~*~
~*~

AAJ KI IS BARISH MAIN..!!!
~*~
~*~
(ZESHAN~HAIDAR) *

deewanaa 8.04.10 - 09:02pm
Bichadte vakt usne mera hath choda tha , vo muskura ke kehne lagi tumhare hath kitne garm hain aur garm hath wafa ki nishani hote hain, ye sunkar main itna khush hua ki har baat bhool gaya aur ab yaad aa raha hai ke uske hath kitne sard the *

z_haidar 14.04.10 - 10:17am
~*~CHALO AB LOUT AAO NAA~*~
. . . . . . . . . . . . . . . . . . . .
Suno Tum ne Kaha tha Naa,
~*~
Mujhe Jazba-e-Mohabbat se Kabhi Jo Tum Pukaaro gay,
~*~
Main Us Din Lout aaon ga,
~*~
Tu Dekho Naa,
~*~
Kahi Lamhon, Kahi Saalon, Kahi Sadiyon Se Tera Rasta Takti,
~*~
Ye Meri Montazir Aankhein,
~*~
Mere Dil ki Ye Dharkan aur Saansen,
~*~
Bus Tumhara Naam leti hain, Wohi Ek Wird karti hain,
~*~
Meri Aankhon k Sahil par,
~*~
Teri Khuwaish ki Maojon ne bari Halchal Machahi hai,
~*~
Teri Tasveer, Sokhy Phool aur Tohfay,
~*~
Teri Chahat ki Khushboo Main abhi tak Saans Lehtey hain,
~*~
Wo Sab Raste K jin par Tum Hamhary Sath Chalte Thy,
~*~
Wo Sab Raste Jahan Teri Hansi k Phool Khilte Thy,
~*~
Jahan Perron ki Shakhon per Hum Apna Naam Likhte Thy,
~*~
Udaasi Se Bary Manzar,
~*~
Tumhari Lout Aany ki Umeed Ab tak Dilate Hain,
~*~
Sunoo Kuch Bhi Nai Badla,
~*~
Tumhary Pahon ki Awaaz Sunnay ki,
~*~
Mere Kamry ki Be-Tarteeb Cheezein Muntazir hain,
~*~
Suno Takmeel paati Chahaton ko Youn,
~*~
Adhora to nahi karte,
~*~
Ghulabon ko Bhari Shakhon se Torra Nahi karte,
~*~
Tumhen Maloom hai Aankhein Tumhari Rah Takti Hain,
~*~
Mujhe Youn Aazmao Naa,
~*~
CHALO AB LOUT AAO NAA,
~*~

CHALO AB LOUT AAO NAA..!!!
~*~
~*~
(ZESHAN~HAIDAR) *

hibahst 14.04.10 - 12:03pm
achi porti hay..@z_haidar ...flower.GIF *

hibahst 14.04.10 - 12:04pm
Suno...!
kaisey kahen tum ko,
tumharey bin adhoorey hain,


na koi payas he baqi
na koi dard utha he,

haan....!
magar ahsas he baqi,
tumharey bin adhoorey hain,

koi asia lafaz hota jo
zuban se hum ada kartey,
tumharey dil pe ja girta,

dukh se kaanp uthi rooh,

tarrap ke tum bhi yeh kehtey,
tumharey bin adhoorey hain....!!! *

hibahst 14.04.10 - 12:13pm
suno!
bht takleef hoti hai k

jb ansu ankho main kisi zanjeer se bandh se jate hain
k jb hm rona chahte hain mgr hm ro nhn pate
bht takleef hoti hain k
jb khuwabo k mehal rait ky teeley ki manind dhe se jate hain
k jb hm khuwab bunte hai mgr wo toot jate hain
bht takleef hoti hain k
jb hamare dil ki ye basti kisi apne hi ki khatir
ujarti hai magar in sari takleefo main bhi
ik raahat si milti hai k
jb koe apna hme aa kr chup krata hai
hame apne hone ka ehsas dilata hai
wo aansu ponch kr phir se hame hansata hai
to ab hum ne ye mana k
takleefen or raahaten sath sath hoti hain
k jb takleef milti hain tbhi to apne or praye ki pehchan hoti hain *

z_haidar 14.04.10 - 12:22pm
Thanks... Hibahst...Aur aap ki bhi poems lajawab hain, thanks 4 shairing.,keep it up.. *

zakkhan 15.04.10 - 09:26am
kisko qaatil main kahoon,kisko maseeha samjhoon?
sab yahaan dost hi baithe hain,kise kya samjhoon?
wo bhi kya din the ki har waham yaqeen hota tha?
ab haqeeqat nazar aayee hai to.......use kya samjhoon?
dil jo toota to kayee haath dua ko utthe;
aise maahaul mein main kisko paraaya samjhoon?
zulm ye hai ki hai yaqta teri begaanaarawi;
lutf ye hai ki main ab tak tujhe apna samjhoon.... *

aanchals 15.04.10 - 09:48am
Nishan tak na milenge meri wafa k use,
k maine rah badl di hay aazma k usy!

Kbhi na harf koi uski sadgi ka khula,
warq warq parha maine dil laga k usy!

Jo sab ka haal hua tha wo mera haal hua,
bani na baat koi bat bhi suna k usy!

Mjhy yaqeen hy wo laut kr bhi aega,
magr udaas hu ab raasta dikha k usy! *

missujan 15.04.10 - 06:37pm
is zamaane mein is mohabbat mein
kitane dil tode kitane ghar phunke

jaane kyon log muhabbat kiya karate hain - 2
dil ke badale dard-e-dil liya karate hain
jaane kyon log muhabbat kiya karate hain

tanhaayi milati hai mahafil nahi milati
raahen muhabbat mein kabhi manzil nahin milati
dil toot jaata hai naakaam hota hai
ulfat mein logon ka yahi anjaam hota hai
koyi kya jaane kyon ye parawaane
kyon machalate hain gum mein jalate hain
aahen bhar bhar ke deewaane jiya karate hain - 2
jaane kyon log muhabbat kiya karate hain

saavan mein aankhon ko kitana rulaati hai
furakat mein jab dil ko kisi ki yaad aati hai
ye zindagii yoon hi barabaad hoti hai
har waqt honthon pe koyi fariyaad hoti hai
na dawaaon ka naam chalata hai
na duaawon se kaam chalata hai
zehar ye phir bhi sabhi kyon piya karaten hain - 2
jaane kyon log muhabbat kiya karate hain

meha se har gum manasoob hota hai
din raat ulfat mein tamaasha khoob hota hai
raaton se bhi lambe ye pyaar ke kisse
aashiq sunaate hain zafa ye yaar ke kisse
bemuravvat hai bevafa hai vo
us sitamagar ka apane dilabar ka
naam le le ke duhaayi diya karate hain - 2
jaane kyon log muhabbat kiya karate hain

SHAFI *

rabianaz 15.04.10 - 06:43pm
bahut khobsurat nazmain hain thanks. *

xxkamixx 16.04.10 - 01:00pm
mere dil mere musafir
hua phir se hukm sadir
ke watan bader hoon hum tum
dein gali gali sadaain
kerein rukh nager nager ka
ke koi suraagh paaein kisi or nama ber ka
her ikk ajnabi se poochein
jo pata tha apne gher ka

sar e ku e na shanayaa,n
humein din se raat kerna
kabhi iss se baat kerna
kabhi uss se baat kerna

tumein kia kahoo,n ke kia hay
shab e gham buri bala hay
humein ye bhi tha ghaneemat
jo koi shumaar hota

humein kia bura tha merna

ager aik baar hota ! (faiz) *

z_haidar 16.04.10 - 08:15pm
V nice,clapping.GIF shafi, aanchal, zak, kami,...Thanks 4 shairing...Keep it up.. *

zara20 16.04.10 - 08:29pm
wow!!nice poetry stocks. *

ur_love 17.04.10 - 02:31pm
!!! Tum Rehti Ho !!!

itni barhi ic dunya mein
,
apne Naam ki takhti waali
aik
imaarat
kitne duukhon ki eenten
chuun kar
ghar banti hain ....
,
pathar pathar jorr k dekho
,
Main ne bhi ik ghar hai banaya
,
rangon, phoolon, tasveeron
se
iss ko sajaya
,
darwaaze ki loh per apna
Naam likhaaya
,
lekin ...!
iss k har kamre mein ...


Tum rehti ho *

rahiba 17.04.10 - 02:37pm
Usey kehna,
Usey HUM,
Yaad kerte hain!

Diya jab sham ki
deleez pe jalany
aate hain..

Sitare aasman pe jab
timtimate hain..

Chandni jb phoolon
pe parti hai..

Bohat hi khoob lagti
hai!

Hum us dam apni
aankhon mein usay
aabad kerte hain..

Usay kehna,
Usay Hum,
YAAD kerte hain..
*

z_haidar 17.04.10 - 02:51pm
Superb ur love v nice poem....Aur rahiba aap ki nazzm bhi lajawb hai, thanks 4 shairing...Keep it up.. *

missujan 18.04.10 - 03:19am
Ajab Kahani Thi Shayad Meri Hee Zabani Thi ..
Ik Larki Woh Anjani Thi .. Beygani Thi An Chui Si
Woh Chui Mui Si Janey Kahan Kasey Kab Takra Gaii ...
Mujh Ko Bha Gaii .. Phir Kuch Aisa Hua Kai Baatein Huin
Choti Woh Lambi Raatein Huein
Woh Aur Main Aksar Dono Ghanton Ghanton Bethey Yunhi
Baatein Kya Kertey Thaey
Janey Kab Kyun Ahsas Hua ...
Mujh Ko Usi Ka Pass Hua
Woh Us Din Shayad Na Ayi Thi ..
Jaan Meri P'aey Ban Ayi Thii ...
Tarpa Tarsa Behka Main ..
Pershan Hua Saans Lena Mujh Per Muhal Hua
Ahsas Hua Mujh Ko Us Din Tab Ho Gaii Mujh Ko Mohabbat Ab

Dhoonda Main Nai Intazar Kya
Raat Woh Sari Din Bhi Apna Baeykar Kya ..
Baeychan Hua Nadan Hua ..
Phir Sham Hui Woh Wapis Ayi
Phir Main Nai Us Ko Batlaya
Jatlaya Us Ko Behlaya
Kaha Us Ko
Suno Tum Sai Mohabbat ..
Bohat Hai Mujh Ko Bohat Hai
Bas Mujh Ko Tum Sai Mohabbat Hai ...
Ghabrai Thi Woh Sharmai Thi
Kahin Door Ja Ker Simti Thi
Phir Ghabrai Woh ....
Pershan Hui ...
Kuch Daer Ko Woh Chup Ho Ker
Phir Mujh Sai Woh Mukhatib Hui

Na Mil Paon Gi Toh Kya Kero Gai ?
Socha Main Nai Toh Jaan Nikli ....
Baey Inteha Nikli Baarha Nikli ...
Chup Raha Nahi Bola Kuch
Phir Yun Hua Kai Justuju Us Ko Hui
Khamosh Si Woh Bholi Bhali Si
Ik Din Mujh Sai Kehney Lagi
Yun Tum Sai Baatein Kerti Hoon
Baeykar Yeh Raatei Kerti Hoon
Tum Sai Kehti Hoon Main Na Main Yun
Dil Main Rekhti Hoon Haan Main Yun
Kai Mohabbat Tum Sai Kerti Hoon
Par Junoon Tumharey Sai Derti Hoon ...

Yun Laga Mujh Ko Tab
Seerab Hua Yeh Sehra Ab
Main Utha Khushi Sai Naach Gya
Dil Mera Zor Sai Dhadka Tab...
Poocha Phir Yun Shararat Sai Main Nai Jab
Kaho Kyun Leti Ho Imtehan Ab ?

Woh Hasti Muskurati Sharmati Ba'l Khati
Uthi Phir Chal Di Par Jatay Jatay Mujh Ko
Keh Gaii Ik Anjan Baat
Boli ....!!!
Meri Majboori
Kabhi Ho Gi Na Yeh Aas Poori...
Main Tha Junoon Main Andha Pagal
Majnu Bana Main Ranjha Ghayal
Jawab Deya Usey Hosla Deya
Phir Din Raat Main Nai Mehka Deya
Phir Wasee Hee Hotein Baatein Thaein
Khamosh Si Lambi Raatein Thaein
Ham Dono Thaey Bas Ham Dono
Aur Hamari Mohabbat Ki Baatein Thaein

Phir Yun Hua Kai Us Ka Jana Hua ...
Ik Khiley Phool Ka Murjhana Hua
Meri Zindagi Gaii Meri Qismat Gaii
Mera Junoon Meri Wehshat Gaii

Khali Haath Kashkoal Liye
Main Dar Dar Talash Main Us Ki Bhatka ..
Dhoonda Bohat Par Mili Nahi Woh
Khali Paet Nagey Paon
Tap'ti Raet
Pairon Main Phir Ch'aley Aye ..
Jeena Phir Dushwar Hua
Mujh Ko Us Din Us Ka Deedar Hua
Main Phatey Puraney Halon Main
Paon Main Parey Ch'alon Main
Lambi Dari Maeley Kaprey
Ukhri Saansien Par Chamki Ankhein

Dekha Main Nai Us Ko Jab
Pass Gya Gir Gir Jab ..
Poocha Us Ko Janti Ho ?
Kya Tum Mujh Ko Pehchanti Ho ?
Woh Anjani Si Deewani Si
Bhooli Si Kisi Pari Si Maysoomiat Sai
Mujh Ko Kehti Hai
Aey Jogi Tu Toh Adh Mara Sa
Mujh Ko Kaisey Janta Hai ?
Kasey Tu Pechanta Hai ?
Main Na Janoon Kaun Hai Tu
Tha'tka Main Phir Larkharaya
Haath Main Us Ka Anchal Aya
Gir Para Phir Tarap Kai Main

Ik Nazar Jo Us Ko Dekha Tab ...
Anchal Us Nai Jhatkaya Daman Apna Bachaya ..
Ja Rahee Thi Thamey Kisi Ka Haath
Chor Ker Mera Sang Or Saath

Saans At'ki Dhadakna Band Hua
Palkein Moondhein Jaan Nikli Thi
Lash Ko Meri Phir Uthaya Jab
Na Qafan Na Ghusal Bin Kye Yeh Sab
Dafna Aye Mujh Ko Jogi Char
Shayad Kai They Woh Merey Yaar ...
Qabar Meri Bhi Kachi Thi ...
Meri Mohabbat Bin Qafan Hui
Bin Ghusal Hee Woh Bhi Dafan Hui
Woh Kahani Phir Yun Khatam Hui ..!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!! *

z_haidar 18.04.10 - 09:08am
Fantastic brother...Superb..Missujin..Bohot hi khobsorat aur dukh bhari poem post ki hai, i like it...Thanks 4 shairing...Keep it up.. *

1-> 7->>


* Reply
* UrdUMaG Forum


Search:
topics replies


* UrdUMaG

Create Your Own App Store

topTop
groupsGroups
mainProdigits

Custom Search


Create Your Own App Store